Jul 13, 2014

Maana keh teri deed ke qabal nahin hoon main


Maana keh teri deed ke qabal nahin hoon main 

Lakin tu mera shouq dekh mera intizaar dekh

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Go zara si baat pe barson ke yaranay gaye


Go zara si baat pe barson ke yaranay gaye 

Lakin itna to hua kuch log pehchanay gaye

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Go haath ki jumbish nahin aankhon main to dam hai


Go haath ki jumbish nahin aankhon main to dam hai 

Rehnay do abhi sagar-o-meena mere aagay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dua bhi deta hai aur bad'dua bhi deta hai


Dua bhi deta hai aur bad'dua bhi deta hai

Woh kon hai jo mujhe youn saza bhi deta hai

Main apnay aap semukhlas to hoon magar koi 

Daroon-e-zaat mujhe bad'dua si deta hai 

Baja keh abar nishaani hai us ki rehmat ki 

Magar kabhi kabhi woh youn saza bhi deta hai 

Youn kehna aam hua her her gunna ke baad "Ali "

Keh seedha rasta woh aakhir dikha hi deta hai

Ghar main tum bhi raha karo "Mohsin"


Ghar main tum bhi raha karo "Mohsin"

Ghar banatay hain log rehnay ko

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

GAye baras ki eid ka din kiya acha tha


Gaye baras ki eid ka din kiya acha tha 

Chaand ko dekh ke is ka chahera dekha tha

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kal sahb mujhe be'shakal ki awaaz ne chonka diya


Kal sahb mujhe be'shakal ki awaaz ne chonka diya 

Main ne kaha tu kon hai , us ne kaha awaragi

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main


Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main 

Mere chaheray pe tera naam na parh le koi 

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ


Koi waaris zaroor hota hai


Koi waaris zaroor hota hai 

Takhat khaali raha nahin kartay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kon jaane naye saal main tu kis ko parhay


Kon jaane naye saal main tu kis ko parhay 

Tera miyaar badalta hai , nisaabon ki tarah

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...