Dec 17, 2014

Sab kuch waar doon ga tujh par hans hans kar main


Sab kuch waar doon ga tujh par hans hans kar main

Na waaron to be'wafa be'murawaat be qadar main

Is qadar chahaton ki parchaiyaan tujhay doon ga

Keh dhoop pal na aye gi tujh par poori umar main

Taaron ki zia chura kar , chaand ki roshni se

Sab sukh likh doon ga paishaani-e-mehboob par main

Teri raah kay pathron par main khud let jaaon ga

De jaaon ga sakoon teray qadmon ko jaan-e-wafa mar kay main

Sab kay sab khush hon gay , teri khushi kay manzar main

Itni dua'ein doon ga , tujhay jholiyaan bhar bhar main

Kabhi na tu udaas hona , raigaan ho jaye gi zindagi meri

"Imran" us kay bina dil chahye abhi kay abhi jaaon mar main

Ajeeb shakhs tha woh


Ajeeb shakhs tha woh

Fana kay saaray dars us ko yaad rehtay thay

Usi kay dam se yeh maqtal abaad rehtay thay

Jo bad'naseeb thay woh ba'muraad rehtay thay

Woh apnay hon ya paraye hon shaad rehtay thay

Ajeeb shakhs tha woh

Saraab rut main , woh qaafilay ka raahbar bhi

Woh meri ho ya teri , zindagi ka mehwar bhi

Shab ka chaand bhi woh aur subha ka suraj bhi

Junoon ki daastaan ka awal bhi aur aakhir bhi

Ajeeb shakhs tha woh

Woh raig'zaaron main bhi mohabbatain lutaa'ta raha

Naabeena shaher main beenaiyaan ganwaata raha

Shaher bhar main diye khoon se jalaata raha

Haye  afsoos magar woh bhi jaan se jaata raha

Haye woh shakhs jaan se jaata raha

Woh mar kay bhi jo hai zinda ajeeb baat nahin

Goya yeh bhi teh hai kisi shay ko bhi sabaat nahin

Woh jis ko aata ho yeh fun keh woh dilon main rahay

Jo khud ho tanha magar saari mehfilon main rahay

Woh aik shakhs jissay mohsin kaha hai duniya ne

Yeh sach hai bas wohi mohsin tha saari duniya ka

Ajeeb shakhs tha woh

Main kiya kahoon ajeeb shaks tha woh

Mujhay to lagta hai Shayed koi mohsin-e-waqat tha woh

Teray naam ki thi jo roshni ussay khud hi tu ne bujha diya


Teray naam ki thi jo roshni ussay khud hi tu ne bujha diya

Na jala saki jissay dhoop ussay chandani ne jala diya

Main hoon gardishon main ghira hua mujhay aap apni khabar nahin

Woh jo shakhs tha mera rah'numa ussay raaston main ganwa diya

Jissay tu ne samjha raqeeb tha wohi shakhs tera naseeb tha

Teray haath ki woh lakeer thaussay haath se hi mitta diya

Mujhay ishq hai keh junoon hai ab faisala hi na ho saka

Mera naam zeenat-e-dasht tha mujhay aandhiyon ne mitta diya

Yeh udaasiyon ka jamaal hai keh hamara ooj-e-kamaal hai

Kabhi zaat se bhi chupa liya kabhi shaher bhar ko bata diya

Meri umar ka abhi gulistaan khila hua zaroor hai

Woh phool tha teri chah ka unhain mousamon ne ghira diya

Dushman ko bhi seenay se lagana nahin bhoolay


Dushman ko bhi seenay se lagana nahin bhoolay

Hum apnay buzurgon ka zamana nahin bhoolay

Tum aankhon ki barsaat bichaye huye rakhna

Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay

Yeh baat alag , haath kalaam ho gaye apnay

Hum aap ki tasveer banaana nahin bhoolay

Ik umar hui main to hansi bhool chuka hoon

Tum ab bhi meray dil ko dukhaana nahin bhoolay

Dushman ko bhi seenay se lagana nahin bhoolay

Hum apnay buzurgon ka zamana nahin bhoolay

Mujhay hasraton se hai waasta meray dil ka qissa ajeeb hai


Mujhay hasraton se hai waasta meray dil ka qissa ajeeb hai

Jo wasal rut main bichar gaya woh to jaan se bhi qareeb hai

Mujhay hosh tha to khabar na thi main junoon main tha to pata chala

Woh jo meray dil ak makeen hai woh hi jism-o-jaan ka haseeb hai

Tujhay jaanta bhi nahin koi mera harf hai moh'tabar

