Feb 6, 2015

Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain


Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain 
Wahan to kuch nahin hota jahan par tum nahin hotay

Wahan waisay to her soghaat asaani se milti hai 
Par mera dil nahin lagta jahan par tum nahin hotay

Yahan to log sadiyon ko bhi lamhon main badaltay hain 
Mera ik pal nahin kat'ta jahan par tum nahin hotay 

Sabab ronay ka woh poochain to itna keh dena 
Mujhay hansna nahin aata jahan par tum nahin hotay

Zaroori nahin pyar ki manzil mil jaye


Zaroori nahin pyar ki manzil mil jaye 
Jissay hum chahtay hain woh hamein mil jaye 

Na milay to na kaho ussay be'wafa
Dua karo koi hum se bhi acha ussay mil jaye

Kisi ko kya hasil ho ga mujhay yaad karnay se


Kisi ko kya hasil ho ga mujhay yaad karnay se 

Main to aam sa insaan hoon yahan to sab ko khaas ki talaash hai

Anjaam ki khabar hoti to hum mohabbat hi na kartay


Anjaam ki khabar hoti to hum mohabbat hi na kartay 

Na unhon ne wafa ki na kisi ki wafa kay qabil chora

Baat baat par aur her baat par judai ki dhamki


Baat baat par aur her baat par judai ki dhamki 

Tum ne to mohabbat main bhi bad'maashi laga rakhi hai

Khushiyaan bhi tarasti hain mujh se milnay ko


Khushiyaan bhi tarasti hain mujh se milnay ko 

Aur gham to bas na poocho , jaisay ko jigri yaar ho mera

Teray ishq ne sarkari daftar bana diya dil ko


Teray ishq ne sarkari daftar bana diya dil ko 

Na koi kaam karta hai na koi baat sunta hai

Meray dil main mohabbat bhout thi


Meray dil main mohabbat bhout thi 
Magar phir bhi tum ko shikayat bhout thi 

Mera dard khulta bhi kiyon kisi par 
Mujhay muskuraanay ki aadat bhout thi 

Meri zindagi main woh lamhay bhi aaye 
Jab mujhay her qadam par tumhari zaroorat bhout thi

Mananay ka mujh main hunar hi nahin tha 
Aur tum ko rooth janay ki aadat bhout thi

Tum main heeray ki sift hai to andheron main milo


Tum main heeray ki sift hai to andheron main milo 

Dhoop main kaanch kay tukray bhi chamak saktay hain

Pani ki lakeeron pe harf-e-biyaan likhna chor do


Pani ki lakeeron pe harf-e-biyaan likhna chor do 
Saahil pe rait kay kachay makaan banana chor do 

Chaho to be'sabab chaho hamein warna 
Meri maano to chahat kay asbaab banana chor do 

Zamana naam hai mushkalon aur nafraton ka 
Meray liye zamana ya mujhay zamanay kay liye chor do 

Hosla to bhout deti ahi mohabbat bhi nafrat bhi 
Mujhay paanay ki koshish to karo chahye hasil kar kay chorr do
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...