Jul 7, 2014

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo



Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal daalo

Tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai

Anjaam ka jo ho khatra aghaaz badal daalo

Pur'soz dilon ko jo muskaan nade paaye

Sur hi na mile jis main woh saaz badal daalo

Dushman ke iradon ko hai zahir agar karna

Tum khail wohi khailo andaaz badal daalo

Ae dost karo himmat kuch door sawera hai

Agar chahtay ho manzil to parwaaz badal daalo


Ana ka mamlaa dar'paish hai warna haqeeqat main


Ana ka mamlaa dar'paish hai warna haqeeqat main 

Issay meri, mujhe us ki , kami bhout mehsoos hoti hai

Hazaron dukh parain sehna mohabbat mar nahin sakti


Hazaron dukh parain sehna mohabbat mar nahin sakti 

Hai tum se bas yahi kehna mohabbat mar nahin sakti 

Tera her baar mere khat ko parhna aur ro dena 

Mera her baar likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Kiya tha hum ne campas ki nadi par ek haseen wada 

Bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti 

Jahan main jab talaj panchi chahaktay urrtay phirtay hain 

Hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti 

Puraane ahad ko jab zinda karnay ka lamha aya

Mujhe bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti

Woh teray hijar ki shab main phone rakhnay se zara pehlay 

Bhout rotay huye kehna mohabbat mar nahin sakti 

Agar hum hasraton ki qabar main hi dafan ho jayein 

To yeh qutbon pe likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Puranay raabton ko phir naye waaday ki khwaish hai 

Zara aik baar to kehna mohabbat mar nahin sakti 

Gaye lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laaon 

Woh pehron haath pe likhna mohabbat mar nahin sakti 

Fanaa itna ho jaaon teri zaat main Ya'Allah


Fanaa itna ho jaaon teri zaat main Ya'Allah

Jo mujhe dekh le ussay tujh se mohabbat ho jaye

Koi samjhe to aik baat kahon


Koi samjhe to aik baat kahon 

Ishq tofeeq hai gunnah nahin

MAin nahin maanta kaaghaz par likha shajra-e-nasab


MAin nahin maanta kaaghaz par likha shajra-e-nasab 

Baat karney se qabeelay ka pata chalta hai

Bhout andar tak tabahi macha deta hai


Bhout andar tak tabahi macha deta hai 

Woh ansoo jo aankhon se beh nahin pata

Us ki baatain sochi samjhi jaisay "Mir" ke nazuk shair


Us ki baatain sochi samjhi jaisay "Mir" ke nazuk shair

Meri baatain behki behki jaisay ghalib ka dewaan

Himmat-e-iltaja nahin baaqi


Himmat-e-iltaja nahin baaqi 

Zabat ka hosla nahin baaqi 

Ik teri deed chin gayi mujh se

Warna duniya main kiya nahin baaqi

Apne mashq sitam se haath na keench

Main nahin ya wafa nahin baaqi

Poet : Faiz Ahmed Faiz

Ab na woh main hoon , na tu hai , na woh maazi hai faraz


Ab na woh main hoon , na tu hai , na woh maazi hai faraz

Jaisay do saaye tamana ke srabon main milain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...