Apr 26, 2015

Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar


Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar 

Main tujhay yaad karon ik umar dobara le kar

Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se


Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se

Wasta tujhay teray pyaar ka mera aashiyana chor do

Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye


Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye
Subha honay ko hai mahool banaye rakhiye

jin kay haathon se hamein zakhm-e-nihaan ponchay hain 
Woh bhi kehtay hain keh zakhmon ko chuppaye rakhiye

Kon janay woh kis raah guzar se guzray 
Her guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye

Daaman-e-yaar ki zeenat na banay her aansoo
Apni palkon kay liye kuch to bachaye rakhiye

Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon


Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon 
Kaash main yahi ik kaam kar jaaon 

Yeh dasht-e-tark-e-mohabbat yeh teray qurb ki pyaas
Jo izzan ho to teri yaad se guzar jaaon 

Mera wajood meri rooh ko pukaarta hai 
Teri taraf bhi chalon to tehar tehar jaaon 

Teray jamaal ka paraao hai sab haseeno par 
Kahan kahan tujhay dhoondon kidher kidher jaaon 

Main zinda tha keh tera intizaar khatam na ho 
Jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaon 

YEh sochta hoon keh main butt'parast kiyon nahin hua 
Tujhay qareeb jo paaon to khud se dar jaaon 

Kisi chaman main bas ik khouf se guzar na hua 
Kisi kali pe na bhoolay se paaon dhar jaaon 

Yeh jee main aati hai takhleeq-e-fun kay lamhon main 
Keh khoon ban kay rag-e-sang main utar jaaon 

Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai


Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai 

Hum bhi un lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kay nahin aatay

Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay


Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay 

Ab itna bhi sadgi ka zamana nahin raha 

Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se


Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se

Ae ishq maaf kar meri umar hi kya hai

Log shor se jaag jatay hain


Log shor se jaag jatay hain 

Aur mujhay us ki khamoshi sonay nahin deti

Ek umar talak ashk fishaani main raha hai


Ek umar talak ashk fishaani main raha hai 
Ae ishq ! tera dard rawani main raha hai 

Yeh chor meray saath kabhi tha keh nahin tha 
Woh shakhs magar meri kahani main raha hai

Ek hijar teray baad rag-e-jaan main utar kar 
Taa umar phir alfaaz-o-ma'aani main raha hai 

Sehraa se teray dil ki guzar gaah talak dil
Her roz teri naqal makaani main raha hai 

Woh saath nahin meray magar sach hai hamesha 
Woh shakhs meri aankh kay paani main raha hai 

Dabi dabi si woh muskurahat labon pe apnay saja saja kay




Dabi dabi si woh muskurahat 
Labon pe apnay saja saja kay 

Woh narm lehjay main baat karna 
Adab se nazrain jhuka jhuka kay 

Woh aankhein teri sharaarti si 
Woh zulf maathay pe naachti si 

Nazar hatay na ik pal bhi 
Main thak gaya hoon hata hata kay 

Woh tera haathon ki ungliyon main 
Mila kay zulfon main kho sa jana 

Haya kay chehray pe phir sajana 
Phool chehra khila khila kay 

Woh haath hooron kay ghar hon jaisay 
Woh paaon pariyon kay par hon jaisay 

Nahin hai teri misaal jana 
Main thak gaya hoon bata bata kay 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...