Jul 29, 2015

Akelay lawn kay goonjtay sanatay main


Akelay lawn kay goonjtay sanatay main 
Chandani ki mar mar'ein baarish main bheegti hui 
Ik tanha afsurda larki 
Apnay phailay huye haath ko takti hai 
Takti hai aur sochti hai 
Woh naam , , ,
Jo us kay liye raha zeest ka unwaan hai 
Shariyano main jo lahu ki jaga rawan hai 
Woh naam , , ,  ,
Jis ki chandani dasht-e-zaat pe ehsaan hai 
Jis ki asaaib ab bhi wehshaton ka samaan hai 
Woh naam , , , ,
In lakeeron main kahan hai ? !!

Aaj malboos main hai kaisi thakan ki khushboo


Aaj malboos main hai kaisi thakan ki khushboo
Raat bhar jaagi hui jaisay dulhan ki khushboo

Peh'rahan mera magar us kay badan ki khushboo
US ki tarteeb hai ik ik shikan ki khushboo

Qamat shair ki zaibaai ka aalam mat pooch 
Mehar'baan jab se hai us sard badan ki khushboo

Zikar shayed kisi khurasheed badan ka bhi karay 
Ku-ba-ku phaili hui meray gehan ki khushboo

Aariz-e-gul ko chua tha keh dhanak si bikhri 
Kis qadar shokh hai nanhi si kiran ki khushboo

Aik raat ujaalo meray liye


Aik raat ujaalo meray liye

Aik raat ujaalo meray liye
Main so jaaon , , , tum jaago
Ik shabnam haath rakho seenay par 
Lams jagay to lab mehkaao 
Saans main phool khilaao 
Hawa chalay to 
Palkon pe taaray barsaao 
Neend kay par phailay jayein 
Phir khawab samandar jaago
Aik raat ujaalo meray liye
Main so jaaon tum jaago 



Us ne mujhay chor diya



Us ne mujhay chor diya 

Pehlay dil ki ujrri zameen par 
Khawaab mohabbat kay sajaye
Phir , ,  , ,  ,!
Meri aankhon main kuch deep jalaye
Kabhi cyhaand , kabhi gulaab kaha 
To , ,  , , ,!
KAbhi sapno ki raani kaha 
Phir , , , ,  ,!
Woh meri zindagi ban gaya 
Aur , ,  , ,!
Jab us ki mohabbat meri rooh ko deemak ki tarah lag gayi
To , , , , , ,  , ,!
Us ne mujhay chor diya

Mujhay tum se yeh kehna hai


Mujhay tum se yeh kehna hai 
Mujhay tum se mohabbat thi 
Mujhay tum se mohabbat hai 
Meray din raat main tum ho
Meri her baat main tum ho
Khushi kay jitnay mousam bhi
Tumharay saath dekhye hain 
Meray jeevan ka haasil hain 
Tumharay naam kay jugnoo
Tumharay lams ki khushboo
Tumharay pyaar ka jaadu
Meri rag rag main shamil hain 
Main apni zaat kay chahye kisi mousam main rehta hoon 
Her aik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Meray her pal main rehti ho 
Mera dil hai pagal sa
Isi pagal main rehti ho
Suno ! tum se yeh kehna hia 
Keh tum meri mohabbat se kabhi mat bad'gumaan hona 
Keh meri zindgaani kay sabhi rastay jo sach poocho
Tumhari simat aatay hain 
Main tum se door reh paaon ab yeh mumkin nahin jaana
Suno ! ehad-e-mohabbat ki mujhay tajdeed karni hai 
Purani baat hai lakin mujhay phir bhi yeh kehni hai 
Mujhay tum se mohabbat thi , mujhay tum se mohabbat hai 
Her ik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Suno ae hamsafar meri 

Poet :~ Atif saeed

Tum hotay ho meray kon


Tum hotay ho meray kon 

Sapnay kaisay baatein karein 
Khadshon ki zanjeer pari hai 
Neend bhari sab aankhon main 
Sapnay kaisay baat karein 
Jin logon ka rasta taktay 
Umrain rizq khaak huwein 
Ab woh log aur un kay sapnay dekhnay wali 
Aankhein bujh kar raakh huwein 
Raakh kay is ambaar main hoon 
Kaisay kaisay zinda khawab 
Kahwabon ki is raakh ko lakin 
Chairay kon ?
Jis matti main rait mili ho
Us main kaisay baagh lagaein 
Dariya hi pa'yaab hon ! jab to
Is main kashti kya lay jayein 
Khushboo ik awara jhonka 
Is jhonkay ko ghairay kon 
Kaisay duniya ko batlaaon 
Tum hotay ho meray kon !!!

Meri ghazal ka taaluq teray khayal se hai


Her ik pal ka taaluq teray khayal se hai 
Meri ghazal ka taaluq teray khayal se hai 

Bandha hua hai teri aarzoo se sara badan
Her ik amal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh tishnagi to mujhay jaan se bhi pyaari hai 
Keh meray thal ka taaluq teray khayal se hai

Keh meri rooh ki saari bahaar tujh se hai 
Kanwal kanwal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh zindagi bhi hai teri ataa ae jaan-e-jaan 
Agar ajal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh meri rooh munaqish hai teri yaadon se
Keh is mehal ka taaluq teray khayal se hai 

Firaaq-o-hijar kay yeh jis qadar masaa'il hain
Sabhi kay hal ka taaluq teray khayal se hai 

Ajnabi shaam


Ajnabi shaam 

Dhund chaai hui hai jheelon par 
Urr rahay hain parinday teelon par
Sab ka rukh hai nashemano ki taraf
Bastiyon ki taraf , bano ki taraf

Apnay gal'lon ko le kar charwahay
Sarhadi bastiyon main ja ponchay
Dil-e-na'kaam ! main kahan jaaon ?
Ajnabi shaam ! main kahan jaaon 

Zabt ki intiha


Zabt ki intiha

Woh aksar kaha karta tha 
MAin tumharay her dukh se ba'khabar hoon
Magar tumharay zakhmon pe marham nahin rakh sakta 
JAb tak main tumharay zabt ki intiha na dekho loon 
Lo phir aaj meray zabt ki intiha dekh lo 
Is aakhri waqat main hosla dekh lo 
Ab na rona mujhay meray janay kay baad 
Mar na jana mujhay azmanay kay baad

Tamam umar rahay yehi tamana kartay



Meri aankhon kay samandar main utar'ta koi 
Tamam umar rahay yehi tamana kartay 

Her ik ko sunaya haal-e-dil khul kar 
Keh shayed meri dewangi ki dawa kar de 

Jo bhi aata hai meray dil main , chala jata hai 
Jaisay Asaib hain meray dil main raha kartay 

Acha hi hua keh bach gaye barq-e-mohabbat se
Dil toot jata to bhala kya kartay ?

Ab to aik hi iltijaa kartay hain Rab-e-kareem se
Meri rooh ko ab jism se rihaa kar de 

Teri aarzoo hi , teri raqeeb nikli Zohaib 
Kuch khawab kabhi pooray nahin hua kartay 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...