May 16, 2014

Sajdon ke ewaz firdos milay yeh baat mujhay manzoor nahin


Sajdon ke ewaz firdos milay yeh baat mujhay manzoor nahin

Be'loas ibadat karta hoon banda hoon tera mazdoor nahin

Poet : Allama Iqbal

Uljha rahi hai mujh ko yahi kasmakash musalsal mohsin


Uljha rahi hai mujh ko yahi kasmakash musalsal mohsin

Woh a basa hai mujh main ya main us main kho gaya hoon

Kon kehta hai nafraton main dard hai mohsin



Kon kehta hai nafraton main dard hai mohsin

Kuch mohaba'tein bhi bari aziat naak hoti hain

Jisam ki pooja ko mohabbat kehta hai aj ka falsafa


Jisam ki pooja ko mohabbat kehta hai aj ka falsafa

Yahi dor-e-hazar ki mohabbat hai to main jahil hi acha

Woh aik shaks jo aya hai andiyan le kar



Woh aik shaks jo aya hai andiyan le kar 

Usi se apnay dil ki zamana'tein mangoon

Asani se koi mil jaye to woh qismat ka sath hai


Asani se koi mil jaye to woh qismat ka sath hai

Sooli par char kar bhi jo na mil'ein ussay mohabbat kehtay hain

Aur zamanat wafa ki kiya ho gi


Aur zamanat wafa ki kiya ho gi

Tum meri saans girvi rakh lo na

Woh kahti thi keh ronay se nahin badaltay naseeb


Woh kahti thi keh ronay se nahin badaltay naseeb

Un ki is baat ne umar bhar ronay nahin diya

Mujhay bhi ainay jaisa kamaal hasil hai


Mujhay bhi ainay jaisa kamaal hasil hai 

Main toot'ta hoon to phir be'sumaar hota hoon

Sajdon main guzaron apni sari zindagi faraz



Sajdon main guzaron apni sari zindagi faraz

Ik baar woh keh de mujhay dua'on se mang lo
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...