Sep 26, 2014

MAin jaanti hoon baar'ha youn bhi hota hai


MAin jaanti hoon

Baar'ha youn bhi hota hai

Keh qalam jab harf ugalti hai

In main chuppay anmol jazbay

Apni be'qadri se parishaan

Shakista haal se lagtay hain

To kitnay be'mole se ho jaatay hain

Aur mujhay maloom hai

KEh aisa bhi hota hai

Keh dewaar-e-khyaal se

Sar patkay sar takraaye

YEh shor machaatay baaghi lafz

JAb raah-e-faraar paatay hain

Nok-e-qalam se phisal kar

Safha-e-kitaab pe aa jaatay hain

To kitnay seham se jaatay hain

Reh rahai hai jo darmiyaan


Reh rahai hai jo darmiyaan

Jism-o-jaan ki dooriyaan

Khuda kare keh na hoon tamaam

Yeh khizaan se shana'saan

Yeh un'dekhye faisalay

Yeh hijar ka mousam

Aur shiddaton ka hajoom

Ab kay jo mile to dar hai mujhay

Keh shiddaton ka hajoom be'kaar na jaye

Qareeb aye to kahin door hi na chalain jayein

Yeh teri yaad hi bhout hai

Zaad-e-raah hi bhout hai

Manzil na mili to kiya hua

Manzil ka nishaan hi bhout hai

Anaa kay raaston ka main musaafir



Anaa kay raaston ka main musaafir

Mohabbaton ka shaakir ho kar

Ajeeb mushkil main par gaya hoon

Anaa ko choroon to pyaar paaon

Mujhay yeh dar hai bhatak na jaaon

Ae meray mola tu thaam lena

Qadam meray dag'maga na jayein

Mujhay yaqeen hai keh teri qurbat

Tamaam cheezon se mawraa hai

Nawaaz mujh ko kuch is tarah se

Jo chahta hoon dila de mujh ko

Bhanwar main saahil talaash kar dy

Tu chahaton ko anaa bana dy

Aaj phir saahil pe kharri dekhon doobta suraj


Aaj phir saahil pe kharri dekhon doobta suraj

Aasmaan pe phaili tez laali ko

Ik qadam uthaana hai

Jaana hai suraj ki aur

Ban kay ik gehra raaz

Phaila hai yeh waseeh-o-areez samandar

Manzil hai woh doobti roshni

Raasta hai yeh dolti lehrain

Her qatray main hain chupay toofaan

Na bheegtay huye guzarna hai

Anjaanay paaniyon se

Ik mojzay tak jaanay ko

Ik mojzay se jaana hai

Hai yeh ik hairaan kun pahaili

Roshni kay doobnay se pehlay

Roshni ki aur qadam uthaana hai

Kitna khush qismat ho gaya hoon main


Kitna khush qismat ho gaya hoon main

Sochta hoon to dil bhar aata hai

Ik na'karda jurm ki saza paatay paatay

Thak gaya tha main

Toot gaya tha main

Janay kab qabooliyat-e-dua kay dar khulay

Main sar'shaar ho gaya

Mohabbaton chahton ki baarish main

Kitna khush qismat ho gaya hoon main

Sochta hoon to dil bhar aata hai
 

Ussay tha ishq phoolon se mujhay woh phool kehta tha


Ussay tha ishq phoolon se

Mujhay woh phool kehta tha

Main khush thi

Sochti thi us kay jeevan ko sajaaon gi

Magar main bhool baithi thi

Keh us kay diaray to khush phoolon ka thikaana hai

Jinhain woh rakh kay bhoola hai

Aur ab main bhi

Aj us kay darmiyaan hoon

Sochti hoon

Ussay tha ishq phoolon se

Mujhay woh phool kehta tha 

Ek aarzoo si hai mann main


Ek aarzoo si hai mann main

Kal main jab dobara tum se milon

To tumhaari narm goad main sar rakh kar

APnay dil kay tamaam gham keh daalon

Apni aankhon kay sab ansoo baha saalon

Mohabbaton kay tarsay mann ko

Ulfaton se sairaab kar lo

Zindagi ki khizaan ko

Bahaar main badal kay rakh doon

LAkin phir na janay kiyon

Dil main yeh khyaal aya

Keh agar main tum se

Ek baar phir na mil saki

Tu dil kay sab gham

Aankhon kay sab aanso

Zindagi ko aisi banjar zameen ki manind na kar dy

Keh jis main kabhi

Phool nahin khila kartay

Shaam roz aa jaati hai meray darwaze par


Shaam roz aa jaati hai meray darwaze par

Meri tanhai ka tamasha dekhnay kay liye

Suraj roz nikal aata hai

Mujhay umeed dikhaanay ko

Chaand bhi 15 20 dino tak jhalak dikhaata hai

Aatay jaatay mousam jaisay

Waswasay aur khouf bhi aatay hain

Andhera bhi bisaat bhar draata hai

Zindagi bhi door kharri hansti hai

KAl baarish  ne bhi drawa diya kabhi na brasnay ka

Khizaan kay pattay bhi ruswaiyon se draanay lagay

Barf taknay apni sard baanhon main panah denay ko kaha

Sabhi aye baari baari

Sirf tum nahin aye

Kiya yeh mumkin hai jab raat kay pichlay pehar



Kiya yeh mumkin hai jab raat kay pichlay pehar

Neend aankhon se kosoan door ho

Dil be'chain ho rooh be'sakoon ho

Tumhain sochon

Jab meri zindagi udaas ho

Her pal mujhay akelay pan ka ehsaas ho

Tumhain sochon

Jo meri zaat ko koi aas ho tumhari ho

Meri rooh main koi pyaas ho tumhari ho

Meri justagoo her aarzoo tumhari ho

Main apni zaat ki takmeel tak tumhain sochon

Mujhay ab to ikhtayaar do tumhain sochon

MAin aksar sochti hoon zindagi ka yeh kon sa mor hai


MAin aksar sochti hoon

Zindagi ka yeh kon sa mor hai

Yaham main ruk si gayi hoon

Chahon to haath barha kar

Tumhain choo sakti hoon

Sochon to is raah par

TAnha hi hoon

Mohabbat ka yeh kon sa rang hai

Jis main ghir gayi hoon

Dil chahata hai is main

Doob jaaon

Dil darta hai

kahin kho na jaaon

Khwaabon ki kaisi manzil hai yeh

Jis ki dehleez par

Gham hai to khushi bhi

MAin doobti ubharti

Janay kis jahaan main hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...