Jul 24, 2014

Her lamha teri yaad ki khushboo hai mere paas


Her lamha teri yaad ki khushboo hai mere paas
Is shaher main tanha hoon magar tu hai mere paas 

Jis shakal ko chahon teri tasveer main badal doon 
Yeh husan-e-tasawur hai keh jaado hai mere paas

Rakhta hai sada jo meri raaton ko mo'attar 
Woh tere badan ka gul-e-khushboo hai mere pass 

Kiya mujh ko pasand ayein gay is shaher kay naghmay 
Tu hai meri jaan teri jaan hai mere pass

Kiyon thaamon ga jaan kisi aur ki baanhain 
Main nahin teri baanhain hain mere paas

Jab chahon sajan us kay nagar tak mujhay le jayein 
Sochon ka chamakta hua jugnoo hai mere paas

 

Ik tum , keh tumharay liye main bhi , meri jaan bhi


Ik tum , keh tumharay liye main bhi , meri jaan bhi 

Ik main , Keh mujhay tum bhi muyassar nahin atay

Chashm-e-nam , teri yaad aur baarish


Chashm-e-nam , teri yaad aur baarish 

Goya ik baarish kay saath , ik aur baarish

Dhoop ho chaaon ho tum saath nibhaya karna


Dhoop ho chaaon ho tum saath nibhaya karna 
Mere chehray pe sada palkon ka saya karna

Raah dekhon gi tumhari main sar-e-shaam youn hi 
Kabhi jaldi kabhi dair se aya karna 

Daant lena sar-e-mehfil koi baat nahin 
Phir akelay main gale laga kay mnaaya karna 

Jaan jaaon gi main khushboo se tumhari tum ko 
Tum peechay se meri aankhon ko chupaya karna 

Jaagna chahon to raat bhar baatein karna 
Neend aa jaye to seenay pe sulaya karna 
 

Jab tera dard mere saath wafa karta hai


Jab tera dard mere saath wafa karta hai 
Ik samandar meri aankhon se baha karta hai 

Uss ki baatein mujhay kushboo ki tarah lagti hain 
Phool jaisay koi sehra main khila karta hai 

Mere dosti ki yahi pehchaan kaafi hai 
Woh her ik shaks ko danasta khafa karta hai 

Aur to koi sabab us ki mohabbat ka nahin 
Baat itni hai keh woh mujh se jafa karta hai 

JAb khizaan aai to loat aye ga woh bhi 
Woh bahaaron main zara kam mil akarta hai 

Abhi tak mojood hai is dil pe teray qadmon kay nishaan


Abhi tak mojood hai is dil pe teray qadmon kay nishaan 

Hum ne teray baad kisi ko is raah se guzarnay hi nahin deta

Sun rahay ho baadlon ki garj-o-chamak


Sun rahay ho 
Baadlon ki garj-o-chamak 

Kuch isi tarah tarpa hai 
Hamara dil bhi aap kay liye

Dard itnay mile ab dard na raha


Dard itnay mile ab dard na raha

Bari be'dardi se ro diye keh koi dard na raha

Dil-e-veraan main mere bas dard ka basera tha

Magar dard bhi yeh keh gaya keh tumhain ab dard na raha 

Bhout karta hai zamana tareefain meri aankhon ki 

MAgar in dard bhari aankhon main ab dard na raha 

Aahain siskiyiaan bhi saath chor gayien mera 

Ajab zindagaani hui keh zindagi main ab dard na raha 

Udaas raaton main haal-e-dard sunaatay thay dard ko magar 

Shab-e-dard bhe yeh keh gayi keh "Neelum" ko ab dard na raha


Taaluq youn raha aik be'wafa se


Taaluq youn raha aik be'wafa se 

Wafa ki 

Phir wafa ki 

Phir wafa ki 

Bara afsoos hai saahib keh hum ne 

Khataa ki 

Phir khataa ki 

Phir khataa ki 

Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay


Kabhi khamosh baitho gay , kabhi kuch gun'gunao gay 

MAin itna yaad aayon gi mujhay jitna bhulao gay 

Koi jab pooch baithay ga khamoshi ka sabab tum se 

Bhout samjhana chahyo gay magar samjha na paao gay 

Kabhi duniya mukamal ban kay ayi gi nigahon main 

Kabhi meri kami dunia ki her shai main paao gay 

Kahin par bhi rahain hum aur tum mohabbat phir mohabbat hai 

Tumhain hum yaad ayein gay hamain tum yaad ayo gay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...