Sep 12, 2014

Zindagi kitni khoobsurat hai


Tum na maano magar haqeeqat hai 

Ishq insaan ki zaroorat hai 

Us ki mehfil main baith kar dekho 

Zindagi kitni khoobsurat hai

Jab tum apnay ho


Phir dukh kaisa 

Jab tum apnay ho
Aur hum apnay hain 
Phir dukh kaisa 
JAb zameen se uggay fasanay 
Aur dil main chuppay khazanay 
Sab aik hain 
Phir dukh kaisa 
Jo us ne lagay tan par 
Aur hum ne sajaye dil main 

Sab zakham hain 
phir dukh kaisa 
Jab phoolon kay chehray par 
Aur dil se behtay lahoo main 
Sab rang hain 
Phir dukh kaisa 
Jab jheel se behta paani 
Aur aankh se tapka aansoo
Sab aik hain 
Phir dukh kaisa 
 

Saamnay baitha tha meray aur woh mera na tha


Faaslay aisay bhi hon gay yeh kabhi socha na tha 
Saamnay baitha tha meray aur woh mera na tha 

Woh keh khushboo ki tarah phaila hua tha chaar su
Main ussay mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha 

Raat phir pichli si aahat kaan main aati rahi 
Jhaank kar dekha gali main koi bhi aya na tha 

Aaj us ne dard bhi apnay alhe'da kar diye 
Aaj main roya to meray saath woh roya na tha 

Yeh sabhi veeraniyan us kay juda honay se thein 
Aankh dhundlai si thi sar dhundlaya na tha 

Yaad kar kay takleef aur bhi hoti thi adeem 
Bhool janay kay siwa ab koi bhi chara na tha 

Jo guzra sehan-e-gulshan main zamana bhool ja


Leh'lahaati shaakh par apna thikaana bhool ja 
Jo guzra sehan-e-gulshan main zamana bhool ja 

Jung ka ilaan kar day baagh'baano kay khilaaf 
Nazar-e-aatish jo hua woh ashiyaana bhool ja 

Sab ana'dil gungunaatay hain bahaaron main jaisay 
Yeh zamana kehta hai to woh traana bhool ja 

Her sana gar ki baghal main hai churri ae hum'nawaaz
Dosti to ehal-e-gulshan se nibahana bhool ja 

HAq praston kay huye hain sar qalam jis dour  main 
Her koi kehta hai "Raahi" woh zamana bhool ja 

Apni chahaton ka ik hisaab rakhna


Tum se arz faqat itni si hai 

Tum se arz faqat itni si hai 
Meri hansti khailti zindagi ko 
Taza gulaabon ka baab likhna 
Jo chalon main to meray sang chalna 
Jo giron to thaam lena 
Kabhi jo main rooth jaaon to 
Meri simat tum chalay aan a
Barhaa kar haath apna man'na lena 
Magar suno 
Hum qna'at pasand log hain 
Apni chahaton ka ik hisaab rakhna 
Tum se arz faqat itni si hai

Kiya mila teri justagoo kar kay


Apni aankhain lahu lahu kar kay 
Kiya mila teri justagoo kar kay 

Ik tamana hai bas yahi dil main 
Dekhon tujh ko main ru-ba-ru kar kay 

Ab woh shayed kabhi na meray hon 
Un se dekha hai guftagoo kar kay 

Teri qurbat ko paalnay kay liye 
Baith jatay hain hum wuzu kar kay 

Hum se "Rana" khafa khafa hain woh 
Kaam aisay gaye adu kar kay

Subha jis dam main jaaga hoon


Khushi ka din mubaarak ho 

Subha jis dam main jaaga hoon 
Ajeeb manzar yeh dekha 
Khushi ka raqas hai her su
Hawaon main bhi hai khushboo
Darakhton kay haray pattay 
Khushi se lehlahatay hain 
To yuon mehsoos hota hai 
Yeh sab taali bajaatay hain 
Prinday cheh'chatay hain 
Ya shayed gun'gunaatay hain 
Koi to baat hai aisi 
Ho her shay par hai youn masti 
Meray dil main hui hal'chal 
Mujhay kuch yaad aya hai 
KEh din hai yeh wohi shayed 
Kai baras pehlay jab 
Usi din kay kisi lamhay 
Jo tum duniya main aye thay 
YEh mousam aur sab hawaein 
Darakhton kay haray pattay 
Prinday aur fizaein sab 
Khushi se keh rahay hain yeh 
Tumhain yeh din mubarak ho 
Khushi ka din mubarak ho

