Jan 18, 2015

Koi kaandha ho mu'yasar koi to saath de mera


Koi kaandha ho mu'yasar koi to saath de mera 

Mujhay tootay huye ik khwaab ki tadfeen karni hai 

Baat din ki nahin mujhay raat se dar lagta hai


Baat din ki nahin mujhay raat se dar lagta hai 

Ghar kacha hai mera mujhay barsaat se darr lagta hai 

Us ne tohfay main diye mujhay khoon kay aansoo 

Zindagi ab teri her soghaat se darr lagta hai 

Choro pyaar ki baatein koi aur baat karo 

Ab to pyaar ki her baat se darr lagta hai 

Meri khatir woh kahin bad'naam na ho jaye 

Is liye us ki her mulaqaat se darr lagta hai

Apno main reh kar kuch aisay zakham khaye hain 

Keh hamein to ab apni zaat se bhi , darr lagta hai

Aaj apni mohabbat ko naya morr diya us ne (Funny Ghazal)



Aaj apni mohabbat ko naya morr diya us ne
Chatt se dhaka day kay haath tor diya us ne 

Pehlay hansta tha main ab bas muskuraata hoon 
Maar kay mukka aagay ka daant tor diya us ne 

Us ne ishara kiya keh kuch kehna hai tum se 
Kaan paas kiya to maroor diya us ne 

Sardiyaan aaein to laya maatlay us be'wafa kay liye 
Maalta kha kay chilka aankhon main nichor diya us ne 

Be'wafai ki had hi kar di zaalim ne Ghalib 
Milnay ghar gaya to kutta chor diya us ne 

Tu mujhay yaad nahin karta to kiya hua


Tu mujhay yaad nahin karta to kiya hua 

Kiya itni si baat pe tujhay chahna chor dain

Ussay hum chor dain lakin , bas ik choti si uljhan hai


Ussay hum chor dain lakin , bas ik choti si uljhan hai 

Suna hai dil se dharkan ki judai mout hoti hai

Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?




Ussay main kiyon bataon main ne us ko kitna chaha hai
Bataya jhoot jaata hai 
Keh sachi baat ki khushboo to 
Khud mehsoos hoti hai 

Meri baatein meri sochein 
Ussay khud jaan janay do 

Abhi kuch din 
Mujhay meri mohabbat azmaanay do

Agar woh ishq kay ehsaas ko pehchaan na paye 
Mujhay bhi jaan na paye 

To phir aisa karo ae dil 
Khud gum'naam ho jaao

Magar us be'khabar ko zindagi bhar muskuranay do
Abhi kuch din mujhay meri mohabbat azmanay do ...?

Be'wafai to yahan sab hi kartay hain


Be'wafai to yahan sab hi kartay hain 

Aray tum to samjh'daar thay kuch to naya kartay

Aao kabhi youn bhi meray paas


Aao kabhi youn bhi meray paas 

Keh aanay main lamha aur janay main zindagi guzar jaye

Hum nadaan thay jo us ko khud ka hamsafar samjh baithay


Hum nadaan thay jo us ko khud ka hamsafar samjh baithay 

Woh chalti to meray saath thi , lakin ussay talaash kisi aur ki thi

Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor


Yeh meri talaash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor 

Jissay dil kay jitna qareeb laao woh utna hi door chala jaata hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...