Jun 20, 2014

Meri bar'badion ky afsanay


Meri bar'badion ky afsanay

Meray yaron ky naam letay hain 

Bas yahi ik juram hai apna

Hum mohabbat se kaam letay hain

Lohay-e-mizaar dekh ky jee dang reh gaya


Lohay-e-mizaar dekh ky jee dang reh gaya 

Her aik sar ky sath faqat sang reh gaya

Be'zubaan badalon ko de raha hai apni zubaan koi


Be'zubaan badalon ko de raha hai apni zubaan koi

Lagta hai asmaan ko suna raha hai dard ki dastaan koi

Yaad kisi ki chaa jati hai jab nain'on main


Yaad kisi ki chaa jati hai jab nain'on main 

Koi bhi mousam ho sawan ban jata hai

Woh shakhs to zara si baat pe youn rooth ky chal dia


Woh shakhs to zara si baat pe youn rooth ky chal dia

Jaisay sadiyon se ussay kisi bahanay ki talaash thi

Meri aankhon main ab bhi chubhta hai


Meri aankhon main ab bhi chubhta hai

Tu ne jo khwaab tor dala tha

Main hi main tha wajood main apnay


Main hi main tha wajood main apnay 
Meray hony main phir kami kiya thi

Noor hi noor tha andheray main 
Woh sar-e-daar roshni kiya thi 

Dono gham thay alag alag yehni 
Mera maatam , teri hansi kiya thi

Woh hum se bichar kar kaisay jeeta ho ga


Woh hum se bichar kar kaisay jeeta ho ga 

Bas yahi sochtay sochtay umar guzar gayi apni

Apni aankhon main meray khwaab rehnay do


Apni aankhon main meray khwaab rehnay do 

Kuch un'kahay sawalon kay jawaab rehnay do

Meri taqdeer ban gaye hotay


Meri taqdeer ban gaye hotay 

Meri taqdeer ban gayi hoti
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...