Jul 31, 2014

Her ek gham ko bhula dena tum ab eid sy pehle pehle

Zara sa muskra dena tum ab eid sy pehle pehle

Her ek gham ko bhula dena tum ab eid sy pehle pehle

Na socho k kis kis ne dil dukhaya

Hr ek ko muaf kr dena eid sy pehle pehle

Kya pata phir moqa na mil paye hmen

Is liye dil ko tum saf kr lena eid se pehle pehle

Ho sakta hy hum rahen na rahen

Isi liye dety hy eid ki

'' mubarak '' bad eid se pehle pehle

Zara sa muskra dena tum ab eid say pehle pehle

Eid ghazal

Zara sa muskra dena tum ab eid say pehle pehle

Hr ek gham ko bhula dena tum ab eid say pehle pehle

Na socho k kis kis ne dil dukhaya

Hr ek ko muaf kr dena eid say pehle pehle

Kya pata phir moqa na mil paye hmen

Is liye dil ko tum saf kar lena eid say pehle pehle

Ho sakta hy hum rahen na rahen

Isi liye dety hy eid ki

'' Mubarak '' bad eid say pehle pehle

Ishq haara hai to dil thaam kay baithay kiyon ho

Tum to her baat pe kehtay thay koi baat nahin

Haya se sar jhuka lena , ada se muskuraa dena

Haseen ko bhi kitna sehal hai , bijli gira dena

Roothnay wale agar ijaazat ho

Roothnay wale agar ijaazat ho 

Eid kay roz , milnay aa jaon

Khaali haaton ko kabhi ghour se dekha hai faraz

Kis tarah log lakeeron se nikal jaatay hain

Meri yaadon se agar bach niklo to wada hai mera tum se

Main khud duniya se keh doon ga kami meri wafa main thi 

Aaj ki raat bhi mumkin hai main na so sakoon

Yaad phir aye hain neendon ko uraanay wale

Us ki aankhon main likhi hui thein jal thal baatein

Mujh se milta tha to karta tha woh bojhal baatein 

Kitnay israar thay pinhaan us ki zaat main 
Us ki khamoshi samandar thi aur saahil baatein 

Us ki aankhon main tha junoon aur chehray pe sakoon 
Kitna dewana tha woh shakhs aur paagal baatein 

Meri tanhai ka jungle bhe mehak uth'ta tha 
Yaad ati hain teri jab bhi woh sandal baatein 

Meri hasti ko chupa leti thein jo saaye main 
Dhoop mousam main kar jaata tha woh badal baatein 

Log lafzon se bhi maar jaatay hain ehsaas karo
Rooh ko das leti hain aksar yahan qaatal baatein 

Bheegti aankhon main khushboo smait rakhta tha 
Jheel aankhon main likhi hotein thein kanwal baaten
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...