Sep 4, 2014

Khathan andheron ki raah'guzar pe chragh-e-subho jala jala kar

Qasam se aankhain thak gayi hain tumharay aansoo chupa chupa kar 

Yeh kiya khabar thi keh ek chehray se kitnay chehray kasheed hon gay 

Main thak gaya hoon tumhary chehron ko aainay main saja saja kar 

Hum itnay sada mizaaj kab thay , magar sarabon ki raah'guzar pe

Fraib deta raha zamana , tumhari surat surat dikha dukha kar 

Ajab tanasub se zehn-o-dil main khyaal taqseem ho rahay hain 

MAgar mohabbat si ho gayi hai tumhain mohabbat sikha sikha kar 

Duniya se mujhay pyaar tha sab bhool chuka hoon

Ik shakhs mera yaar tha sab bhool chuka hoon 

Bakhshi hai mujhay pyaar kay badlay meri judai 
Jo bhi tera kirdaar tha sab bhool chuka hoon 

Bas itna mujhay yaad ek wisaal ki shab thi 
Iqraar tha inkaar tha sab bhool chuka hoon 

Haan meri khata thi keh tujhay toot kay chaha 
Haan main hi gunaah'gaar tha sab bhool chuka hoon 

Ik shakhs ne pagal sa bana rakha tha hamain 
Main kitna samjh'daar tha sab bhool chuka hoon 

Khafa ho kay mujh se , mujhay parishaan karta hai

Ajab shakhs hai , Khuda se bad'gumaan karta hai 

Na meri parwaah hai , na mere haal ki kuch khabar 
Salook woh karnay laga hai , jaisay anjaan karta hai 

Woh mere zikar se uktaana, mujh se katraa kay guzar jana 
Aisa lagta hai woh doori ka samaan karta hai 

Pehlay mujh se milna hi eham tha jis kay liye 
Ab milta bhi hai to jaisay ehsaan karta hai 

Tark-e-taaluq karna hai to saaf keh dy mujh se 
Woh aisi baatein ghairon se kiyon biyaan karta hai

Aansoon ki tarah nazron se giraya us ne

Aansoon ki tarah nazron se giraya us ne
Apni khabar na mili kuch , aisay khaak main milaya us ne 

Ilzaam mujh pe lagaya magar , be'wafa khud tha
Pehlay dewaana banaya phir mujhay thukraya us ne 

Us ko maza aata hai mujh ko tarpaanay main 
Mujhay geeli lakri ki maanind jalaya us ne 

Aya na tha us ko wada wafa karna 
Logon ko jhoota apni wafa ka qissa sunaya us ne 

Tanhaiyon kay dard se khoob waqif tha woh 
Phir bhi duniya main tanha mujhay banaya us ne 
 
Kat hi gayi judai bhi , kab yeh hua keh mar gaye

Tere bhi din guzar gaye , mere bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai , hum bhi kuch aur aur hain 

Janay woh tum kidhar gaye , janay woh hum kidhar gaye

Waqat hi judai ka itna taweel ho gaya 

Dil main tere wisaal kay jitnay thay zakham bhar gaye

Woh Ghubaar-e-khaak tha , hum bhi ghubaar-e-khaak thay 

Woh bhi kahin bikhar gaye , hum bhi kahin bikhar gaye

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...