Apr 13, 2014

Wafa ki Akhri hadd se guzar liya jaye



Wafa ki Akhri hadd se guzar liya jaye
Sitam garon ke mohallay main ghar liya jaye

Jidher nigha uthay ap he ke jalway hon 
Jey'ein to aisay je'ein warna mar liya jaye

Heart is not a Dust Bin


Heart is not a Dust Bin To Dump all The Worries of Ur Life..!
It's A Golden Jar To Collect Sweet Moments Of Ur Life.!:-)
So always Be Happy.:)

Achay alfaaz aur achay khayalat



اچھےالفاظ اور اچھے خیالات ہی خوبصورتیاں تخلیق کرتے ہیں۔جس چہرے کے ساتھ ہم پیدا ہوتے ہیں وہ ہمارا انتخاب نہیں ہوتا مگر جس چہرے کے ساتھ ہم مرتے ہیں اسے تراشنے کے ذمہ دار ہم خود ہوتے ہیں وہ ہمارے لفظوں خیالوں خوابوں اور دُعاؤں کا عکس ہوتا ہے

Achay alfaaz aur achay khayalat hi khoobsurati takhleeq kartay hain , jis chehray kay saath hum paida hotay hain woh hamara intikhaab nahin hota , magar jis chehray kay saath hum martay hain Ussay taraashnay kay zamay daar hum khud hotay hain woh hamaray lafzon khayalon khawabon aur duaon ka aks hota hai 

Naala-e-hudood kovy risa say guzar gaya



Naala-e-hudood kovy risa say guzar gaya

Ab dard'e dil elaaj'o dawa say guzar gaya


Un ka kheyal ban gai'n seeny ki dharkanei'n

Nagma muqaam'e soot-o-sada say guzar gaya


Ijaaz be'khudi hai keh yeh husan-e-bandgi

Ek but ki justaju mein khuda say guzr gaya


Insaaf seem'o zar ki tajjalli ny das liya

Her jurm ehtyaj'e saza say guzar gaya


Uljhi thi aqal-o-hosh mein 'sagar' rah hayat

Mein ly kay tera naam fana say guzar gaya

Lipti rahi wojood sy khushbu tmam raat


Lipti rahi wojood sy khushbu tmam raat

Atay rhy ho yaad mujhy tum tmam rat

Us ny bary khulos sy mangi thi roshni

Girty rhy makan py jugnu tmam rat

Rota rha wo aap hi apny naseeb pr

Apny galy me dal k bazu tmam rat

Fursat na thi Tabib ko apny hi kam sy

Peety rhy Mariz b aansu tmam rat.

Koi dhoond aisa humsafar

Koi dhoond aisa humsafar
Jisey tu apna bana sakey
Tu kahey k raat hy
Or wo chandni luta sakey
Tere ansuon ko wo samait le
K koi na tujh ko rula sakey
Teri raah me ho jo mushkilain
Apni palkon se woh utha sakey
Tujhe rakh le apne hisaar me
K tujh ko na koi chura sakey
Wo ho tere itna qareeb k
Kisi ki yaad b na tujhe a sakey
Han.
Koi dhoondh aisa humsafar
Jo meri tarha tumhe chah sakey.

Mil bhi jatay hain to takra k guzar jatay hain


Mil bhi jatay hain to takra k guzar jatay hain
Yahan mosam ki tarha dost b badal jatay hain

Hum abi tak giraftar-e-muhabat hain logo
Thokren kha k suna tha k log sambal jatay hain

Wo kabhi apni jafa per na howa sharminda
Hum samajtay rahe pathar b piggal jatay hain

Umar bhar jin ki wafaon pe bharosa hota ha
Waqt k anay pe wohi Log badal jatay hain.

Us bewafa se kehna ek yaar tha tumhara




Us bewafa se kehna ek yaar tha tumhara
Tum zndagi the uski wo pyar tha tmhara

Tm khawabon me khayalon me rehty thay us k
Tum jaan thay us ki woh dildar tha tumhara

Yaad karo wo pal woh din wo raaten
Tum ibtida thay us ki woh aghaz tha tumhara

Do pal judai k kaatay na jate the
Tum sur thi us ki wo saaz tha tumhara

Dekh ae sanam us ki muhabat ka taqaza
Tum ho gay kisi aurr k wo aaj b he tumhara

Libas tan sy utar dena


Libas tan sy utar dena
Kisi ko banhon k haar dena

Phir us k jazbon ko maar dena
Agar mohabat yehi hy saqi

To muaf krna muje nhi hy
Gunah krnay ka soch lena

Haseen pariyan daboch lena
Phir un k jismon ko noch lena

Agar mohabat yehi hy saqi
To muaf krna muje nhi hy

Kisi ko lafzon k jaal dena
Kisi ko jazbon ki dhaal dena

Phir us ki izzat uchal dena
Agàr mohabat yehi hy saqi

To muaf krna muje nhi hy
Andhair nagri mei chaltay jana

Haseen kaliyaan masaltay jana
Or apni fitrat pe muskurana

Agar mohabat yehi ha saqi
To muaf krna muje nhi hy

Wo shakhs kabi dasht se guzry to usy kehna


Wo shakhs kabi dasht se guzry to usy kehna
Ek pal mery ghar me b thehry usy kehna

Kehna k smandr k kinary pe na jaey
Kuch log smandr se hen gehry usy kehna

Zarkhez zaminein kbi banjr nhi hoti
Drya hi badal lety hen rasty usy kehna

Kuch log safr k liye mozoo'n nhi hoty
Kuch rasty kat'ty nhi tanha usy kehna

Is shehr me such keh k guneh'gar na hona
Basti k sabhi log hen behry usy kehna.!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...