Jan 2, 2015

Baray shouq se utar'tay thay hum samandar-e-ishq main


Baray shouq se utar'tay thay hum samandar-e-ishq main 

Ik lehar ne aisa bubaya keh ab tak kinaara na mila

Sirf waqat guzaarna tha to kisi aur ko apna letay


Sirf waqat guzaarna tha to kisi aur ko apna letay 

Tumhain bataya tha na hum pyaar ibadat ki tarah kartay hain

Teri talab ki had ne aisa junoon baksha hai


Teri talab ki had ne aisa junoon baksha hai 

Keh hum neend se uth baithay tujhay khwaab main tanha dekh kar 

Kabhi jo zindagi ki uljhanain tum ko hi uljha dain


Kabhi jo zindagi ki uljhanain tum ko hi uljha dain 
KAbhi jo raaston kay faaslay katay na katein 
KAbhi jo raat ki tanhai main tum saaye ko dhoondo
Kisi apnay ko tum socho
Kisi pyaaray ko tum dhoondo
To phir tum apni ungliyon kay darmiyaan kuch mehsoos kar lena
Apnay haath ki grifat main tum 
Ik haath paao gay
Mujhay tum saath paao gay 
Hamesha saath paao gay

Zindagi yeh meri janay kiya se kiya ho gayi



Zindagi yeh meri janay kiya se kiya ho gayi 
Tu jo bichra jana to meri her ada kho gayi 

Tujhay dekh kar saja kartay thay is gulshan kay phool 
Teri udaasi dekh kar in ki her muskaan toot gayi 

Tera saath tha to her soo bahar thi 
Tu jo rootha to jaisay meri her kushi so gayi

Kiyon tarsaatay ho hum be'qaraaron ko tum 
Keh ab to is dil ki her gali hi veraan ho gayi

Lay kar zanjeer haathon main kuch log tumhari taak main hain


Lay kar zanjeer haathon main kuch log tumhari taak main hain 

Aye ishq hamari galiyon main na aur phiray to acha hai

Teri yaad ki bhool buliyon main gum ho kar


Teri yaad ki bhool buliyon main gum ho kar 

Mujhay aksar chaaye thandi peeni parti hai 

Yeh dil udaas hai bhout koi paighaam hi likh do


Yeh dil udaas hai bhout 
Koi paighaam hi likh do 
Tum apna naam likh do 
Gumnaam hi likh do

Meri qismat main gham-e-tanhai hai magar 
Tamaam umar na likho 
Ek shaam hi likh do 

YEh jaanta hoon keh umar bhar tanha mujh ko rehna hai
PAl do pal 
Ghari do ghari
Mera naam hi likh do 

Chalo hum maan letay hian 
Keh saza kay mustahiq tehray 
Koi inaam na likho
Koi ilzaam hi likh do
 

Chal tujhay dikha doon apnay apnay dil ki veeran galiyan


Chal tujhay dikha doon apnay apnay dil ki veeran galiyan 

Shayed keh tujhay taras aa jaye meri udaas zindagi par 

Mujhay maloom hai main us kay bina ji nahin sakta


Mujhay maloom hai main us kay bina ji nahin sakta 

Us ka bhi yahi haal hai , magar kisi aur kay liye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...