Dec 28, 2014

Woh be'wafa ho kar bhi tujhay pyaray hain Aye dil


Woh be'wafa ho kar bhi tujhay pyaray hain Aye dil

Khuda janay un main wafa hoti to kiya hota


Kal tak jo kehtay thay keh ronq-e-mehfil tujh se hai


Kal tak jo kehtay thay keh ronq-e-mehfil tujh se hai 

Aaj wohi mujh se ulajhtay hain keh tum mehfil main na aya karo

Teri qasam abhi tak soye nahin hum


Teri qasam abhi tak soye nahin hum 

Ronay ko dil karta hai par roye nahin hum 

Yaad na karain tum ko aur so jayein hum 

Itnay be'wafa abhi huye nahin hum

Yeh kiya her dam kisi ki minatein karna


Yeh kiya her dam kisi ki minatein karna 
Kiya issi ko kehtay ho mohabbat karna

Jo apni qismat main hai milay ga wohi
Phir kis baat par rab se shikayat karna 

Yeh pagal pan nahin to aur kiya hai 
Phir zameen kay ho kar asmaan se bagawat karna

Bhout kar chuka hai logo pyaar yeh dil
Ab koi sikhaye is ko bhi nafratein karna

Pehlay yaad karna ussay phir rotay rehna 
Na janay kab choray ga dil yeh harkatein karna

Muddat se jis kay wastay dil be'qaraar tha


Muddat se jis kay wastay dil be'qaraar tha 

Woh loat kar na aaya magar intizaar tha 

Jo hamsafar tha chor gaya raah main mujhay

Main phans gaya bhanwar main aur woh dariya kay paar tha 

Manzil qareeb aayi to tum door ho gaye 

Itna to tum bataao keh yeh kaisa pyaar tha 

Dewaar bana di yeh kis ne dono kay darmiyaan 

NA woh sakoon se baitha na mujh ko qaraar tha 

Yeh baat umar bhar samjh na paya main 

Kiyon dil mera us ka talab'gaar tha 


Meri aankhon se kabhi utro dil main


Meri aankhon se kabhi utro dil main 

Keh main dharkan main basa loon tum ko 

Jaan se bhi barh kar chahon tumhain 

Apni zindagi hi bana loon tum ko 

Meray khwabon main sirf tum hi baso

Apni neendon main saja loon tum ko 

Logon ki bheer main kho na jana kahin 

Zamanay se hi chalo main chura loon tum ko

Meri tanhai ko zaroorat hai tumhari Dost

Agar ijaazat ho to yaadon main basa loon tum ko

Khamosh hoon main lakin inkaar nahin


Khamosh hoon main lakin inkaar nahin 

Meri na'kamyabiyan hain ' haar to nahin 

Hum tumhain pa na sakay to kiya hua 

Lakin sirf tumhain pa lena pyaar to nahin

Main khud hairaan hoon apnay sabar ka pehlu dekh kar


Main khud hairaan hoon apnay sabar ka pehlu dekh kar 

Us ne yaad karna chor diya par main ne intizar nahin chora

Sookhaye patton ki tarah bikhray hain hum to


Sookhaye patton ki tarah bikhray hain hum to 

Kisi ne samaita bhi to sirf jalanay kay liye

Jab tujhay basaya hai dil ki gehraiyon main


Jab tujhay basaya hai dil ki gehraiyon main 

To yeh kaisay mumkin hai raat ho aur main tujhay yaad na karon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...