Jun 15, 2014

Meri her ik ada main chupi thi teri mohabbat


Meri her ik ada main chupi thi teri mohabbat 
Tu ne mehsoos na ki yeh aur baat hai 

Main ne her dam teray hi khwaab dekhay 
Mujhay tabeer na mili yeh aur baat hai 

Main ne jab bhi tujh se baat karna chahi
Mujhay alfaaz na mile yeh aur baat hai 

Main teri mohabbat ky samandar main door tak nikla
Mujhay sahil na mila yeh aur baat hai 

Qudrat ne likha tha tujh ko meri taqdeer main 
Teri qismat main , main na tha yeh aur baat hai 

Uthaa ky hath khuda se bas maangi yahi dua


Uthaa ky hath khuda se bas maangi yahi dua
Naseeb hon kushiyaan tumhain tum kush raho sada 

Tum ko rahat milay , tum ko chahat mile
Tumhain saray jahan ki mohabbat mile

Jahan main sab se achay hon teray naseeb 
Koi dukh kabhi bhi na aye qareeb tumharay

Dil ki her arzoo poori khuda karay 
Tumharay chahnay walo ko kabhi bhi na juda karay 

Mil jayein tum ko meray bhi naseeb ki kushiyaan 
Dua hai yeh bas tum ko kabhi gham na milain yahan

Mujh se apna pyaar kabhi wapis mat lena


Mujh se apna pyaar kabhi wapis mat lena 
Mujh se yeh iqraar kabhi wapias mat lena 

Kehtay rehna mujh ko her pal main tera hoon 
Mujh se yeh izhaar kabhi wapis mat lena 

Sajta rehna jhoomar ban kar maathay par
Mujh se yeh singhaar kabhi wapas mat lena 

Aankhain roshan rakhna apni yaadon se
Mujh se yeh deedaar kabhi wapas mat lena 

Kushboo ban kar basna meray tan mann main 
Mujh se yeh mehkaar kabhi wapas mat lena

Hansi ky raastay pe chala karo


Hansi ky raastay pe chala karo
Kushiyon ki mehak liya karo 
Piyaar se dilon ko chooa karo
Jahan tumhain gham nazar aye
Is na'cheez ko yaad kiya karo 

Her kal'li tujh se kushboo udhaar mangay
Aftaab tujh se noor udhaar mangay 
Khuda karay keh tu dosti aisi nibhaye keh log 
Teri dosti tujh se udhaar maangain

Kehtay hain gham bantanay se hota hai kam 
Aisay hi kabhi pehlay maantay thay hum 
Teray piyaar ki nishani tera gham hi to meray paas 
Woh bhi baat ho to rahaye ga kiya maray paas

Sochta hoon in saagar ki lehron ko dekh kar 
Kiyon yeh kinaron se takra kar palat jati hain 
Karti hain woh kinaray se be'wafai 
Ya phir saagar se wafa nibhati hain 

Tum ko chahnay wale kam na hoon gy 
Waqat ky sath magar hum na hon gy 
Apna piyaar chahaye kisi ko bhi dena 
Par teri yaad ky haq'daar sirf hum hi hon gy 

Her phool kushboo'daar nahin hota 
Her pathar chamak'daar nahin hota 
Dosti dekh kar karna dost 
Kiyon keh her dost hum sa dil'daar nahin hota 

Koi aankhon se baat kar leta hai 
Koi aankhon main mulaqaat kar leta hai 
Bara mushkil hota hai jawaab dena 
Jab koi khamosh reh kar sawaal kar leta hai 

Woh atay to hain magat tan se nahin 
Woh baith'ty to hain magar mann se nahin 
Kon kehta hai keh woh piyaar nahin kartay 
Kartay to hain magar hum se nahin 

Kaash dil ki awaaz main itna asar ho jaye keh
Hum aap ko yaad karain aur aap ko khabar ho jaye
Aaj rab se yahi dua meri keh 
Jissay aap chahein woh aap ka hamsafar ho jaye

Hum kabhi aap se khafa ho nahin saktay 
Yeh dil ky rishtay be'wafa ho nahin saktay 
Aap bhalay hamain bhool ky soo jayein 
Hum aap ko yaad kiye bina so nahin saktay 

Hansana hamara kisi ko gawara nahin hota 
Her musafir zindagi ka sahara nahin hota 
Miltay bhout log is tanha zindagi main 
Par her koi tum se piayar nahin hota 

