Jul 12, 2014

Duniya main "qateel" us sa munafaq nahin koi


Duniya main "qateel" us sa munafaq nahin koi 

Jo zulam to sehta hai , baghawat nahin karta

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dopehar ki dhoop main mere bulaanay kay liye


Dopehar ki dhoop main mere bulaanay kay liye

Woh tera khotahy pe nangay paaon ana yaad hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dua bahaar ki maangi to itnay phool khilay


Dua bahaar ki maangi to itnay phool khilay 

Kahin jaga na mili mere ashiyaane ko

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dewaar kiya giri meray kachay makaan ki



Dewaar kiya giri meray kachay makaan ki 

Logon ne meray sehan main rastay bana liye

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa


Dil munaafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan


Khalid main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 

Woh shakhs aakhrish mujhe be'jaan kar gaya

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Khat main likhaye huye ghairon ko salaam atay hain


Khat main likhaye huye ghairon ko salaam atay hain 

Kis qayamt ke yeh naamay meray naam atay hain

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Khanjar chalay kisi pe taraptay hain hum "Ameer"


Khanjar chalay kisi pe taraptay hain hum "Ameer"

Saray jahan da dard hamaray jigar main hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Khatar se ya lihaaz se main maan to gaya


Khatar se ya lihaaz se main maan to gaya 

Jhooti qasam se aap ka emaan to gaya

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar



Hashar main kon gawahi meri de ga sagar

Sab tumharay hi taraf'daar nazar atay hain

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...