Jul 18, 2014

Meray woh qeemti lamhay jo tujh ko sochtay guzray


Meray woh qeemti lamhay 

Jo tujh ko sochtay guzray 
Woh pal 

Jo ik qatamat thay 
Jo tera raasta dekhtay guzray
Kaho !
Lota sako gay tum ?

Insaan ki pehchaan


Insaan ki pehchaan acha libaas nahin 

Bal'kay acha ikhlaaq aur us ka emaan hai

Hazrat Ali (R.A)


Hazrat Ali (R.A)

Apni subha ka aaghaz sadqa se karo 

Chahaye woh roti ka ik tukra ya muskurata hua chehra 

Hi kiyon na ho

Ae ishq tu gard-e-safar bana , Teri aur bhala toqeer kiya hai


Ae ishq tu gard-e-safar bana , Teri aur bhala toqeer kiya hai 
Tu khud hi hasrat ka maara , tera khwaab hai kiya tabeer hai kiya 

Ae ishq tu bikta rehta hai , kabhi raahon main kabhi baanhon main 
Tu bojh hai dil ki duniya ka , meray wastay tu jageer hai kiya 

Ae ishq mizaar pe raqs tera , Aur kutbon pe hai aks tera 
Tu bujhtay diye ka dhuwan hai bas , Tu kiya janay tanveer hai kiya 

Tujhay suna tha main ne qisson main , Is tan par ab to jhaila hai 
Mera roop rang to zard hua , mujhay khabar nahin tasveer hai kiya 

Tu meem se ain bana tha kiyon , ab chain se bain bana hai kiyon
Main ab tak poochti phirti hoon , meray pairon main zanjeer hai kiya 

In ashkon ka to zikar hi kiya , tujhay ishq lahoo se bhi likha 
Kabhi parh to sahiin nohon ko , tujhay ilam to ho , tehreer hai kiya

Her ik rut main tera gham hai salamat


Her ik rut main tera gham hai salamat
Yeh mousam aik jaisa reh gaya hai 

Baras kuch aur ae awara badal
Keh dil ka shaher piyasa reh gaya hai

Rotay hain tanha dekh kar , mujhay woh raastay



Rotay hain tanha dekh kar , mujhay woh raastay 

Jin par teray baghir hum guzray kabhi na thay 

Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna


Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna

Keh tum ko sirf mehsoos karnay se hum duniya bhool jaate hain

Yeh meri bhool thi keh tujhay tujh se maanga


Yeh meri bhool thi keh tujhay tujh se maanga

Khuda se maanga hota to, tu kab ka mil chuka hota

Milta bhi nahin tumharay jaisa koi is shaher main


Milta bhi nahin tumharay jaisa koi is shaher main 

Hamain kiya maloom tha ? tum aik ho woh bhi kisi aur kay

Itni shiddat se yaad atay ho


Itni shiddat se yaad atay ho 

Jaisay phir yaad hi nahin ana
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...