Sep 4, 2014

Aj keeya zikar kisi ne jo tumhara

Aj keeya zikar kisi ne jo tumhara 
Halkay halkay se phir tum yaad aanay lagay 

MAin puraani baaton kay samandar main doobnay laga 
Dil main ik baar phir tum utarnay lagay 

Palkon kay darwazay ko band kiya main ne 
Aur aansoo ban kay tum aankhon se behnay lagay 

Be'basi itni keh mere haath uth gaye 
Do'bara Allah se tumhain maangnay lagay 

Zikar tumhara sun kar ek baar phir 
Mere jazbaat tumhari tamana karnay lagay 

BAna kay tasveer teri mere zehan main 
Mere tootay armaan ronay lagay 

Paa kay tumhain khwaabon main hum 
Jaag kay phir tumhain khonay lagay 

Waada chahta hoon taqdeer se yeh 
Keh badal dy woh jo honay lagay

Meri saanson main teri khushboo to basi aaj bhi hai

Dil ki khwaish hai keh tumhain chor kar phir se dekhon 

Faaslay itnay bhi ho jayein gay socha hi na tha 
Tere ehsaas main teri tasveer main kab tak dekhon 

Kaisay dohrahay pe kharri hoon keh aqal saakat hai 
Dar hai piyaron se judai ka , khud ko tarapta dekhon 

Tera ehsaas-e-junoon mujh ko bhi pyara hai magar 
Ishq kay anjaam main apnay liye aziyat dekhon 

Dil dewaana tha kabhi tera so aaj bhi hai 
Teri aankhon main wohi pyaar main phir se dekhon 

Main ne her lamha khuda se maangi hai dua 
Main tere pyaar ka mousam sadaa hi dekhon 

Gali main dard kay purzay talaash karti thi

Mere khatoot kay tukray talaash karti thi 

Bhulaye kon aziyat pasandiyan us ki
Khushi kay dariya main sadmay talaash karti thi 

Ajeeb hijar parasti thi us ki fitrat main 
Shajar kay tootay huye pattay talaash karti thi  

Tamaam raat woh parda hata ky chaand kay saath 
Jo kho gaye thay woh lamhay talaash karti thi  

Kuch is liye bhi mere ghar se ussay wehshat thi 
YAhan bhi apnay hi pyaaray talaash karti thi  

Ghumaa phiraa kay judai ki baat karti thi
Hamesha hijar kay harbay talaash karti thi  

Duaein karti thi ujrray huye mazaaron par 
Baray ajeeb saharay talaash karti thi  

Mujhay to aaj baadlon ne bataya hai "Wasi"
Woh loat aanay kay raastay talaash karti thi 

Hum to be'naam se be'aasra log hain "Wasi"

Koi agar yaad rakhaye ga to us ki inayat ho gi

Meri to sabhi wafaein ajeeb si hain

Meri to sabhi wafaein ajeeb si hain 
Mohabbaton main yeh sari inthaein ajeeb si hain 

Kabooliyat kay tamaam raastay khulay hain lakin 
Mere labon pe sabhi duaein ajeeb si hain 

Jo un se mujh ko nahin bulaya to ro dia main 
Ajeeb hoon main , meri inayatein ajeeb si hain 

Ussay mana kar kisi bahanay se rooth jana 
Phir us ka kehna keh yeh adaein ajeeb si hain

Khathan andheron ki raah'guzar pe chragh-e-subho jala jala kar

Qasam se aankhain thak gayi hain tumharay aansoo chupa chupa kar 

Yeh kiya khabar thi keh ek chehray se kitnay chehray kasheed hon gay 

Main thak gaya hoon tumhary chehron ko aainay main saja saja kar 

Hum itnay sada mizaaj kab thay , magar sarabon ki raah'guzar pe

Fraib deta raha zamana , tumhari surat surat dikha dukha kar 

Ajab tanasub se zehn-o-dil main khyaal taqseem ho rahay hain 

MAgar mohabbat si ho gayi hai tumhain mohabbat sikha sikha kar 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...