Jun 1, 2016

Makan main qaid sada ki dehshat


Makan main qaid sada ki dehshat 
Makan se bahir khala ki dehshat 

Hawa hai khouf-e-Khuda se khaali 
Hai is nagar main bala ki dehshat 

Ghira hua hoon main is main her taraf se 
Hai aainay main hawa ki dehshat 

Zameen pe her simat had-e-aakhir 
Falak pe la'intiha ki dehshat 

Shajar kay saye main mout daikho 
Samar main us kay fanaa ki dehshat 

Badan hai hoshiyar dil kay dar se
Nazar main awaz-e-pa ki dehshat 

Kharri hai rastay ki manzalon par 
Manazar dair-e-pa ki dehshat 

Sarab sa ik guzar raha hai 
Wohi hai phir chasham-e-wa ki dehshat 

Munir khoon main utar rahi hai 
Qarar-e-be'mad'dua ki dehshat 



Khush hai jaisay ab rihaa ho kar puranay baar se


Khush hai jaisay ab rihaa ho kar puranay baar se
Arz teera ho chali thi kasrat-e-ashjaar se

Shaher main dewangi dedaar mah-e-no se hai 
Manzaron pe rang sa hai shaam kay Asaar se

Hai misal-e-sang , dil is nargis-e-be'maar ka 
Hai bukhaar aankhon main us kay husan kay Azaar se

Woh sada meri khala-e-koh-o-dasht -o-behar main 
Khouf-o-qaid sada ka , harf ki takraar se

Ik mehraab aasman kay darmiyan baam-o-dar 
Ik diye ki lo nu'mayan rozan-e-dewar se

Ho gaye us se juda bas soch kar kuch jee main hum 
Baat kya hum ne nikali khamoshi-e-yaar se

Tabish khurasheed meray jisam main hai Ae Munir 
Chasham shab-e-hairaan hai meray par to siyaar se

Ayi hai ab yaad kya raat ik beetay saal ki


Ayi hai ab yaad kya raat ik beetay saal ki 
Yeh hi hawa thi baagh main , yahi sada ghariyal ki 

Mehak ajab si ho gayi paray paray sandooq main 
Rangat pheeki par gayi resham kay rumaal ki 

Shaher main dar tha mout ka , chand ki chothi raat ko
Eenton kay is khu main dehshat thi bhon'chal ki 

Shaam jhuki thi behar par , pagal ho kar rang se
Ya tasveer khawab main , meray kis khayal ki 

Umar kay saath ajab sa ban jata hai aadmi 
Halat daikh kar dukh hua , aaj us pari jamal ki

Daikh kar mujh ko ghour se . phir woh chup se ho gaye 
Dil main khalish hai aaj tak , us un'kahay sawal ki 

Thakan se raah main chalna mohaal bhi hai mujhay


Thakan se raah main chalna mohaal bhi hai mujhay 
Kamal par bhi tha main hi , la'zawal bhi hai mujhay 

Sarrak pe chaltay huye ruk kay daikhta hoon main 
Yahin kahin hai to yeh ehtamal bhi hai mujhay 

Yeh meray gird tamasha hai aankh khulnay tak 
Main khawab main to hoon lakin khayal bhi hai mujhay 

Usi kay lutf se marnay se khouf aata hai 
Usi kay darnay se yeh jeena mohaal aata hai 

Sawad-e-sham safar hai jala jala sa Munir
Khushi kay sath ajab sa malaal bhi hai mujhay 

Shan-e-hunar , kalam-e-sukhan'war bhi kuch nahin


Shan-e-hunar , kalam-e-sukhan'war bhi kuch nahin 
Ajz faqeer-o-kabar to nagar bhi kuch nahin 

Buniyad kuch nahin hai kisi shay ki is jaga 
Is shaher main baha-e-sikandar bhi kuch nahin 

Rishta riwayaton se bhi baqi nahin raha 
Aainda kay safar kay ufaq par bhi kuch nahin 

Shaam firaq-e-yaar wohi , dasht-o-dar wohi 
Diya-e-gham kay paar ka manzir bhi kuch nahin 

