May 30, 2014

Kitney aaish uratay hon gy , kitney itratay hon ge


Kitney aaish uratay hon gy , kitney itratay hon ge

janay kaisay log woh hon gy jo us ko bhatay hon gy

us ki yaad ki bad-e-saba main aur to kiya hota ho ga

youn hi meray baal hain bikhray aur bikhar jatay hon gy

woh jo na anay wala hai na us se hum ko matlab tha

aanay walon se kiya matlab atay hain , atay hon gy

yaro kuch to haal sunayo us ki qayamat banhon ka

woh jo samait'ty hon ge un main , woh to mar jatay hon gy

Kabhi hum khoobsurat thay


Kabhi hum khoobsurat Thay

Kabhi Hum Khoobsurat Thay
Kitabon main basi khushboo ki manand
Saans Saakin thi
Bhout se un-kahay lafzon se tasverain banatay thay
Prindon ke paron par nazam likh kar
Door ki jheelon main basney walay logon ko sunatay thay
Jo hum se door thay lakin
Hamaray paas rehtay thay
Naye dino ki musaafat jab kiran ke sath Aangan main utarti thi 
To hum kehtay thay
Ammi......... titliyon ke par bhout he khoobsurat hain
Humain mathay pe bosa do
Keh hum ko titliyon ke 
Jugnoan ke dais jana hai
Humhain rangon ke jugno 
Roshni ki titliyaan 
Awaaz dati hain
Naye din ki musaafat rang main doobi hawa ke sath
Khirkee se bulati hai
Humain mathay pe bossa do

Us ne kaha tha


Us ne kaha tha 

Apna bana kar 
Choron gi tujhay 
US ne 
Aisa hi kiya 
Apna bana kar mujhay chor diya

Us ki chahat ka sila yaad nahin


Us ki chahat ka sila yaad nahin

yaad hai jurm , saza yaad nahin

tor kar hamsafri ka rishta

woh kahan chor gaye yaad nahin

apney girnay ka sabab yaad to hai

kis bulandi se gira yaad nahin

yaad hai us ka bicharna hum ko

phir hamaian jo bhi mila yaad nahin

Munawar ka armaan hai ae khuda


Munawar ka armaan hai ae khuda

yeh karta hai tujh se ajab iltija

adab ke paristaar sab aik hon

dua hai keh funkaar sab aik hon

sabhi ko ho bas dehaan ik baat ka

sabaq dain jahan ko musawaat ka

sada dosti ka yeh paigham dain

puranay dino ko nayi shaan dain

karain aman ki roz-o-shab guftagoo

na ho al'gharz be'sabab guftagoo

mohabbat wafa ke tranay likhain

sabhi mil ke nadir fasaney likhain

ibarat haseen ho bayaan khoob ho

zamaney ka her shakhs mehboob ho

adab se youn mit jayein sab sarhadain 

keh insaan insaan se ja milaein 

hum apnaein duniya k dukh-o-dard ko

dil aisa muyasar ho her mard ko

Poet : Munawar Ahmed Knday

Mujhay acha sa lagta tha


Mujhay acha sa lagta tha

woh meray dil main rehta tha
mujhay apna sa kehta tha
meri khatir zamaney ke sitam hans hans ke sehta tha
udasi dil main thi us ke
magar hansta hi rehta tha

woh kehta tha keh mit jaye ga mujh par woh
meri ik deed ko panaussay ik khawaab lagta tha

kabhi jo chaha'ta tha main k main ab chal nahin sakta
mujhay na chor ke jana taqat itna hi kehta tha
kabhi jo sochta hoon main , us ki zaat ke baray
duniya se mujahy woh shakhs , anjana sa lagta tha

woh us ka roothna , aur baad main mujh ko mana lena
apni zaat main ajab sa dewana , woh lagta tha
meray dil ki talab hai , aaj bhi un naram hathon ki
jinhain khona meray dil ko bhout asaan lagta tha

meray dil ko dikhaya tha , kabhi zaat-e-parishaan ne
magar main dil se kehta hoon qasam le lo , qasam le lo
woh jaisa tha jahan bhi hai
mujhay acha sa lagta tha

bas itna kahoon ga main kahin se loat aye woh
main is se ab yeh keh doon ga 
suno tum jo bhi kehtay thay , mera her zakham sehtay thay
mujhay apna samjhtay thay
mujhay acha sa lagta tha 
mujhay acha sa lagta tha 

Poet : Rustam Ali Khan 

Kaash ab bhi ho aisa


Kaash ab bhi ho aisa

Kaash ab bhi ho aisa
seerihon pe collage ki
ab bhi khwaab khiltay hon
taabnaak jazbon ki
tez dhoop nikli ho
be'nishaan raston par
aarzo ki barish ho
raat ki rafaqat main
chandani ki barish ho
samragiyat kiya hai ?
zulam kis ko kehtay hain 
aman aur mohabbat ke 
geet kaisay hotay hain
un'ginat umangain thein
be'sumaar baton main 
hosla damakta tha
be'yaqeen raton main
waqat aik bhati hai
jis main hum pighaltay hain 
apni apni sochon ki
shakal ban ke dhaltay hain
aur ab watan se door 
ajnabi diyaron ki 
sard mehar raton main
is kinar-e-dariya par 
roshni ke jharney youn
aks ban kar girtay hain
jaisay apni aankhon main
khwaab jagmagatay thay
kush gumaan dareechon main
deep jhil'milatay tahy
aur dil yeh kehta hai 
waqat ki rawani se 
haar manana kaisa

kaash ab bhi ho aisa
hum na hon ' koi hum sa
dil main aag rakhta ho
seerhiyon pe college ki
ab bhi khwaab khiltay hon 

Mujhay ik aam sa admi bananay ki aijazat do


Izn

Tumhain acha nahin lagta mera kamra
yahan par cigraton ki boo hamesha phaili rehti hai
kitabain bikjri rehti hain
sabhi dewarain bin tasveer ke veeran rehti hain
aur ik saja hua gildaan bin phoolon ke rakha hai
tumhain maloom hai jana !
yahiein pe surakh rang qaleen bicha kar kai yadain
tumhari raah takti hain
inhi yadon ne hai kamray ko taqadas-e-wafa bakhshi 
khuli aankhon se dekhay khwaab aur rat-jagon ke teekhay khaar
meri aankhon main ugtay hain
hijar ki chadrain orh'hy wajood-e-la'shaoori par
bana baitha hoon main kab se yahan par ik majawar sa
meri jana chali ayo
mujhay ik aam sa admi bananay ki aijazat do

Mujahy khud main chupa lena


Mujahy khud main chupa lena

Hawa chup rhi
fiza khamosh thi 
dil main
hazaron waswasay thay
aur main tanha 
mujhay khud main chupa lena
andehra is qadar gehra nahin tha 
meray qadmon ke aqb main 
dushmano ki chaap thi
aur samney rasta nahin tha

Aik Adhoori Dua


Aik adhoori dua 

Shab ki dehleez par maand hotay huye 
Her sitaray ne dekha ussay 
Raat rotay huye 
Aanso'on ki nami bheegay rukhsaar par 
Sar se dhanki hui sabz se orhni 
Maatami hai fiza  is kay singhaar par 
Taaq raaton main us ne hai dhoonda bhout 
Jis ko shiddat se us ne bhi maanga bhout 
Aik adhoori dua 
Zahid us se gum ho gayi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...