Tujhay zar mila mujhay shohratain yeh bhi apna apna naseeb hai

Mujh kon tujh se rehaai dy mujhay apna aap dikhaai dy

Mera dil main ab bhi garri hui teri aarzoo ki saleeb hai

Main mohabbaton ka safeer hoon mera kaam khushboo bikhairna

NAhin is se koi bhi mu'aamala keh woh door hai ya qareeb hai

Mujhay zindagi main sakoon milay yahi arzoo hai meray khuda

Maujhay tairagi se nijaat dy keh tu roshni ka naqeeb hai

Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayein gay


Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayein gay

Zinda hai dil to aur sitam gar bhi ayein gay

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khad-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayein gay

Gehri khamosh jheel kay paani ko youn na chair

Cheentay urray to teri qaba par bhi ayein gay

Khud ko na chupa sheeshay garon ki dukaan main

Sheeshay chamak rahay hain to pathar bhi ayein gay

Ae shaher-e-yaar dasht se fursat nahin , magar

niklay safar pe hum to teray ghar bhi ayien gay

Imran abhi saba ki sakhawat pe khush na ho

Jhonkay yahi ba'surat-e-sarr sarr bhi ayain gay

Apnay honay pe na honay ka gumaan hota hai


Apnay honay pe na honay ka gumaan hota hai

Lamha lamha mujhay ehsaas-e-ziyaan hota hai

Koi hota hai jo karta hai kahin pe saazish

Teer ki pusht peKirdaar-e-kamaan hota hai

Bhool jaana ussay mushkil to nahin hai lakin

Kaam asaan bhi magar hum se kahan hota hai

Main ne dekha hai kisi khouf ka khadsha dil main

Raat kay pichlay pehar barh kay jawaan hota hai

Dil main hoti hai bahaaron ki kasak bhi lakin

Is kay hissay main magar khouf-e-khizaan hota hai

Apni marzi se kahan apnay safar kay hum hain


Apni marzi se kahan apnay safar kay hum hain

Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar kay hum hain

Pehlay her cheez thi apni magar ab lagta hai

Apnay hi ghar main kisi doosray ghar kay hum hain

Waqat kay saath hai mitti ka safar sadiyon tak

Kis ko maloom kahan keh hain kidhar kay hum hain

Chaltay rehtay hain keh chalna hai musaafir ka naseeb

Sochtay rehtay hain keh kis raahguzar kay hum hain

Gintiyon main hi ginay jaatay hain her dour main hum Imran

Her qalam'kaar ki be'naam khabar kay hum hain

Aao hum mil kar ek naya jahaan banain


Aao hum mil kar ek naya jahaan banain

Duniya se door pyaar ka ek nagar banain

Jahan mohabbat ka raaj ho

sar par khushi ka taaj ho

Zindagi pe na khouf taari ho

Hifaazat ek doojay ki zima'daari ho

Chalo mil kar is khwaab ki tabeer dhoondain

Is jahaan main mohabbat ki jageer dhoondain

Aao hum mil kar ek naya jahaan banain

Duniya se door pyaar ka ek nagar banain

Gham-e-hijar se na dil ko kabhi hum'kinaar karna


Gham-e-hijar se na dil ko kabhi hum'kinaar karna

Main phir Aa'oon  ga palat kar mera intizaar karna

Mujhay dar hai , meray aansoo teri aankh se na jhalkain

Zara soch kar samjh kar mujhay sogawaar karna

Ussay dhoond sab se pehlay jo mila nahin hai tujh ko

Yeh sitaaray aasmaan kay kabhi phir shumaar karna

Meray shaher ki fiza main koi zehar bhar gaya hai

Teray husan par hai laazim ussay kush'gawaar karna

Main uthaon ga na ehsaan teray baad na'khuda ka

Mujhay tu ne hi daboya , mujhay tu hi paar karna

Meray bad'naseeb saathi , teri zindagi hi kiya hai

Na kisi se dil lagaana , na kisi se pyaar karna

Kabhi iqtadaar bakhshay jo khuda "Imran" tujh ko

Jo rawish hai qaatilon ki , woh na ikhtiyaar karna
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...