La'hasali hi shaher ki taqdeer hai Munir
Bahir bhi ghar se kuch nahin , andar bhi kuch nahin

Sehar kay waqat yeh kya main ne khawab sa daikha


Sehar kay waqat yeh kya main ne khawab sa daikha
Safaid abar harray rang main ghirra daikha

Bas ik pal ka tamasha kinar-e-sehra par
Phir is kay baad ussay dasht main hawa daikha 

Qadeem qariyon main mojood tu khuda-e-qadeem
Jadeed shaheron main bhi tujh ko ro'numa daikha

Munir shaher-e-Mohammad main ja kay daikhein zara 
Bilad kufar main khud ko bhout ganwa daikha 

Dar'ray huwon ko magar Aitabar kis ka tha


Dar'ray huwon ko magar Aitabar kis ka tha 
Tamam umar hamein intizaar kis ka tha 

Urra ghubaar hawa se to rah khaali thi 
Woh kon shakhs tha us main ; ghubaar kis ka tha 

Liye phir jo mujhay dar'ba'dar zamanay main 
Khayal tujh ko dil-e-be'qaraar ! kis ka tha 

Rawash se hatt kay banay ik makan-e-no kay qareeb 
Woh khoon tha kis ka , woh phoolon ka haar kis ka tha 

Yeh jabar marg-e-musalsal hi zindagi hai Munir
Jahan main us pe kabhi ikhtayar kis ka tha

Aik main aur itnay lakhon silsalon kay samnay


Aik main aur itnay lakhon silsalon kay samnay 
Aik surat gang jaisay gumbadon kay samnay 

Mit'tay jatay naqsh dar-o-dam ki aamad-o-rafat se
Khiltay jatay be'sada lab aaino kay samnay 

Hai hawa-e-sair-o-aab aur ajnabi si sar'zameen 
Urr rahi hai khaak , kehna sahilon kay samnay 

Aag jalti hai gharon main koi tasveer hai 
Yaad'gaar jurm-e-aadam khakiyon kay samnay 

Dushmani rasm-e-jahan hai , dosti harf-e-ghalt
Aadmi tanha kharra hai zaalmon kay samnay

Char chup cheezein hain behar-o-bar falak aur kohsaar
Dil dehal jata hai in khaali jaghon kay samnay 

Batin-e-zar'daar par israar hai , jaisay Munir
Kaan-e-zar ki band haibat mishalon kay samnay 

Shaher , parbat , behar-o-bar ko chorta jata hoon main


Shaher , parbat , behar-o-bar ko chorta jata hoon main 
Ik tamasha ho raha hai daikhta jata hoon main 

Hosh urta jaa raha hai garmi-e-raftaar main 
Daikhta jata hoon main aur bhoolta jata hoon main 

Abar hai aflaak par aur ik sira seema-e-qamar
Aik dasht-e-raigaan main dorta jata hoon main 

Hoon makan main band , jaisay intihan main aadmi 
Sakhti dewar-o-dar hai jhailta jata hoon main 

Shouq hai jin kay peechay chal raha hoon main Munir
Ranj hain kuch meray , kheenchta jata hoon main 

Dar kay kisi se chuph jata hai jaisay saamp khazanay main


Dar kay kisi se chuph jata hai jaisay saamp khazanay main 
Zar kay zor se zinda hain , sab khaak kay is veeranay main 

Jaisay rasam ada karta hoon shaheron ki abadi main 
Subha ko ghar se door nikal kar sham ko wapis aanay main 

Neelay rang main doobay aankhein khuli parein thein sabzay par
Aks pari tha aasman ka shayed is paimanay main 

Dabi hui hai zer-e-zameen ik dehshat gang sadaon ki 
Bijli si kahin larzi hai kisi chuppay teh khanay ki 

Dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shaher ki ronaq se 
Kitni zia be'sood gayi sheeshay kay lafz jalanay main 

Main to Munir aainay main khud daikh kar hairan hua 
Yeh chehra kuch aur tarah tha pehlay kisi zamanay main 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...