Jan 27, 2017

Kaha us ne yeh logon se


Kaha us ne yeh logon se 
Mohabbat ik dua bhi hai 
Jo lag jaye kisi ko to 
Bhout achi guzarti hai 
Magar jis din woh badla to 
Kaha dheeray se yeh us ne 
Agar yeh raas na aaye .....
To phir samjho saza bhi hai 
Mohabbat bad'dua bhi hai 

Bhout hi khoobsurat hai teray ehsaas ki mehak


Bhout hi khoobsurat hai teray ehsaas ki mehak 

Jitna bhi sochta hoon , utna hi mehak jaata hoon


Ik baar kaho tum meray ho


Meray dil kay shaam saweray ho

Ik baar kaho tum meray ho 

Mujhay tum bin kuch na dikhaai de

Kiyon itnay ghour andheray ho 

Main punchi payar kay deson ki 

Tum meray rain baseray ho 

Main maal-o-manaal mohabbat ka

Tum daaku chor luteray ho 

Kuch bolo ya azaad karo 

Kiyon khamoshi se gheray ho 


Aankhein khul'ein to beet chuki thi hayaat bhi


Aankhein khul'ein to beet chuki thi hayaat bhi 

Ik khawaab daikhnay main kai saal lag gaye 


Aaj shiddat se dil chah raha hai


Aaj shiddat se dil chah raha hai 

Band aankhein kholon aur samnay tum ho 


December hosh kar pagal yeh tujh ko kya hua aakhir


December hosh kar pagal yeh tujh ko kya hua aakhir 

Bina barsay chalay jaana teri aadat na thi pehlay 


Bura waqat tha mera , ik shafaaf aaina


Bura waqat tha mera , ik shafaaf aaina 

Dikhaa gaya mujhay sab kay asal roop


Aarzoo kar na saki , tark-e-taluq ko qabool


Aarzoo kar na saki , tark-e-taluq ko qabool . . 

Tujh se bichray to , teri yaad kay ho baithay 


December teray aanay se ,December teray janay se


December teray aanay se 

December teray janay se 

Badalta ab nahin kuch bhi 

Woh saray mousamon kay saath basta hai 

Meray andar . . . . .


Ik udaasi meray kaandhay ka sahara lay kar


Ik udaasi meray kaandhay ka sahara lay kar 

Dheeray dheeray meray pehlu main utar aayi hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...