Feb 1, 2015

Tairagi hai keh um'madti hi chali aati hai


Tairagi hai keh um'madti hi chali aati hai 

Shab ki rag rag main lahu phat raha ho jaisay 

Chal rahi hai kuch is andaaz se nabz-e-hasti 

Dono aalam ka nasha toot raha ho jaisay 

Raat ka garam lahoo aur bhi beh jaanay do 

Yeh hi tareeki to hai ghaaz-e-rukhsaar-e-sehar 

Subha honay ko hai Ae dil-e-be'taab tehar 

Woh loat kar wapis aa jaye


Kuch raat ki aankhein bheegi thein 
Aur chaand bhi rooth rooth tha 
Aur dil bhi toota toota tha 

Kis mor pe bichray yaad nahin 
Honton pe koi fariyaad nahin 
Is waday ki bhi khabar nahin 

Woh sacha tha ya jhoota tha 
Her lamha aahein bhartay hain 
Na jeetay hain na martay hain 

BAs ik dua yeh kartay hain 
Woh loat kar wapis aa jaye 
Woh loat kar wapis aa jaye 

Okhay painday lambiyaan rahwaan ishq diyaan


Her her dil her thaan ich ishq smaya Ae
Arsh farsh tay ishq ne qadam tikaya Ae
Ain chodan tabaq andar thwaan ishq diyaan 
Okhay painday lambiyaan rahwaan ishq diyaan 
Ain baatin Ain-ul-haq sadawaan ishq diyaan 
Okhay painday lambiyaan rahwaan ishq diyaan 
Dard jigar wich sakhat sazwaan ishq diyaan 

Zulekhaa kay ishq ne yeh raaz khola


Zulekhaa kay ishq ne yeh raaz khola 

Sanam haseen ho to , neeyat badal hi jaati hai 

Kya kaha ishq mar gaya hai ?


Kya kaha ishq mar gaya hai ?

Elaan kar do yaaro , kal eid ho gi

Main faraz-o-wasi nahin jo karon lafzon main us ka husan biyaan


Main faraz-o-wasi nahin jo karon lafzon main us ka husan biyaan 

KAhan alfaaz , aur kahan meray yaar ka husan
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...