Rat'jagon ka azaab rehnay do


Zindagi par ataab rehnay do 
Rat'jagon ka azaab rehnay do 

Zikar chairo wisaal ka ab to 
Hijar ka aztraab rehnay do 

Itna kaafi hai tum hamaray ho 
Dosron ko janaab rehnay do 

Koi tabeer ho na ho in ki 
Meri aankhon main khwaab rehnay do 

Tum se silaab ruk nahin saktay 
Bastiyaan zer-e-aab rehnay do 

Tum kizaan ka paiaam laye ho 
Phir bhi ik do gulaab rehnay do 

Ab na ulto naya warq koi
Band gham ki kitaab rehnay do

Shehzaday tum phool nagar kay baasi ho


Shehzady

Shehzady
Tum phool nagar kay baasi ho
Nazuk se phoolon main rang sajatay ho 
Sapno ki komal duniya ko chahat se mehkaatay ho 
Champa, chambaili, gulaab aur bela
Saray teray saathi hain 
Shokh se khushboo buntay ho
Aur rangon main dhal jaatay ho
Shehzady tum mera aanchal dekh rahay ho
Kitna maila , kitna khaali 
Zard sa odha rang hai is ka 
Khaali is kay haath 
Jaga jaga se dast bareeda , jaga jaga se zakhmi hai
Sehzady mera yeh aanchal tum phoolon se bhar do na 
Sehzaday kuch phool nagar kay phool mujhay bhi dy do na 
Shokh se gehray rangon se meray aanchal ko rang do na 
Khushboo se mehkaao aur rangon se bojhal kar do na 
Apnay pyaar ki baarish se meray mann ko jal thal kar do na 
Itna mujh ko chaho keh tum 
Mujh ko pagal kar do na 
Shehzaday tum phool nagar kay baasi ho
Mujh ko phool ka tohfa de do na

Kaho jana tumhain kis baat ka dar hai


Woh mujh se poochta tha 
Kaho jana 
Tumhain kis baat ka dar hai 
Main tum ko chor jaaon ga , kabhi wapis nahin aaon ga 
Tumhain dil se bhula doon ga , kabhi wapis na aaon ga 
Tumhain dil se bhula doon ga, yeh taaluq rakh na paaon ga 
Kaho jana tumhain kis baat ka dar hai 
Tumharay hotay koi doosri larki 
Meray dil-o-nigah main , qasam lay lo bas nahin sakti 
Keh jab tak saans chalti hai 
Tumhain main kho nahin sakta , kisi ka ho nahin sakta 
Kaho jana , tumhain kis baat ka dar hai 
Kiyon mujh se bad'gumaan ho tum 
Qasam lay lo tumhain kho kar main hargiz jee nahin sakta 
Keh yeh "Zehar-e-judai" jo hai is ko pee nahin sakta 
Suno , jana 
Meri be'loas chahat par 
Kabhi apnay yaqeen kay hont rakho
Main kitna pyaar karta hoon , Kabhi azmaa kay dekho
Baray dawaye woh karta tha , Woh janay kiya kiya kehta tha 
Main is kay talismi daawon ki dori main uljh kar 
Khud hi apnay aap ko framosh kar baithi 
MAgar aik dam jo rutt badli 
To mujh se kho gaya sang'dil ,kisi ka ho gaya sang'dil
Woh jsi ka dil meray dil main dharakta tha 
Jo meri rooh main hi saans leta tha 
Badalti rut main youn badla keh phir 
Koi bhi daawa yaad us ko reh na paya 
Mohabbat kay safar main aik dam se raah badalnay ki wajahwoh keh nahin paya 
Woh jis ko aik pal meray bina jeena bhout dushwaar lagta tha 
Jo meri ik pal ki khamoshi pe tarap uth'ta tha 
Usi sandil ne meri rooh main veeraaniyan bhar dein 
Meri roshan nigahon main ajab hairaaniyan bhar dein 
So ab hum hain , hamara dard hai , aur be'zubaani hai , yahi apni kahaani hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...