Feb 11, 2016

Kaash meri zindagi se koi is tarha bhi waqif ho




Kaash meri zindagi se koi is tarha bhi waqif ho

mai barish mai bhi roo'on to woh mere ansoo pehchaan lay

Manzil ko jaatay prindon ko Jo dekha to khayal aya WASI....



Manzil ko jaatay prindon ko Jo dekha to khayal aya WASI

Keh koi muntazir hota to hum b Kab k Lot gaye hotay

Kal shab ka chaand hu-bahu tujh jaisa tha



Kal shab ka chaand hu-bahu tujh jaisa tha

Wohi husun,wohi ghuroor aur wohi doori

Is se pehle kay be'wafa ho jayein



Is se pehle kay be'wafa ho jayein
kyon na aye dost hum juda ho jayein


tu bhi heeray se ban gaya pathar
hum bhi kal kiya se kiya ho jayein


hum bhi majbooriyon ka uzr karein
aur kahein aur mubtala ho jayein


ishq bhi khel hai naseebon ka
khaak ho jayein kimiyan ho jayein


ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise liptein teri qabaa ho jayein


bandagi hum ne chor di hai 'faraz'
kya karein log jab khuda ho jayein

Kitaben bhi bilkul meri tarha hain


Kitaben bhi bilkul meri tarha hain

Alfaz se bhar'pur magr khamosh

GOLDEN WORDS OF HAZRAT ALI (R.A)



1 ) sharam ki kashish husn se zyada hoti hai.
2 ) rona dil ko roshan krta hai.
3 ) aulaad k liye jo b cheez ghar lao pehle ladki
Ko do phir larke ko.
4 ) duniya me subse khatarnak gussa jawani ka
Hai.
5 ) kisi ka dil na dukhao kyun k tum b dil rakhte
Ho.
6 ) gufftogo chaandi hai or khamoshii sona.
7 ) tumhara apne bhai se milte waqt muskura
Dena bhi sadqa hai !!

Tum ko Shohrat Ho Mubaarak Hamien Ruswa Na Karo





Tum ko Shohrat Ho Mubaarak Hamien Ruswa Na Karo
Khud Bhi Bik Jao Gay Ek Roz Ye Soda Na Karo

Shoq Say Parda Karo Parda Hay Wajib Lekin
Meri Qismat K Andheroon Mien Izaafa Na Karo

Choom Lene Do Rukh-e-yar Ko Jee Bhar Ke Humein
Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Se Humein Roka Na Karo

Ko'sha'shshain  Karny Say Halaat Badal Jaty hain
Khud Bigari Huwi Taqdeer Ka Shikwa Na Karo

Bandagi Hee Say To Hay Banda-Nawazi un ki
Baaz Nadaan Ye Kehty Hien K Sajda Na Karo

Arsh pe khaak nasheeno ka basaira toba
Jo na poori ho kabhi aisi tamana na karo

Husan ko Tum Ne Khuda Samjha Hai Lekin Ae Munir
Khud banaye Huwey maa'bood Ki Pooja Na Karo

Poet : Munir Arzoo

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...