Jul 4, 2014

Sab kuch khuda se maang liya tujh ko maang kar


Sab kuch khuda se maang liya tujh ko maang kar 

Uth'tay nahin hain hath mere is dua ke baad

Daikh hi lain gy ishara sar-e-mehfil jo kiya


Daikh hi lain gy ishara sar-e-mehfil jo kiya 

Tarney wale qayamat ki nazar rakhtay hain

Dil ke tukron ko baghal beech liye phirta hoon



Dil ke tukron ko baghal beech liye phirta hoon 

Kuch ilaaj is ka bhi ae chara garaan hai keh nahin

TAr damani pe shaikh hamari na jaaiyo


TAr damani pe shaikh hamari na jaaiyo

Daaman nichor dain to farishtay wozuu karain

Baagh'baan ne aag di jab ashiyane ko mere


Baagh'baan ne aag di jab ashiyane ko mere 

Jin pe takiya tha wohi pattay hawa denay lage

Bhout jee khush hua haali se mil kar


Bhout jee khush hua haali se mil kar 

Abhi kuch log baaqi hain jahan main

Us zulf pe phabti shab-e-dejoor ki soojhi


Us zulf pe phabti shab-e-dejoor ki soojhi 

Andhay ko andheray main bari door ki soojhi

Tujh se bichra to kidhar jaaon ga


Tujh se bichra to kidhar jaaon ga 
Main to be'chaini se mar jaoon ga 

Main to aise nahin jane wala
Chaand doobay ga to gahr jaaon ga 

Motiyon se bhara bartan hoon main 
Toot jaaon ga , bikhar jaaon ga 

Main to seh'maa hua snaata hoon 
Apni awaaz se dar jaaon ga 

Main agar koi samandar bhi hoon 
Ik tere dard se bhar jaaon ga

Waqat ki rut se main farhat 
Kahin chup chaap utar jaaon ga

Paas tum hote to koi shrarat kartay


Paas tum hote to koi shrarat kartay 
Tujhey le ke baanhon main mohabbat kartay 

Dekhtay teri aankhon main neend ka khumaar 
Apni khoyi hui neendon ki shikayat kartay 

Teri aankhon main apna aks dhoondty 
Khud se bhi ziada teri chahat kartay 

Jis ki hakoomat thi us ke ghulaam thay 
Qabeelay main ae dost kis se baghawat kartay 

Ek dil hi tha , woh bhi us ke paas tha 
Raat bahr jaag kar kis ki hifaazat kartay

KAbhi khud bhi mere paas aa meri baat sun mera sath de


KAbhi khud bhi mere paas aa meri baat sun mera sath de 

Jo khalish hai dil se nikaal ke mujhe uljhano se nijaat de

Tera sochna mera mashghala tujhe dekhna meri aarzoo

Mujhe din de apne khyal ka mujhe apne qurb ki raat de

Main akela bhatkoon kahan kahan yeh safar bhout taveel hai 

Meri zindagi mere sath chal mere hathon main apna hath de
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...