Feb 28, 2015

Her ik chragh ki lo aisi soyi soyi thi


Her ik chragh ki lo aisi soyi soyi thi 

Woh shaam jaisay kisi se bichar kay royi thi

Keh do ussay judai aziz hai to rooth jaye


Keh do ussay judai aziz hai to rooth jaye 

Woh hamaray bin jee sakta hai to hum bhi mar nahin jayein gay

Woh dil'nawaz hai lakin nazar shanas nahin


Woh dil'nawaz hai lakin nazar shanas nahin 
Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin 

Tarap rahay hain zubaan par kai sawal magar 
Meray liye koi shaan-e-iltamaas nahin 

Teray jalu main bhi dil kaamp uth'ta hai 
Meray mizaaj ko asoodagi bhi raas nahin 

Kabhi kabhi jo teray qarb main guzaaray thay 
Ab un dino ka tasawur bhi meray paas nahin 

Guzar rahay hain ajab marhalon se deed-o-dil 
Sehar ki aas to hai zindagi ki aas nahin 

Mujhay yeh dar hai teri Aarzoo na mit jaye 
Bhout dino se tabiyat meri udaas nahin 

Na koi khwaab na sahaili thi ,is mohabbat main ,main akeli thi


Na koi khwaab na sahaili thi 
Is mohabbat main ,main akeli thi 

Ishq main tum kahan kay sachay thya 
Jo aziyat thi hum ne jhaili thi 

Yaad ab kuch nahin raha lakin 
Aik dariya tha ya hawaili thi 

Us ne uljha kay rakh diya dil ko 
Woh mohabbat thi ya pahaili thi 

MAin zara si bhi kam wafa karti 
Tum ne to meri jaan lay li thi 

Waqat kay saamp kha gaye is ko 
Meray aangan main ik chambaili thi 

IS shab-e-gham main kis ko batlaon 
Kitni roshan meri hathaili thi

Apnay Aanso'on ko itna mehnga karo keh koi unhain laanay ki koshish na karay


Apnay Aanso'on ko itna mehnga karo keh koi unhain laanay ki koshish na karay 

Apni muskaan ko itna sasta kar do keh her koi un ko paanay ki chaah karay 

Thi jis se roshni woh diya bhi nahin raha


Thi jis se roshni woh diya bhi nahin raha 
Ab dil ko Aetabaar-e-hawa bhi nahin raha 

Tu bujh gaya to hum bhi farozan na reh sakay 
Tu kho gaya to apna pata bhi na raha 

Kuch hum bhi teray baad zamanay se kat gaye 
Kuch rabt-o-zabt khuda se bhi na raha 

Goya hamaray haq main sitam dar sitam hua
Harf-e-dua bhi dast-e-dua bhi nahin raha 

Kya shairy karain keh teray baad shaher main 
Lutf-e-kalaam kaif-e-nawa bhi nahin raha

Lo kisi aur kay huye hum bhi


Lo kisi aur kay huye hum bhi 

Aaj us ka ghroor tootay ga 

Suna hai tum mujhya bhool chukay ho


Suna hai tum mujhya bhool chukay ho 

Aur kuch nahin bas himmat ki daad detay hain

Haath kaanton se kar liye zakhmi


Haath kaanton se kar liye zakhmi 

Phool baalon main ik sajanay ko

Aik bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha


Aik bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha 
MAin ne jo sang traasha woh khuda ho baitha 

Uth kay manzil agar aaye to shayed kuch ho 
Shouq-e-manzil to mera Aabla paa ho baitha 

MAslihat cheen lay quwat-e-guftaar magar 
Kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha 

Shukriya Ae meray qatil , Ae maseeha meray 
Zehar jo tu ne diya tha woh dawa ho baitha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...