Jan 4, 2015

Kabhi bhool kar bhi na jana mohabbat kay jungle main


Kabhi bhool kar bhi na jana mohabbat kay jungle main 

Wahan saamp nahin insaan dasa kartay hain

Bari talab hai teray dedaar ki be'chain nighon ko


Bari talab hai teray dedaar ki be'chain nighon ko 

Kisi shaam chalay aayo in aankhon main raat ka khwaab ban kar

Tairna to ata tha hum ko mohabbat kay samandar main


Tairna to ata tha hum ko mohabbat kay samandar main 

Jab us ne hath na pakra to hamin doob jana acha laga

Sach hi kaha tha kisi ne tanhaa jeena seekh lo


Sach hi kaha tha kisi ne tanhaa jeena seekh lo 

Mohabbat jitni bhi sach ho rehna tanha hi parta hai

Maana keh nahin aata mujhay kisi ka dil jeetna


Maana keh nahin aata mujhay kisi ka dil jeetna

Magar yeh to batao keh yahan dil hai kis kay paas

Kuch raaz hain jo bataye nahin jaatay


Kuch raaz hain jo bataye nahin jaatay 

Kuch aansoo hain jo giraye nahin jatay

Hum woh bad'naseeb hain jo yaad nahin aatay

Aur aap woh kush'naseeb hain jo bhulaye nahin jatay

Dil karta hai lipat jaaon rooh ban ar teray jisam se


Dil karta hai lipat jaaon rooh ban ar teray jisam se 

Keh jab tu mujhay khud se juda karay to teri bhi jaan nikal jaye

Kabhi maang kar dekho tumharay liye to jaan bhi du dain gay


Kabhi maang kar dekho tumharay liye to jaan bhi du dain gay 

Hum dil walon ki qadar dil se nahin apni jaan se kartay hain

Jan 3, 2015

Mumkin nahin keh woh mujh ko bhula day ga


Mumkin nahin keh woh mujh ko bhula day ga 

Woh to her pal her dam mujh ko dua day ga 

Pyaar diya hai is qadar us ko main ne 

Kis tarah woh kisi ko meri jaga day ga

Main roya nahin rulaya gaya hoon


Main roya nahin rulaya gaya hoon 
Bana kar pasand phir thukraya gaya hoon

Chor diya gaya taqdeer kay shaher 
Payar kay naam pe jalaya gaya hoon 

Bhout hi narm-o-nazuk tha mizaaj apna 
Jeetay jee khaak main milaya gaya hoon 

Mareez-e-mohabbat ko gulaab raas kahan 
Hamesha kay liye kaanton par sulaya gaya hoon 

Be'mout na marta to kiya karta 
Bhari duniya main youn sataya gaya hoon 

Kabhi jo palkon pe naaz uth'tay thay 
Aaj usi nazar se giraya gaya hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...