Jun 19, 2014

Tu ne mangi thi Ae dil dua shaam na ho


Tu ne mangi thi Ae dil dua shaam na ho 
Ho gayi shaam main kahan jaon 

Na koi raasta na thikana na koi darwaza
Tu bata Ae dil-e-na'kaam main kahan jaon 

Reza reza meray jazbaat ko kar dia kis ne
Lut gaya meri zindagi ka aakhri armaan main kahan jaon 

Kis qadar boujh hai seenay pe tujhay kiya maloom 
Ab nahin takta issay tu hi bata kahan jaon 

Ek gharonda tha meray paas jo toot gaya 
Le ky na'kamiyon ka daagh main kahan jaon 

Aitbaar tootay to woh bhi aisay logon par


Aitbaar tootay to
Woh bhi aisay lagon par
Jin ko hum apna jaanain
Jab bhi gham se bhoujhal ho 
Un ko meharbaan maanain 

Aitbaar tootay to
Aisay zakham miltay hain 
jo kabhi nahin bhartay 
Meharbaan saaye jab 
Hum se rooth jayein to 
Aisi dhoop milti hai 
Jis main rooh jalti hai 

Aitbaar tootay to
Dil ka aanina jo hai
woh bhi toot jata hai 
Woh jo aks apna ho 
Woh bhi rooth jata hai 

Aitbaar tootay to
Aisay zakham miltay hain 
Aisi dhoop milti hai 
Aisay aks khotay hain 
Log hans bhi lain shayed 
Dil hamesha rota hai 
Aitbaar tootay to

Pehlu main dard-e-ishq ki duniya liye huwey


Pehlu main dard-e-ishq ki duniya liye huwey
Baithi hoon zindagi ka sahara liye huwey

Dil main us chaand ki roshni liye huwey
Aaghosh main hai chaand ka daagh liye huwey

Poonchay to dil main josh-e-tamana liye huwey
Loatay magar luti hui duniya liye huwey

Main jee rahi hoon in tanhayion ky andheray main
Teri mohabbat ka sehra liye huwey

Uthti hoon bazam-e-ishq se na janay kaisay
Behki si ek nazar ka sehra liye huwey

Hum kisi ky sath main aur dil kisi ky sath raha


Hum kisi ky sath main aur dil kisi ky sath raha 
Ajab mazaak meri zindagi ky sath raha 

Kamaal ka be'reham mera woh muqaddar tha 
Kinaar-e-aab bhi jo tishnagi ky sath raha 

Woh ik dukh main door chor ayi thi 
Tamaam umar meri zindagi ky sath raha 

Jo dil main baat thi honton se kis tarah ho 
Dil un ki bazam main ek be'basi ky sath raha 

Hansay jo hum to aankhon se aansoo nikal paray 
Hamesha gham koi meri kushi ky sath raha 

Aaj jo us ki yaad main jo ro dia tha main


Aaj jo us ki yaad main jo ro dia tha main 
Janay kab kiyon kahan kiya kho dia tha main ne 

Gira kar chand aansoo chashm-e-nam se apni 
Sadiyon se mila hua daag-e-dil dho dia tha main ne 

Wapis kar diya tha us ne sirf ik baar se
Piyaar mohabbat dosti main jo dia tha main ne 

Dekh nahin sakti thi kisi ky sath 
Yahi to ik haq nahin us ko dia tha main ne

Ek shakhs paas reh kar bhi samjha nahin mujhay


Ek shakhs paas reh kar bhi samjha nahin mujhay 
Is baat ka malaal hai shikwa nahin mujhay 

Main is ko be'wafai ka ilzaam kaisay doon 
Is ne ibtada hi se chaha nahin mujhay 

Kiya kiya umeedain baand kar aya tha samnay 
Afsoos teri aankh ne parkha nahin mujhay 

Kab tak thehrana mujhay us ky paas 
Acha hua keh us ne bhi roka nahin mujhay

Teray galay main jo banhoon ko daal rakhti hai


Teray galay main jo banhoon ko daal rakhti hai 
Tujhay mananay ka kaisa kamaal rakhti hai

