Apr 16, 2014

Ussay kehna agar milna nahin assan to likh bhaigay woh kaisa hai



Ussay kehna keh

Milna nahin asaan to likh bhaigay

Woh kaisa hai

Bhout dino se yeh dil udaas rehta hai

Tabiyat bhi machalti hai

Kabhi thokar jo lagti hai

Zehan mera na janay kyn

Usi ki simat jata hai

Ussay koi pathar koi kanta laga na ho

Khudiya woh salamat ho 

Ussay kehna agar milna nahin assan 

to likh bhaigay woh kaisa hai

Aag ke shaher maint tinkay ki haqeeqat kiya thi !



Aag ke shaher main

Tinkay ki haqeeqat kiya thi !

Dasht par phool ka saya tha mohabbat kiya thi !

Zakham thay , Dard tha 

Tanhai thi , Veerani thi

Kiya batyon keh

Teray ishq main rahat kiya thi

Tujh ko chaha hai

Nahin teri ibadat ki hai

Aik pathar ko magar is ki zaroorat kiya thi

Aik muddat hui izhaar-e-mohabbat kar ke

Aj tak soch raha hoon

Himaqat kiya thi

Kiya batyon keh yahan 

Pooch rahay hain sab log

Woh jo guzri hai meray dil par

Qayamat kiya thi

Adhoori batain jo kar gaye ho



Adhoori batain jo kar gaye ho 

Meray hi dil main utar gaye ho

Kisi ki chahat ka yeh asar hai

Keh reza reza bikhar gaye ho

Tumhi to ho jo hamaray dil ki

Hadon ko cho kar guzar gaye ho

Hamara thamo ge haath kiya tum

Keh abhi zamanay se dar gaye ho

Chalay gaye ho nazar jhuka ke

Hamain dewana sa kar gaye ho

Bhool behtay ho ahad saray

Abhi se kyn mukar gaye ho

Dhoondti hai yeh nazar tum ko wasi

Aa bhi jayo kidhar gaye ho

Poet : Wasi Shah

Sitam ko maslahit husan-e-taghafal ko ada kehna



Sitam ko maslahit husan-e-taghafal ko ada kehna

Ussay ab aur kiya likhna ussay ab aur kiya kehna

Yeh rasam shaher-e-pursa hamaray dam se qayam hai

Keh her aik ajnabi ko mukura kar ashna kehna

Hazaron hadsay tujh par qayamat ban ke tootay hain

Tu is par bhi salamat hai Dil-e-kush faham kiya kehna

Dil-e-be'qaraar ko be'talab jeenay ki adat hai

Mujhay acha nahin lagta dua ko iltija kehna

Meray 'Mohsin' yeh adaab-e-musafat seekhna hon ge

Bhat'taktay jugnoon ko bhi safar ka asara kehna

Apr 15, 2014

Kis dil main kya chuppa hai



Kis dil main kya chuppa hai
Sirf Khuda jaanta hai 

Dil agar be'niqaab hotay 
socho kitnay fasaad hotay

Dilon main phir se nai chahtain saja baithay



Dilon main phir se nai chahtain saja baithay

Galay milay to sabhi ranjashain bhula baithay

Woh jis ko piyaar ka mafhoom tak nahin maloom

Usi ke dar pe kyn jaan-o-dil luta baithay

Kiya khabar thi keh hawa'ein wafa nahin karti

Unhi ke doosh pe phir kyn diy'ey jala baithay

Hum un ke qurb main be-ikhtiyaar hotay hain

Jo baat dil ne chupai wohi bata baithay

Jo pathron ke hawalay se moh'tabar hai bhout

Hum aisay shaher main sheeshay ka ghar bana baithay





Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga



Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga

Mudaton ke baad koi hamsafar acha laga

Zindagi ki be sar-o-samaniyon ke ba-wajood 

Aaj tu aya to mujh ko apna ghar acha laga

Manzalon ki baat choro kis ne pae'ein manzalain

Ik safar acha laga ik humsafar acha laga

Soch kar chuni hai main ne akhri araam gaah

Main tha matti aur mujhay matti ka ghar acha laga

Baray masoom jazbon se woh apnay shokh haathon par



Baray masoom jazbon se 

Woh apney shokh hathon par

Wafa ki surkh mehndi se

Kisi ka naam likhti hai

Jissay woh piyaar karti hai

Magar woh na samjh larki

Abhi tak yeh nahin janti

Keh sapnay toot jayein to

Bhout barbaad kartay hain

Yeh ujhlay rang hathon par 

KAbhi tehra nahin kartay

Mohabbat to haqeeqat hai

Koi sapna nahin hota

Kisi ka naam likhnay se 

Koi apna nahin hota

Ajnabi shaher hai ajnabi log hain



Ass

Ajnabi shaher hai

Ajnabi log hain 

Phir bhi main

Chal raha hoon

IS ass main keh

koi to apna ho ga

Koi to piyara ho ga

Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar



Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar 

Jis ki talash thi woh maseeha nahin mila

Qismat ki baat hai ke  'wasi' aaj tak

Dil walay to bhout milay par koi dil se nahin mila
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...