May 26, 2018

Reza reza hona , banta hai mera


Reza reza hona , banta hai mera 

Utra hai meray dil pe tera Ishq Mukamal 

Janay walay to gaye , lay gaye khushiyan bhi nadeem


Janay walay to gaye , lay gaye khushiyan bhi nadeem 

Dil main ik dard raha baqi , na kabhi janay wala 

Kisi bhi rutt main kuredo , koi bhi mousam ho


Kisi bhi rutt main kuredo , koi bhi mousam ho 
Dilon kay zakham hamesha harray nikaltay hain 

Sukhan waron kay qabeelay main yeh kharabi hai 
Udaas log hi dil kay kharray nikaltay hain 

Woh samandar hai to phir rooh ko shadaab karay


Woh samandar hai to phir rooh ko shadaab karay 

Tishnagi mujhay kiyon deta hai sarabon ki tarah 

May 18, 2018

Hamein tum bhool jao gay


Hamein tum bhool jao gay 
Hamein maloom hai lakin 
Palat kar jab bhi aayo gay 
Mohabbat muntazir ho gi 
Kabhi bhoolay se hi mujh ko 
Agar tum yaad kar betho 
Meri tasbeeh-o-ibadat muntazir ho gi 
Hamari aarzoo jo hai Tumhari dastras main hai 
Milo na tum milo lakin 
Mohabbat muntazir ho gi 

Is se pehlay keh jaan jaye


Is se pehlay keh jaan jaye 

Uss se keh do keh maan jaye

Teri mehboob nigahon ka payam-e-tajdeed


Teri mehboob nigahon ka payam-e-tajdeed

Ik talafi hi sahi , meri tamana to nahin 

Aahista chal ay zindagi


Aahista chal ay zindagi 
Kai karz chukana baqi hai

Kuch dard mitana baqi hai 
Kuch farz nibhana baqi hai 


Apr 20, 2018

Dil kay toot janay par bad'guman nahin hotay


Dil kay toot janay par bad'guman nahin hotay 
Aisay haadsay jana ! phir kahan nahin hotay 

Woh badal gaya hai to .... ab malaal kya karna 
Zeest kay sabhi mousam meharban nahin hotay 

Mujhay bas itna khena hai


Mujhay bas itna khena hai 
Kabhi main yaad ayon to 
Kabhi tanhai ki raatein 
Tumhein ziyada sata'ein to 
Kabhi titli na bolay to 
Aur jugnoo loat jaye to 
Kabhi jab dil bhi bhar aaye 
Kabhi jab sun na paye to 
Agar sab dost sathi bhi 
Jo tum se rooth jayein to 
Kabhi jab khud se lar lar kar 
Thakan se choor ho jao 
Kabhi chahtay huye bhi khud
Akelay ro na pao to 
Apni aankhon ko band karna 
Mujhay awaz de dena 
Aur phir meray tasawur se
Jo chaho baatein keh dena 
Meray kandhay pe sar rakh kar 
Tum jitna chaho ro lena 
Phir khudi main jab loat jao to 
Uss hi duniya chalay jana 
Magar bas itna kehna hai 
Keh jab bhi dukh ya khushiyon main 
Hamein dil se pukaro gay 
Hamein tum paas pao gay 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...