Jun 3, 2014

Aag ky do naam hain nafrat aur mohabbat


Aag ky do naam hain 

aag ky do naam hain

nafrat aur mohabbat

dono hi dil ko jalatay hain 

raton ki neend uratay hain 

dono hi bhout sta'tay hain 

tanhai main tarpatay hain 



Tumhara lehja badal raha hai


Tumhara lehja badal raha hai 

wohi hai dharti , falaq wohi hai
yeh dil bhanwar se naina
yaqeen wohi hai gumaan wohi hai
yeh chaand aur keh'kishaan wohi hai

tumhari surat tumharo moorat 
tumhari batein wohi hain lakin
bhout dino se youn lag raha hai 
sam'aton se utar ky suraj pighal raha hai 
tumhara lehja badal raha hai ...

I will miss you


I will miss you

Janey se pehlay

us ne meray aanchal se 

ik fiqra baandh diya

I will miss you

sara safar 

kushboo main basa raha

Jab haath dua ko uthtay hain


Jab haath dua ko uthtay hain 

Alfaaz kahin kho jatay hain

bas deehan tumhara rehta hai

aur ansoo behtay rehtay hain

her khwaab tumhara poora ho

us rab ki minat karti hoon

main aisi mohabbat karti hoon 

tum kaisi mohabbat kartay ho

hum ko pyaar hua Poori hui dua


Zindagi ki neendon ki subha ishq hai
Bari khoobsurat si saza ishq hai
hum ko pyaar hua Poori hui dua

Chal chlein kahin urr  ky hum chlein kahin 
Assman ishq hai khwaishon sa khula hai
Mujh ko choo gaya ik ehsaas un choua
Jaisay koi nasha aasmaan main ghulla hai 
pyaar hua hum ko pyaar hua  poori hui dua 
hum ko pyaar hua poori hui dua

Khwaabon main kabhi main ne socha tha nahin
chahaton ka khuda mujh ko itna youn dy ga
be'fikar chala ' apni yeh dagar chala
kiya pata tha keh dil teri khatir ruky ga
pyaar hua hum ko pyaar hua  poori hui dua 
hum ko pyaar hua poori hui dua

 Kahay mujhay mera yeh rasta hai
kyn na zara sa tu bhatakta hai
ab to hai nayaab yeh safar
zara kaho to meri manzal se 
dekhay meri raah woh sahil se 
tu hi tu hai khwaab yeh safar
kroon dil ne thori si  be'maniyaan
di hain khoobsuart si parishaniyaan 
hum ko pyaar hua poori hui dua
hum ko pyaar hua poori hui dua

Chal chlein kahin urr  ky hum chlein kahin 
Assman ishq hai khwaishon sa khula hai
Mujh ko choo gaya ik ehsaas un choua
Jaisay koi nasha aasmaan main ghulla hai 
pyaar hua hum ko pyaar hua  poori hui dua 
hum ko pyaar hua poori hui dua

Kamli Dhoom 3(Song Lyrics)

Main rootheya yaar manaavan gi
her chilman phoonk jalaavan gi
Jad pathar ranjha pighle ga
tad main kamli kehlanvan gi , 
tad main kamli kehlanvan gi 

Mahaiya , Mahaiya .............

Meray mahiya sanam jaanam ki vi kariya nameedaanam
shab guzri te jag soya ni main jagiya  nameedanaam 

 Ni main kamli  kamli ni main kamli kamli 
Ne main kamli kamli  ni main kamli kamli yaar di

Jheel dil ko kar gaya tu dariya dariya meray yara 
ankhiyaan dy mohallay mian her shaam tera aalam
shab guzri ty jag soya ni main jageya nameedaanam 

Meray mahiya sanam jaanam ki vi kariya nameedaanam
shab guzri te jag soya ni main jagiya  nameedanaam 

MAin to pehan ky safa kesariya  jugni joogan ban jaoon
Surmey dy kaalay jadoo se keh de to jog bhulaun

  Ni main kamli  kamli ni main kamli kamli 

Main to sehar di thandi shabnam haan gulshan ka itar  churaon
rukh badlon to sailaab hoon main parbat vi cheer dikhaoon

 Ni main kamli  kamli ni main kamli kamli 
Ne main kamli kamli  ni main kamli kamli yaar di

