Jul 12, 2014

Haal-e-dil hum bhi sunaatay lakin


Haal-e-dil hum bhi sunaatay lakin 

Jab woh rukhsat hua tab yaad aya

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Haseeno se faqat saahib salamat door ki achi


Haseeno se faqat saahib salamat door ki achi 

Na un ki dosti achi , na un ki dushmani achi

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Chaheray sajay sajay hain to dil hain bujhay bujhay


Chaheray sajay sajay hain to dil hain bujhay bujhay 

Her shakhs main tazaad hai din raat ki tarah

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Chand tasveer-e-buttan chand haseeno ke khatoot


Chand tasveer-e-buttan chand haseeno ke khatoot

Baad marnay ke meray ghar se yeh samaan nikla

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jo sunai anjuman main , shab-e-gham ki aap beeti


Jo sunai anjuman main , shab-e-gham ki aap beeti 

Kai ro ke muskuraye , kai muskura ke roye

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jugnoo ko din ke waqat prakhnay ki zid karain


Jugnoo ko din ke waqat prakhnay ki zid karain 

Bachay hamaray ehad ke chlaak ho gaye

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jab aglay saal yahi waqat aa raha ho ga


Jab aglay saal yahi waqat aa raha ho ga 

Yeh kon jaanta hai , kon kis jaga ho ga

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jin ke honton pe hansi paaon main chaalay hon gay


Jin ke honton pe hansi paaon main chaalay hon gay

Haan wohi log tujhe chahnay wale hon gay 

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir


Jaanta hoon aik aisay shakhs ko main bhi munir 

Gham se pathar ho gaya , lakin kabhi roya nahin

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Jhoot bola hai to qaaim bhi raho is par zafar


Jhoot bola hai to qaaim bhi raho is par zafar

Aadmi ko saahib-e-kirdaar hona chahiye

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...