Tujhay khabar hai tujhay sochnay ki khatar hum 
Bhout se kaam muqadar pe taal rakhti hai 

Koi bhi faisala hum soch kar nahin kartay 
Tumharay naam ka sika uchaal rakhti hai

Tumharay baad yeh aadat si ho gayi apni 
Bikhartay sookhtay paate sambhaal rakhti hai

Kushi se milti hai khud ko aziyaat de kar 
So jaan boojh ky dil ko nidhaal rakhti hai

Kabhi kabhi woh mujhay hans ky dekh lati hai 
Kabhi kabhi mera be'had khayal rakhti hai 

Tumharay hijar main yeh haal ho gaya apna 
Kisi ka khat ho ussay bhi sambhaal rakhti hai 

Kushi mile to teray baad kushi nahin hoti
Hum apni aankh main her dal nalaal rakhti hai 

Zamanay bhar se bichar ky woh apni pannah main 
Meray wajood ky tukray sambhaal rakhti hai 

Kuch is liye bhi to be'haal ho gaye hum log 
Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhti hai

Chehrey pe gard pairon main safar hai keh nahin hai


Chehrey pe gard pairon main safar hai keh nahin hai 
Tu dekh keh meri manzal pe nazar hai keh nahin hai 

Jaa panay liye dhoond le kisi ahle-e-mahal ko
Na janay meri qismat main ghar hai keh nahin hai

Teray paas hai abhi aur dard to woh bhi mujhay de de 
Na pooch keh mujh main aur sabar hai keh nahin hai 

Meri neendain to mar chuki hain rat'jagon ky hath 
Teray khawabon ko bhi koi aisa dar hai keh nahin hai 

Yeh soch ky kay ayi hoon main  main jungle se kuch jugnoo
Na janay ab kismat main shaher hai keh nahin hai 

Tu dekh mera shouq mari shakiston ko na dekh 
Pairon talay teray ghar ki dagar hai keh nahin hai 

Managa hai tujhay rab se keh ek zid si hai kab se
Dekhon to meri duaon main asar hai keh nahin hai

Aankhon ko intizaar ka de ky hunar chala gaya


Aankhon ko intizaar ka de ky hunar chala gaya 
Chaha tha ek shakhs ko janay kidhar chala gaya 

Din ki woh mehfalain gayein raaton ky rat'jagay gaye
Koi samait kar meray shaam-o-sehar chala gaya 

Jhonka hai ik bahaar ka rang-e-khyaal yaar bhi
Her soo bikhar bikhar gayi kushboo jidhar chala gaya 

Us ky hi dam se dil main aaj dhoop bhi chandani bhi hai 
de ke woh apni yaad ky ansoo janay kahan chala gaya 

Koocha -ba-koocha dar-ba-dar kab se bhatak raha hai dil 
Hum ko bhula ky raah woh apni dagar chala gaya 
Chaha tha ik shakhs ko jane kidhar chala gaya

Mujh ko mout ne nahin zindagi ne pal pal sataya hai


Mujh ko mout ne nahin zindagi ne pal pal sataya hai
Lartay lartay is zindagi ne phir meray kamzor dil ko haraya hai 

Kaisay kahon is masoom dil pe kiya kiya beeti hai
Sun ky kisi se hawaon ne bhi be'sumaar ashkon ko bahaya hai 

Aisi zindagi ka to bas ek mout hi sahara hai 
Aaj zaroorat parnay pe khuda ne bhi munh mujh se phiraya hai

KAisay jiyon jeenay ka bahana bhi nahin milta hai 
Ghair to ghair apno ne bhi mujhay zaar zaar rulaya hai 

Na yeh aashiqui na yeh dostana meray kisi kaam aya hai 
|Mouka milnay pe sabhi ne meri hasti ko para para jalaya hai 

Sun ky meray gham ka afsana naseeb bhi mujh se sharmaya hai 
Aap apni hi nazron main main khudaya khud ko giraya hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...