Jul 31, 2014

Ishq haara hai to dil thaam kay baithay kiyon ho

Ishq haara hai to dil thaam kay baithay kiyon ho 

Tum to her baat pe kehtay thay koi baat nahin

Haya se sar jhuka lena , ada se muskuraa dena

Haya se sar jhuka lena , ada se muskuraa dena 

Haseen ko bhi kitna sehal hai , bijli gira dena

Roothnay wale agar ijaazat ho

Roothnay wale agar ijaazat ho 

Eid kay roz , milnay aa jaon

Khaali haaton ko kabhi ghour se dekha hai faraz

Khaali haaton ko kabhi ghour se dekha hai faraz

Kis tarah log lakeeron se nikal jaatay hain

Meri yaadon se agar bach niklo to wada hai mera tum se

Meri yaadon se agar bach niklo to wada hai mera tum se 

Main khud duniya se keh doon ga kami meri wafa main thi 

Aaj ki raat bhi mumkin hai main na so sakoon

Aaj ki raat bhi mumkin hai main na so sakoon

Yaad phir aye hain neendon ko uraanay wale

Us ki aankhon main likhi hui thein jal thal baatein

Mujh se milta tha to karta tha woh bojhal baatein 
Us ki aankhon main likhi hui thein jal thal baatein 

Kitnay israar thay pinhaan us ki zaat main 
Us ki khamoshi samandar thi aur saahil baatein 

Us ki aankhon main tha junoon aur chehray pe sakoon 
Kitna dewana tha woh shakhs aur paagal baatein 

Meri tanhai ka jungle bhe mehak uth'ta tha 
Yaad ati hain teri jab bhi woh sandal baatein 

Meri hasti ko chupa leti thein jo saaye main 
Dhoop mousam main kar jaata tha woh badal baatein 

Log lafzon se bhi maar jaatay hain ehsaas karo
Rooh ko das leti hain aksar yahan qaatal baatein 

Bheegti aankhon main khushboo smait rakhta tha 
Jheel aankhon main likhi hotein thein kanwal baaten
 
Jul 30, 2014

Naye Saal Ki Pehli Nazam

Naye Saal Ki Pehli Nazam 

Andeshon kay darwazon par 
Koi nishaan lagata hai 
Aur raaton raat tamaam gharon par 
Wohi siyahi phir jaati ahi 

Dukh ka shab-e-khoon roz adhoora reh jaata hai 
Aur shanakht ka lamha beet'ta jaata hai 
Main aur mera shaher-e-mohabbat
Tareeki ki chadar orhay 
Roshni ki aahat par kaan lagaye kab se baithay hain 
Ghoron ki taapon ko suntay rehtay hain 
Had-e-smaat se aagay jaanay wali awazon kay resham se 
Apni rida-e-siyaah par taaray kaarhtay rehtay hain 
Angishtaanay ik ik kar kay chalni honay ko aye 
Ab baari angisht-e-shahdat ki anay wali hai 
Subha se pehlay woh katnay se bach jaye .... to 

Parveen Shakir

Jul 29, 2014

Ikhtiyaar ki aik koshish

Ikhtiyaar ki aik koshish

Agar ban main rehna muqadar hai 

Aur yeh aik teh shuda amar bhi hai 

Keh her ban main bas bhariye (Wolf) muntazir hain meray 

To yeh sochti hoon 

Keh is surat-e-haal main 

Kiyon na phir

Apni marzi kay jungle main hi ja bason !
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...