Be'khudi main to khudi ka zariya zariya mere yara

jhalar main sitaron ka chann warga tu yaaram
shab guzri ty jag soya ni main jageya nameedaanam 

Meray mahiya sanam jaanam ki vi kariya nameedaanam
shab guzri te jag soya ni main jagiya  nameedanaam

 Ni main kamli  kamli ni main kamli kamli 
Ne main kamli kamli  ni main kamli kamli yaar di

Dil aaj kal meri sunta nahin


Dil aaj kal meri sunta nahin 
Dil aaj kal paas rehta nahin
Yeh tujh se hi milney ko chahye
Yeh teri hi karta hai batein
Kiya tum ho , kiya tum ho wohi
Dil aaj kal meri sunta nahin 
Dil aaj kal

Hai hunar ik naya is ko tujh se mila
Muskura keh yeh milta hai sab se abhi

 Be'khabar yeh zamaney se takrata hai
be'dharadak mujh se kehta hai main hoon youn hi
Yeh tujh se hi mil ky hua hai
Jo teri nazar ne chuaa hai
Kiya tum ho , kiya tum ho wohi
Dil aaj kal meri sunta nahin 
Dil aaj kal


Jun 2, 2014

Da'iron main chaltay hain


Da'iron main chaltay hain 
Da'iron main chalnay se
Dairay to barhtay hain 
Faaslay nahin ghat'tay 
Aarzuein chalti hain 
Jis taraf ko jatay hain 
Manziliein tamana ki 
Sath sath chalti hain 
Gard urti rehti hai 
Dard barhta jata hai 
Raastay nahin ghat'tay 
Subha dam sitaron ki 
Tez jhil'milahat ko 
Roshni ki aamad ka 
Paish baab kehtay hain 
Ik kiran jo milti hai
Aaftab kehtay hain 
Da'ira badalnay ko inqalab kehtay hain

Meray khawabon ke jhrokay ko sajaney wali


Meray khawabon  ke jhrokay ko sajaney wali
Teray khawabon main kahin mera guzar hai keh nahin 
Pooch kar apni nigahon se bata de mujh ko 
Meri raaton kay muqaddar  main sehar hai keh nahin 

Chaar din ki yeh rafaqat bhi nahin 
Umar bhar kay liye azaar hui jati hai 
Zindagi youn to hamesha se parishan si thi 
Ab to her saan garaan baar si hui jati hai 

Meri ujri hui neendon kay shabistan main 
Tu kisi khawab kay paikar ki tarah aayi hai 
KAbhi apni kabhi ghair nazar aati hai 
KAbhi ikhlaas ki murat kabhi har'jaai 

Pyar par bas to nahin mera lakin phir bhi 
Tu bata de tujhay pyar karon ya na karon 
Tu ne khud apnay tabasum se jagaya hai jinhein 
Un tamanaon ka izhaar karon ya na karon 

Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin 
Meri raatein teri khushbu se basi rehti hain 
Tu kahin bhi ho , teray phool jaisay aariz ki qasam 
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain 

Teray hathon ki haraarat , teri sanson ki mehak 
Tairati rehti hai ehsaas ki pinhaai main  
Dhoondti rehti hain takhiyul ki baanhein tujh ko 
Sard raaton ki sulagti hui tanhai main 

Tera iltaf-o-karam ik haqeeqat hai magar 
YEh haqeeqat bhi haqeeqat main fasana hi na ho 
Teri manoos nigahon ka yeh mohtaat payam 
Dil kay khoon karnay ka ik aur bahana hi na ho 

Kon janay meray imroz ka farda kya hai 
Qurbatein bakhat-e-parishan bhi ho jati hain 
Dil kay daman se lipti hui rangeen nazrein 
Dekhtay dekhtay anjaan bhi ho jati hain 

Meri darmanda jawani ki tanhaiyon kay 
Muzmahil khawab ki taqdeer bata de mujh ko 
Teray daman main gulistan bhi hain veeranay bhi 
Mera hasil ! meri taqdeer bata de mujh ko 

Ayat-e-hijar phoonk kar jaisay Soch raha hoon


Ayat-e-hijar phoonk kar jaisay 

Kar diya ishq ne hanoot mujhay , , !
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...