Chaand kay liye sitaray bhout hain 
Lakin sitaron ky liye chaad ik hai 
Aap kay liye to hazaron hon gy
Lakin hamaray liye aap hi ik hain 

Kaanton ky badlay phool kiya do gi
Ansoo ky badlay kushi kiya do gi
Hum chahtay hain aap se umar bhar dosti 
Hamray is sawaal ka jawaab kiya do gi


Baa awaaz-e-buland ya sar-ba-sujood


Baa awaaz-e-buland ya sar-ba-sujood 
Sajda karo iltija karo
Jo dil se niklay tumharay meray liye 
Aisi ik dua karo 

Kitni sadiyaan guzri is baat ko 
Tumhain milnay ko ab aankhain tarsein 
Jo tum ko mujh se mila sakay
Tum aisa koi silsala karo 

Jaaiz hai us rishtay ka tootna
Jis main milnay ki chah na ho 
Chahte ho gar apna mujh ko 
To her roz mujh se mila karo

Guzraa zamana teri mohabbat ka


Guzraa zamana teri mohabbat ka 

Ik bhooli hui kahani hai 

Teray koochay main umar bhar na gaye

Sari duniya ki khaak chaani hai 

Lazat-e-wasal ho Keh zakham-e-firaaq

Jo bhi hi teri meharbaani hai 

Kis tamana se tujh ko chaha tha 

Kis mohabbat se haar mani hai 

Apni qismat pe naaz karta hoon 

Jab teray shaher se guzarta hoon

Her taraf dhund hai , jugnoo hai na chraagh hai


Her taraf dhund hai , jugnoo hai na chraagh hai 
Kon pehchanay ga , basti main agar jaon ga 

Zindagi main bhi musafir hoon teri kashti ka 
Tu jahan mujh se kahay gi utar jaaon ga

Phool reh jayein gy gul'daan main yaadon ki nazar 
Main to kushboo hoon fizaon main bikhar jayon ga 

Itn atoota hoon keh choonay se bikhar jaaon  ga
Ab agar aur dua do gi to mar jaaon ga

Paas itna kyoun meray aa rahay ho


Paas itna kyoun meray aa rahay ho 
Piyaar itna kiyon jata rahay ho 
Manzoor nahin hum ko piyaar tumhara 
Phir kiyon meray peechay aa rahay ho 
Thak gayi hoon main zakham bhartay bhartay 
Tum kiyon inhain aur barha rahay ho 
Andheron main seekh liya hai jeena 
Chraaghon ko kiyon jala rahay ho 
Tanhai main umar hai guzri
Kiyon mehfalon main bula rahay ho
Uljhi hui hai meri zindagi 
Tum kiyon issay suljha rahay ho 
Ghamon se hai apna rishta puraana 
Tum kiyon inhain cheenay ja rahay ho 
Ho sakta nahin jo sach kabhi bhi 
Sapnay aisay kiyon dikha rahay ho 
Rehnay bhi do mujhay meray haal pe 
Kiyon tum mujhay samjha rahay ho 
Mar chuka hoon main kab ka 
Laash meri ab kiyon jala rahay ho

Aap bhout yaad atay hain


Aap bhout yaad atay hain 
Ghan'ghor ghata ati hai jab 
Nadiyaan ghoomti gaati hain jab 
Lehrain shor machati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain 

Badal baras ky chat jatay hain 
Qatray moti ban jatay hain 
Kirnain rang bakhairati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain

Do dewane jab miltay hain 
Phool mohabbat ky jab khiltay hain 
Dewaarain bhi geet gati hain 

Aap bhout yaad atay hain 

Chanda tumhari yaadain ly kar 
Kirnoon ki barsaatain ly kar 
Chandani raatain ati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain

Main jis ky dil ki kitaab banta


Main jis ky dil ki kitaab banta 
Main jis ki chahat ka khwaab banta 
Main hijar mousam ki lambi raaton main 
Yaad ban kar azaab banta 
Koi to hota 
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota 
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom-e-duniya se door hota 
Main rooth jata manata mujh ko 
Keh chahay mera qasoor hota 
Koi to hota 
Jo mujh ko dil ka qaraar kehta 
Ragoon ka apni fishaar kehta 
Udaas mousamon main tazgi ki biyaar ban kar 
Jo meri baanhon ko arzoo ka diyaar kehta 
Koi to hota 
Main jis ky itna qareeb hota 
Na paas koi rakeeb hota 
Main tanha us ka habib hota 
Yeh silsala bhi ajeeb hota 
Koi to hota , aye kaask
Koi to hota
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...