Oct 13, 2014

Wafa karo gay


Main saaray jazbay

Tamaam waaday

Duaein saari

Sabhi iraaday

Har ik tamanna

Har ek khwahish

Khawab apna

Khumaar saaray

Muhabbaton k nisaab saaray

Jo tum ko day doon

Toh itna keh do

Wafa karo gay

Suna hai wasi dua se hoti hai murad pori


Kabhi aansoo chupa chupa kay roye

Kabhi dastan-e-gham suna suna kay roye

Raat katti hai intazar-e-yaar mein

Hum raat bhar taron ko jaga jaga kay roye

Phir wo na aye raat ka wada kar kay

Hum tamam raat shama jala jala kay roye

Aaj raat unke aane ki ummeed thi humain

Wo na aye hum ghar ko saja saja kay roye

Suna hai wasi dua se hoti hai murad pori

Aray hum to saari raat haath utha utha kay roye

Diye jalanay ki rasm baqi nahi rahi hai


Mein jaanta hon k ab chahton par

Diye jalanay  ki rasm baqi nahi rahi hai

Magar tumhe meri yaad aaye

Tou yaad rakho

Tum apni aankhon se

Aansoun k chamakte moti na girne dena

Bus itna karna

Keh apni chhat per

Meri mohabbat ki nazm gaker

Meri rifaqat ko yaad karke

Diya jalana

Tum apni chhat per kisi bhi kone mein beth ker

Aik diya jalana

Jo bichar gaya ussy bhool ja


Yehi zindagi ka assol hai

Jo bichar gaya ussy bhool ja

Jo mila hai dil se laga k rakh

Jo nahi mila ussy bhool ja

Na wo dhoop tha na wo chandni

Na chirag tha na wo roshni

Wo khayal tha koi khuwab tha

Wo tha aaina ussy bhool ja

Wo jo tery dil k qareeb tha

Wo na jany kiska naseeb tha

Tujhe hans k usny bhula dia

Tu bhi muskura k ussy bhool jao

Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha


Usey apney farda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-haal tha

Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha

Kahan jao gay mujhe chor kar main ye pooch pooch k thak gaya

Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa-e- sawaal tha

Wo jo us ke samne aa gaya wohi roshni mein naha gaya

Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-o-jamal tha

Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi

Wo sitara kaise bikhar gaya wo to ap apni misaal tha

Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha

Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha

Wo mujhe se mil k ro diya faqat itna wo keh saka

Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...