Jan 27, 2017

Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai


Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai 
Duniya se khamoshi se guzar jayein hum to kya 

Hasti hi apni kya hai zamanay kay samnay 
Ik khawaab hain jahan main bikhar jayein hum to kya 

Ab kon muntazir hai hamaray liye wahan 
Shaam aa gayi hai loat kay ghar jayein hum to kya 

Dil ki khalish to saath rahay gi tamaam umar 
Dariya-e-gham kay paar utar jayein hum to kya 




Mujh se khawabon ne bhi aksar yeh shikayat ki hai


Mujh se khawabon ne bhi aksar yeh shikayat ki hai 

Tu ne kis dour kay logon se , mohabbat ki hai !


Woh saamnay aaya to ajab saaniha hua


Woh saamnay aaya to ajab saaniha hua 

Her lafz-e-shikayat ne khud kushi kar li 


Tum jo kartay ho ishq main hissab-o-kitaab


Tum jo kartay ho ishq main hissab-o-kitaab 

Hum jo karnay baithay to khareed lain gay tumhein


Mujhay taqseem se matlab nahin hai


Mujhay taqseem se matlab nahin hai 

Woh sab ka tha faqat mera nahin tha , !


Yahi nahin keh hamein torr kar gaya hai koi


Yahi nahin keh hamein torr kar gaya hai koi 

Ussay bhi khud ko bhout dair jorna ho ga 


Lipta hai meray dil se kisi raaz ki surat


Lipta hai meray dil se kisi raaz ki surat 

Woh shakhs keh jis ko mera hona bhi nahin hai 


Jan 26, 2017

Aain us waqat muqaddar ne bagawat kar di


Aain us waqat muqaddar ne bagawat kar di 

Jab main us shakhs kay miyaar tak aa poncha tha


Payar kay geet gaa'ein gay hum tuum


Payar kay geet gaa'ein gay hum tuum
apni duniya basa'ein gay hum tum

jo diye bujh gaye hawaon se unhein bech kar
energy saver laa'ein gay hum tum





Main jo likhtay likhtay apni Aah keh gaya



Main jo likhtay likhtay apni Aah keh gaya ..!!~

Woh Aala zarf nikla wah wah keh gaya .......!!~


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...