Apr 15, 2016

Aankhon kay paar chand


Aankhon kay paar chand 

Is kainaat rang main 
Duniya-e-sang main 
Hum qaid to nahin thay magar 
Is kay ba'wajood
Azadiyon ne lutf-e-rihaai nahin diya 
Chaha bhout keh apnay hi andar kabhi kahin 
Utrein , utar kay khud ko talashein kuch is tarah 
Haathon main apna khoj ho 
Dil main wisaal aag 
Pairon main aagahi kay bulandi raastay 
Lakin badan se rooh ki  in manzalon kay beech 
Woh raat thi keh kuch bhi samjhai na diya 
Koi wajood tha keh jo taari tha zaat par
Aankhon kay paar chand dikhai nahin diya 


Main yahan aur tu wahan jaana darmiyaan saath aasman jaana


Main yahan aur tu wahan jaana
Darmiyaan saath aasman jaana

Hum nahin hon gay aur duniya ko 
Tu sunaye ga dastaan jaana 

Dekhnay main to kuch nahin lakin 
Ik zamana hai darmiyan jaana

Ro rahay prind shakhon par
Jal gaya ho ga Aashiyan jaana 

Aur ik mohabbat mera asaasa hai  
Aur ik hijar pe garaan jaana

Yeh to socha na tha kabhi aansoo 
Aisay jayein gay raigaan jaana

Main teray baray main kuch ghalat keh doon 
Kat na jaye meri zuban jaana

Woh kuch is tarah bhi taqdeer bana deta hai


Woh kuch is tarah bhi taqdeer bana deta hai 
Dard ki rooh ko jageer bana deta hai 

Ik masehaai utar aati hai shairon main meray 
Koi alfaaz ko taseer bana deta hai 

Naqsh karta hai ujagar meri awazon ko
Baat karta hoon to tasveer bana deta hai 

Aankh masoom hai lakin koi karni wala 
Hadaf-e-dil kay liye teer bana deta hai 

Ghair leta hai nishanaat-e-qadam bhi Farhat 
Ishq ko halqa-e-zanjeer bana deta hai
 

Mout ka Aitabar kar letay do ghari intizaar kar letay


Mout ka Aitabar kar letay 
Do ghari intizaar kar letay 

Dard munh phair kar nahin jata 
Dard hi ikhtiyaar kar letay 

Loat kar phir yahi hua hota 
Tum kisi se bhi pyar kar letay 

Ae meray dil kabhi kabhi koi 
Shaam hi khush'gawar kar letay 

Jhoot ki nokri se behtar tha 
Khud ko be'roz'gaar kar letay

Aankh ki nigrani main bhi dil chori kar leta hai


Aankh ki nigrani main bhi 
Dil chori kar leta hai 

Gham ki nigrani main bhi 
Dil chori ho jata hai 

Raat , Mohabbat , Tanhai 
Saray roop tumharay hain 

Rangon ki barsaton ka 
Jadu sa kar jatay ho 

Jadu akrnay walon ko 
Jadu raas nahin aata 

Tum jadu kar jao gay 
Hum neki kar ajyein gay 
 

Aur nahin to us ko bhi bad'naam karon


Aur nahin to us ko bhi bad'naam karon 
Logo aakhir main bhi kuch to kaam karon 

Tor doon ya us pagal dil ko raam karon 
Kuch na kuch is qissay ka anjaam karon 

Tum bolo main geet likhon awazon par
Tum palkein jhapko ta keh main shaam karon 

Woh kiyon mujh ko likh de apni azadi 
Main kiyon apna jeewan us kay naam akron 

Fun ki khatar yeh to karna parta hai 
Apnay roz-o-shab waqf-e-alaam karon


Zakahm tehreer par sula lenay do


Zakahm tehreer par sula lenay do 
Yeh bhi jageer sula lenay do 

Shayed aa jaye gi phir neend hamein 
Naqsh-e-zanjeer sula lenay do 

Aankh jaye gi magar putli main 
Jo hai hai tasveer sula lenay do 

Zal'zalay chahnay walo mujh ko !
Shouq-e-tameer sula lenay do 

Shaher to so bhi chuka mar bhi chuka 
Aik raah'geer sula lenay do 

Aankh ghabraa hi na jaye "Farhat"
Rang-e-tabeer sula lenay do

Shaher-e-veeran kay darwaze se lag kar roye


Shaher-e-veeran kay darwaze se lag kar roye 
Apni pehchan kay darwaze se lag kar roye 

Apna pathar tha makan us ka keh youn lagta tha 
Hum biya'baan kay darwaze se lag kar roye 

Ab to hum kitni dafa aankhon ki aadat kay tufail 
Gham kay imkaan kay darwaze se lag kar roye 

Hum sataye huye duniya kay teray baad aksar 
Teray ehsaan kay darwaze se lag kar roye 

Koi awaz tasali na dilasa nikal 
Kaisay insaan kay darwaze se lag kar roye 

Hum ne kab dil se kaha tha bharri barsaton main 
Teray paimaan kay darwaze se lag kar roye 

Dil kay darwaze pe roye to laga hai "Farhat"
Jaisay zindaan kay darwaze se lag kar roye 

Aatay jatay huye parta rahay naqsh-e-kaf-e-paa


Aatay jatay huye parta rahay naqsh-e-kaf-e-paa

Dil mera shaher Mohammad ki zameen ho jaye

Apr 14, 2016

Jaa kay main teray saath le ayon


Jaa kay main teray saath le ayon 
Wasal ki chand raat le ayon 

Baith jaon kisi do'rahay par 
Maang kar tera haath le ayon 

Kitni sadiyon kay baad bolon main 
Lab pe ik teri baat le ayon 

Apni aankhon ki band galiyon se 
Aanso'on ki baraat le ayon 

Itni pooja karon keh main ik din 
Zaat main teri zaat le ayon 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...