Aug 24, 2014

Kal ajab saaniha sa hua rait par



Kal ajab saaniha sa hua rait par 
Naam tera nahin likh saka rait par 

Kis ki awaaz se tham gaye hain qadam 
Phir se kis ne mujhay di sada rait par 

Us ki aankhon se sholay nikaltay rahay 
Naachti reh gayi kal ghatta rait par 

Tu ne jo bhi hawa se kaha reh gaya 
Mit gaya main ne jo bhi likha rait par 

Ab yeh sehraa hi tere muqadar main hain 
Tu ne maangi hi kiyon thi dua rait par 

Ek shola utha us jaga se wasi 
Mera aansoo jahan gir gaya rait par 

Naam tera nahin likh saka rait par


Kal ajab saaniha sa hua rait par 
Naam tera nahin likh saka rait par 

Kis ki awaaz se tham gaye hain qadam 
Phir se kis ne mujhay di sada rait par 

Us ki aankhon se sholay nikaltay rahay 
Naachti reh gayi kal ghatta rait par 

Tu ne jo bhi hawa se kaha reh gaya 
Mit gaya main ne jo bhi likha rait par 

Ab yeh sehraa hi tere muqadar main hain 
Tu ne maangi hi kiyon thi dua rait par 

Ek shola utha us jaga se wasi 
Mera aansoo jahan gir gaya rait par 

Alag mizaaj hai apna tamaam logon se


Alag mizaaj hai apna tamaam logon se 

Tamaam qisson main qissa juda hamara hai

Bhout hai shor magar itmanaan bhi keh yahan 

Koi to hai jo sukhan ashnaa hamara hai

Arsa-e-zeest ki khamosh guzar'gaahon main


Arsa-e-zeest ki khamosh guzar'gaahon main 

Ajnabi aatay hain miltay hain , bichar jaatay hain 

Safha-e-zehan pe reh jaatay hain yaadon kay naqoosh

Waqat kay haathon bantay hain , bigar jaatay hain

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bhout hai


Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bhout hai 

Aur tujh se bichar jane ka dar bhi nahin jaata 

Pagal huye jaatay ho faraz us se mile kiya 

Itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata

Jhooti sachi tabeeron ki khwaish main


Jhooti sachi tabeeron ki khwaish main 

Kaisay kaisay khwaab bikhar jaatay hain 

Phir se toot kay ronay ki rit ayi hai

Phir se dilon kay zakham nikhartay jaatay hain

Khird kay paas khabar kay siwa kuch aur nahin


Khird kay paas khabar kay siwa kuch aur nahin 

Tera ilaaj nazar kai siwa kuch aur nahin 

Her ik maqaam se aagay maqaam hau tera

Hayaat zouq-e-safar kay siwa kuch aur nahin

Kabhi kabhi dil yeh chaata hai



Kabhi kabhi dil yeh chaata hai 
Tumhari shaamon ka haal poochon 
Sawaal poochon 
Keh fikar-e-farda main kaisi guzri

Youn hi kabhi mera naam aya tumharay honton pe aik pal ko 
Meri mohabbat ki yaad mehki , kabhi tumharay bhi raaston main 
Kabhi kisi din tumhari subha kay dar pe jaagi sada-e-dastak
Kabhi ibaadat ki kaifiyat main tumhain mera bhi gumaan guzra 
Tumharay sehan-e-dua se mera bhi dhiyaan guzra 
KAbhi tumharay badan pe bhi shab azaab ban kay tehar gayi thi
Kabhi kabhi dil yeh chahata hai sawaal poochon 
MAgar main chup hoon 
Hamaray ma'bain yeh jo dewaar-e-ajnabiyat hai yeh ghaneemat 
Isi main toqeer-e-harf-o-lab hai 
Yahain pe tark-o-talab ki had hai

Mar kar khaak kay putlay pe gharoor-o-be'niazi itni



Mar kar khaak kay putlay pe gharoor-o-be'niazi itni 

Khud ko khudi main jhaank kar dekh tujh main rakha kya hai

Andheri raat ka yeh moh'jaza dikhaaein gay hum



Andheri raat ka yeh moh'jaza dikhaaein gay hum 
Chragh agar na mila apna dil jalayein gay hum 

Hamari koh'kani kay hain mukhtalif mayaar 
Pahaar kaat kay rastay naye banaein gay hum 

Jo dil dukha hai to yeh azam bhi mila hai hamain 
Tamaam umar kisi ka na dil dukhaein gay hum 

Bhout nidhaal hain sastaa to lain gay pal do pal 
Ulajh gaya kahin daaman to kiyon churain gay hum 

Agar hai mout main kuch lutaf bas to itna hai 
Keh is kay baad khuda ka suragh payein gay hum 

Hamain to qabar bhi tanha na kar sakay gi "Nadeem"
Keh her taraf se zameen ko qareeb payein gay hum 

 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...