Sep 30, 2014

Youn Chup sa Na Raha karo


 SUNO !
Youn Chup sa Na Raha karo
Youn Khamosh sey jo ho jatey ho
Dil ko Weham sa ho Jata hai
Kahein Khafa to Nahi ho
Kahiin Udas to nahi ho
Tum Bolty Aachy Lagty ho
Tum Larty Aachy Lagty ho
Kabhi Shararat se
Kabhi Gussey se
Tum Haansty Aachy Lagty ho..

Mujhe muhabaton se kuch mila nahi


Mujhe muhabaton se kuch mila nahi

Mujhe tum se bhi

koi gila nahi

Meri zindagi hai

1 aesa uljha

sawal

Jo aj tak kisi se suljha nahi

Meri zaat se

kisi ko koi taklef ho

Mene to kabhi ye chaha nahi

Har 1 ne mujh hi ko dard diya

Mera to dard bhi

kisi ne samjha

nahi

Kiyon me raston ko ilzam don?

Mera humsafar hi sath chala nahi

Me usko Bewafa sa lagta hon

Jise khud wafa ka pata nahi.

Hum ne soch rakha hai


Hum ne soch rakha hai

Chahaye dil ki her khwaish

Zindagi ki aankhon se

Ashk ban kar beh jaye

Ghar ki saari dewaarain

Chatt smait gir jayein

Aur be'muqaddar hum

Khud hi kiyon na dab jayein

Tum se kuch nahin kehna

Kaisi neend thi apni

kaisay khwaab thay apnay

Aur ab gulaabon par

Neend wali aankhon par

Naram'khoo se khwaabon par

Kiyon azaab tootay hain

Tum se kuch nahin kehna

Ghir gaye hain raaton maon

Be'libaas baaton main

Is tarah ki raaton main

Kab chraagh jaltay hain

Kab azaab tal'tay hain

Ab to in azaabon se

Bach kay bhi nikalnay ka

Raasta nahin jaana

Jis tarah tum ko bhi

La'zawaal lamhon se

Waasta nahin jaan a

Hum ne soch rakha hai

Tum se kuch nahin kehna 

Hum udaas rehtay hain


Hum udaas rehtay hain

Tum na yeh samjh lena

Hum tum hi par martay hain

Yeh udaas baatain jo

Dil ko dard deti hain

In udaas lamhon main

Un'ginat se aansoo hain

Un'ginat se sapnay hain

Kis ko main kahoon saathi

Kon hai ,, jo apna hai

Raat ki khamoshi main

Dard barhta jaata hai

Aik chehra aankhon main

Jab utar'ta jaata hai

Aankh ho ya dil apna

Baarishain to hoti hain

Baarishon kay mousam main

log to bikhartay hain

Tum na yeh samjh lena

Hum tum hi pe martay hain

Mohabbat main dewaangi zaroori hai


Mohabbat main dewaangi zaroori hai

Mohabbat saray rishtay naatay tor deti hai

Faqat aik dil se rishta jor leti

Mohabbat ki haddain hoti hain

Haddon ko tor dena

IS ka shaiwa hai

Agar tumhain mujh se

Mohabbat hai to phir

Yeh rishtay naaton ki

Bandashain torna hon gi

Agar aisa nahin kar sakti to

Phir hum tum apni khwaish kay

Khilonay tor detay hain

Dilon ko mor letay hain

Mohabbat chor detay hain 

Pyaar to jis haal main ho dard hi deta hai


Pyaar to jis haal main ho dard hi deta hai

Kabhi apno ki judai se

Kabhi kisi ki be'afai se

Kabhi adhooray khwaabon se

Kabhi jhootay waadon se

Pyaar hamesha dard deta hai

Kabhi rooh ki tarap ban kar

Kabhi dilon ki kashak ban kar

Kabhi tamaasha bana kar

Kabhi bharosa chura kar

Pyaar hamesha dard deta hai 

Ruk jaao mujhay kuch kehna hai


Ruk jaao mujhay kuch kehna hai

Tumhain pyaar bhi thora dena hai

Phir apna raasta chalna hai

Jis raastay pe saya bhi nahin

Aur tum bhi nahin

Bas yaad tumhari saath rahay

Youn dil pe jaisay haath rahay

Kuch dard ka bhi ehsaas rahay

Ruk jaao yeh tohfa lena hai

Bas pal do pal tum saath raho

Phir be'shak door chalay jaana

Phir loat ky bhi tum na aana

Bas yaad amar ho jaanay do

Aik lambi umar judai ki

Us saath se pehlay kaati hai

Is pyaar kay baad guzrain gay

Bas is pal meray saath raho

Aur yeh pal kaash tehar jaye

Matlab nikal gaya to pehchaantay nahin



Matlab nikal gaya to pehchaantay nahin

Youn jaa rahay hain jaisay hamain jaantay nahin

Apni gharz thi tab to lipatna qabool tha

Baanhon kay daairon main simatna qabool tha

Ab hum bhula rahay hain to maantay nahin

Hum ne tumhain pasand kiya , bura kiya

Rutba hi kuch buland kiya , kya bura kiya

Her aik gali ki khaak to hum chaantay nahin

Matlab nikal gaya tp pehchaantay nahin

Pehle to bohot roya phr meri misaal di usne


Mere jism se meri rooh nikaal di usne

Mujhe udaas rehne ki adat daal di usne

Main ny jab bhi usay apna bnana chaha

Baton Baton mein baat taal di us ny

Kisi ne us se pucha k chahat kya hy dost

Pehle to bohot roya phr meri misaal di usne


Us ne kaha is ki Fikar na kiya kro,





Main ne kaha Mere liye bhi Dua kia kro

Us ne kaha is ki Fikar na kiya kro

Main ne kaha Mere Zehan pe Rehta hai Bojh sa

Us ne kaha Chupke se thora Ro liya kro

Main ne kaha Ratoon ko Neend nahi aati

Us ne kaha Soney ki Koshish to kya kro

Main ne kaha Dil me teri Yadain hain

Us ne kaha Dil ko Samjha Liya kro

Main ne kaha Tere Milne ki koi Umeed hai

Us ne kaha pagal Qismat pe itna Bharosa na kiya karo
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...