Jun 15, 2014

Baa awaaz-e-buland ya sar-ba-sujood


Baa awaaz-e-buland ya sar-ba-sujood 
Sajda karo iltija karo
Jo dil se niklay tumharay meray liye 
Aisi ik dua karo 

Kitni sadiyaan guzri is baat ko 
Tumhain milnay ko ab aankhain tarsein 
Jo tum ko mujh se mila sakay
Tum aisa koi silsala karo 

Jaaiz hai us rishtay ka tootna
Jis main milnay ki chah na ho 
Chahte ho gar apna mujh ko 
To her roz mujh se mila karo

Guzraa zamana teri mohabbat ka


Guzraa zamana teri mohabbat ka 

Ik bhooli hui kahani hai 

Teray koochay main umar bhar na gaye

Sari duniya ki khaak chaani hai 

Lazat-e-wasal ho Keh zakham-e-firaaq

Jo bhi hi teri meharbaani hai 

Kis tamana se tujh ko chaha tha 

Kis mohabbat se haar mani hai 

Apni qismat pe naaz karta hoon 

Jab teray shaher se guzarta hoon

Her taraf dhund hai , jugnoo hai na chraagh hai


Her taraf dhund hai , jugnoo hai na chraagh hai 
Kon pehchanay ga , basti main agar jaon ga 

Zindagi main bhi musafir hoon teri kashti ka 
Tu jahan mujh se kahay gi utar jaaon ga

Phool reh jayein gy gul'daan main yaadon ki nazar 
Main to kushboo hoon fizaon main bikhar jayon ga 

Itn atoota hoon keh choonay se bikhar jaaon  ga
Ab agar aur dua do gi to mar jaaon ga

Paas itna kyoun meray aa rahay ho


Paas itna kyoun meray aa rahay ho 
Piyaar itna kiyon jata rahay ho 
Manzoor nahin hum ko piyaar tumhara 
Phir kiyon meray peechay aa rahay ho 
Thak gayi hoon main zakham bhartay bhartay 
Tum kiyon inhain aur barha rahay ho 
Andheron main seekh liya hai jeena 
Chraaghon ko kiyon jala rahay ho 
Tanhai main umar hai guzri
Kiyon mehfalon main bula rahay ho
Uljhi hui hai meri zindagi 
Tum kiyon issay suljha rahay ho 
Ghamon se hai apna rishta puraana 
Tum kiyon inhain cheenay ja rahay ho 
Ho sakta nahin jo sach kabhi bhi 
Sapnay aisay kiyon dikha rahay ho 
Rehnay bhi do mujhay meray haal pe 
Kiyon tum mujhay samjha rahay ho 
Mar chuka hoon main kab ka 
Laash meri ab kiyon jala rahay ho

Aap bhout yaad atay hain


Aap bhout yaad atay hain 
Ghan'ghor ghata ati hai jab 
Nadiyaan ghoomti gaati hain jab 
Lehrain shor machati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain 

Badal baras ky chat jatay hain 
Qatray moti ban jatay hain 
Kirnain rang bakhairati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain

Do dewane jab miltay hain 
Phool mohabbat ky jab khiltay hain 
Dewaarain bhi geet gati hain 

Aap bhout yaad atay hain 

Chanda tumhari yaadain ly kar 
Kirnoon ki barsaatain ly kar 
Chandani raatain ati hain jab 

Aap bhout yaad atay hain

Main jis ky dil ki kitaab banta


Main jis ky dil ki kitaab banta 
Main jis ki chahat ka khwaab banta 
Main hijar mousam ki lambi raaton main 
Yaad ban kar azaab banta 
Koi to hota 
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota 
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom-e-duniya se door hota 
Main rooth jata manata mujh ko 
Keh chahay mera qasoor hota 
Koi to hota 
Jo mujh ko dil ka qaraar kehta 
Ragoon ka apni fishaar kehta 
Udaas mousamon main tazgi ki biyaar ban kar 
Jo meri baanhon ko arzoo ka diyaar kehta 
Koi to hota 
Main jis ky itna qareeb hota 
Na paas koi rakeeb hota 
Main tanha us ka habib hota 
Yeh silsala bhi ajeeb hota 
Koi to hota , aye kaask
Koi to hota

Jun 14, 2014

Laaon kahan se dhoond kay yaadon ki roshni


Laaon kahan se dhoond kay yaadon ki roshni
Tareek ho gaya hai mohabbat ka yeh safar 

Andheray mangnay aye thay roshni ki bheek 
Hum apna ghar na jalatay to aur kiya kartay 

Resham hoon roshni ka hawaon main urr na jayon 
Tu mujh ko apnay lams ky anchal main de pannah 

Tum bhi denay lagi duniya ko andheron ka pata 
Roshni bhi to thi ek zamanay kay liye 

Yeh kiya kahabar thi keh daka paray ga aankhon par 
Hamaray ghar main hamain roshni ne loota hai

Milti hai mujh ko is ki lakeeron main roshni 
Main jab shafeeq dekhta hoon apnay hath ko

Ussay dekho jo tumhari taraf dekhta hai


Ussay dekho jo tumhari taraf dekhta hai 

Us se mohabbat karo jo tum se mohabbat karta hai 

Us ki suno jo tumhari sunta hai 

Aur apna hath ussay jo thamna chahta hai

Jo umda guftagoo karta hai 

Woh mohabbat karnay main dair nahin karta 

Afreen hai us mohabbat par jo izhaar 

Jo izhaar se qabool ho jaye

Mohabbat apnay aap  ko paish karti hai 

Issay khreeda nahin ja sakta 

Mohabbat aik aisi cheez hai 

Jo seekhnay aur batanay ki nahin 

Mohabbat aur shak 

Aik dil main jama nahin hotay 

Mohabbat dukhon ki sar zameen 

Aur ansoo'on ka samandar hai 

Yeh mout ky waday aur zindagi ka khatama hai 

Mohabbat agar sachi ho to manzal tak

Ponchana asaan hai 

Mohabbat kartay hain to zindagi

Bahaar kay liye karo

Chand dino kay liye nahin 

Jazbaat , ehsaasat , azmaishon 

Aur khwaishaat se mat khelo

Us ne bhi loat ky anay main umar ganwa di



Us ne bhi loat kay anay main umar ganwa di

Jis ko so baar kaha shaam na honay dena

Be'khawabi kay aadi hum bhi jab se huye hain


Be'khawabi kay aadi hum bhi 
Jab se huye hain 
Khawab sohanay bikar gaye hain 
Guriyan aur patolay jab se
Chootay tab se ....
Meet puranay bichar gaye hain 
Sach poocho to ..............
Dil to apna ab bhi chahye 
Mazi apna palat kay aaye 
Raat ko saray bachay phir se 
Aankh macholi khelein phir se
Lakin jana .......
Ab yeh sab kuch kab mumkin hai 
Umar kay pal kay neechay se to 
Khasa pani guzar chuka hai
Charhta dariya utar chuka hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...