Jul 22, 2014

Lagay na kiyon khud se mujh ko piyara , kabhi samandar kabhi sitara

Lagay na kiyon khud se mujh ko piyara , kabhi samandar kabhi sitara
Meri musaafat ka ista'ara , kabhi samandar kabhi sitara

Teri meri qurbaton ka mousam bikhar kay samtay , simat kay bikhray 
Isi liye aankh main utaara , kabhi samandar kabhi sitara

Naya naya ishq karnay walo , hami se is ka ziyaan bhi poocho 
Bisaat-e-hasti pe hum ne maara , kabhi samandar kabhi sitara

Teray liye jaagnay ko mehkain kabhi gulistaan kabhi chraghan 
Meray liye khwaab ka ishara , kabhi samandar kabhi sitara

Woh kehkashaan zad-o-sail-e-nikhat hamaray hamraah chal para 
Kahan tha warna hamin gawara , kabhi samandar kabhi sitara

Meray bhataknay pe jaan-e-"Mohsin" yeh tanz kaisa hai is jahan main 
Huye hain be'simat-o-be kinara , kabhi samandar kabhi sitara

Poet : Mohsin Naqvi

Kitna hai mujh se pyaar likh do

Ek baar kar kay aitabaar likh do 
Kitna hai mujh se pyaar likh do 

Kat'ti nahin yeh zindagi ab tere bin 
Kitna aur karoon intizaar likh do 

Tarastay rahay hain bari muddat se 
Is baar apni mohabbat ka izhaar likh do 

Dewaane ho jayein jissay parh kay hum 
Kuch aisa tum mere yaar likh do 

Ziada nahin likh saktay to mat likho tum 
Mohabbat bharay lafaz do chaar likh do 

Ek baar likho mohabbat hai mujhay tum se
Phir yahi jumla baar baar likh do 

Aik wafa ko paanay ki koshish main

Aik wafa ko paanay ki koshish main 

Zakhmi hoti hain wafaein kitni 

Kitna masoom sa lagta hai lafaz "Mohabbat"

Aur lafaz se mansoob hain sazaein kitni

 ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Chor de saari diniya kisi kay liye

Chor de saari diniya kisi kay liye
Yeh munasib nahin aadmi  kay liye
Pyaar se bhi zaroori kiya kaam hain
Pyaar sab kuch nahin zindagi kay liye

Tann se tann ka milan ho na paya to kiya
Mann se mann ka milan koi kam to nahin
Khushboo ati rahi door hi se sahi
Saamnay ho chaman koi kam to nahin
Chaand milta nahin sab ko sansaar main
Hai diya hi bhout roshni kay liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhain
Kiyon baharon ko phir se bulaatay nahin
Ek duniya ujar hi gayi hai to kiya

Hnsata tha mujh ko phir rulaa bhi deta tha

Hnsata tha mujh ko phir rulaa bhi deta tha 

Kar ke woh mujh se aksar wada bhulaa bhi deta tha 

Be'wafa tha bhout magar acha lagta tha dil ko 

Kabhi kabhaar baatein mohabbat ki suna bhi deta tha 

Thaam leta tha haath mera kabhi yon hi khud 

Kabhi haath apna meray haath se chura bhi leta tha 

Kabhi be'waqat chala aata tha milnay ko 

Kabhi qeemti pal mohabbat kay ganwa bhi deta tha 

Ajab dhoop chayon sa mizaaj tha us ka 

Mohabbat bhi karta tha nazron se giraa bhi deta tha 

Main teri yaad main jab had se guzar jaata hoon

Reza-e-kaanch ki surat main bikhar jaata hoon 
Main teri yaad main jab had se guzar jaata hoon 

Ab guraizaan hai woh milne se , jo kehta tha kabhi 
Tum se miltay hi main kuch aur nikhar jaaon ga 

Roz khata hoon tujhay yaad na karnay ki qasmain 
Roz wadon se main apnay hi mukar jaata hoon 

Mujh ko tamasha bana diya hai Mohabbat ne teri 
Log kastay hain awazain , main jidhar jaata hoon 

Her qadam pe khaya hai , mohabbat ka dhoka
Ab koi pyaar se bulaata hai to darr jaata hoon 

Tamanaon ki bheer main sab se aagay wohi ik chehra

Tamanaon ki bheer main 

Sab se aagay 

Wohi ik chehra

Nigahon main ata hai 

Main bhool jaata hoon 

Kiya maanga tha ...?

Bicharnay kay dukh main kami 

Ya 

Milan ki dua 

Mere saray sawaal honton par

Mere saray sawaal honton par 

Us kay saray jawaab aankhon main

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...