Jul 9, 2014

Shaairo dard likhtay raho


Shaairo dard likhtay raho 

Rooh ko sard likhtay raho 

Shaairo dard likhtay raho 

Ansoo'on ko sitara likho 

Khwaab ko ik ishara likho 

Ishq main sab gawara likho 

Dil ki qismat khasara likho 

Rat'jagay ista'ara likho 

Waqat kaisay guzara likho 

Raat ko be'sahara likho 

Kis ne kis ko pukaara likho 

Chaand hai zars likhtay raho 

Shaairo dard likhtay raho 

 

Tapak partay hain ansoo jab yaad tumhari aati hai faraz


Tapak partay hain ansoo jab yaad tumhari aati hai faraz

Yeh woh barsaat hai jis ka koi mousam nahin hota

Chehray parhta , aankhain likhta rehta hoon


Chehray  parhta , aankhain likhta rehta hoon 
Main bhi kaisi baatain likhta rehta hoon 

Mujh ko khat likhnay ke tewar bhool gaye 
Arhi tirchi satrain likhta rehta hoon 

Teray hijar main aur mujhe kiya karna hai 
Teray naam kitaabain likhta rehta hoon 

Teri zulf ke saaye dehaan main rehtay hain 
MAin subhon ki shaamain likhta rehta hoon 

Apne pyaar ke phool mehakti raahon main 
Logon ki dewaarain likhta rahta hoon 

Tujh se mil ke saaray dukh dohraaon ga 
Hijar ki saari baatain likhta rehta hoon 

Sookhy pool , kitaabain , zakham judai ke 
Teri sab soghatein likhta rehta hoon 

Us ki bheegi palkain basti rehti hain 
"Mohsin" jab tak ghazlain likhta rehta hoon

Sapney hain , yaadain hain , aur bhout kuch


Sapney hain , yaadain hain , aur bhout kuch 

Tum ho , tumhari baatain hain , aur bhout kuch 

Nahin chahtay hum tum ko bhulaana 

Magar doori hai , ik majboori hai , aur bhout kuch 

YEh doori ik din kat jaye gi 

Yeh faaslay ik din smit jayein gy 

Phir hum karain ge baatain , waade , izhaar , aur bhout kuch 

Main itni doori ke baad bhi in hawaon main mehsoos karta hoon 

Tumhari kushboo , tumhari awaaz , tumhara ehsaas , aur bhout kuch

O meray masroof khuda apni duniya dekh zara


O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara 

Itni khalqat ke hote 
Shaheron main hai snaata 

Jhompari walon ki taqdeer 
Bujha bujha sa ik diya 

Khaak uraatay hain din raat 
Meelon phail gaye sehra

Zaagh-o-zaghan ki cheekhon se 
Soona jungle cheekh utha 

Pyasi dharti jalti hai 
Sookh gaye behtay dariya 

Faslain jal ke raakh huein 
Nagri nagri kaal para 

O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara


Mohabbat , adawat , wafa be'rukhi



Mohabbat , adawat , wafa be'rukhi 

Kiraye ke ghar thay badaltay rahay

Apne haathon se kahin mera naam likh dena


Apne haathon se kahin mera naam likh dena 

Tum dua mat mangna sirf dua likh dena 

Is qadar zamanay ne kar diya bad'naam mujh ko

Zinda rahoon to jeenay ki saza likh dena 

Main roothay huye dost ko manaon kaisay 

Roothne wale yeh meri khata likh dena 

Juda ho ke tujh se jee lain gy 

In makhmali hathon se apni ek ada likh dena 

Tum kehtay thay tere bin jee na sakein gy

Akelay kaisay jee rahay ho zara wajha likhna 

Jis ko tum chaho woh mohabbat


Jis ko tum chaho woh mohabbat 

Jo tumhain chahye us ka kiya 

Jis kay liye tum roye woh mohabbat 

Jo tumhare liye roye us ka kiya

Jis kay liye tum tarpe woh mohabbat 

Jo tumhare liye tarpa us ka kiya 

Jis ko tum ne chaha woh tum ko mile 

Aur jis ko tum na mile us ka kiya

Bichar kar hum se phir kisi ke bhi na ho sako gy


Bichar kar hum se phir kisi ke bhi na ho sako gy

Kabhi main zabat main itna kamaal rakhta tha 

Khabar kahan thi mujhe hi woh  bhool jaye ga 

Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha 

Bichartay waqat ba'zahir to kuch na bola tha 

Magar nigah main so so sawal rakhta tha 

Woh muskura ke bhout dair chup raha 

Jaisay hansi ki aar main malaal rakhta tha 

Suan hai ab log ussay bhout statay hain 

Jis aik shakhs ka main bhout khyal rakhta tha

Woh rooth jata hai aksar shikwa kiye baghair


Woh rooth jata hai aksar shikwa kiye baghair 

Hum bhi to seh jate hai shikayat kiye baghair

Hum sochtay rahe mohabbat be'los hoti hai 

Yeh mohabbat youn hi ho jaati hai enayat kiye baghair

Tu kitna nadaan hai jaan itna to soch le

Jannat kab milti hai ebadat kiye baghair

Kasoor un ka nahin kasoor to hamara hai 

Hum ne mohabbat bhi to ki un ki ejazat liye baghair
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...