Jan 23, 2015

Hum par jo guzri hai kiya tum sun paao gay


Hum par jo guzri hai kiya tum sun paao gay 

Nazuk sa dil rakhtay ho tum ronay lag jaao gay 

Bhout dukh diye hain taqdeer aur duniya ne 

Baitho meray paas mohabbat karna bhool jaao gay

Chahat hai mout ki jo paas nahin aati


Chahat hai mout ki jo paas nahin aati 

Tamana hai jis khushi ki woh raas nahin aati 

Udaas ho gayi hai zindagi rotay rotay 

Ek us ki yaad hai jo tarpanay se baaz nahin aati

Ab kahan mohabbat main woh maza raha hai


Ab kahan mohabbat main woh maza raha hai 
Na parday ka pata , na woh sharm-o-haya hai 

Mohabbat kartay hain sirf dil ko behlanay kay liye 
Her aik aashiq ab to yahan be'haya hai 

Pyaar ka naam detay hain hawas kay pujaari jis ko 
Apni hasrat kar kay poori kehtay hain hum ne kiya hi kya hai 

Mohabbat woh jazba hai jo do dilon ko milaata hai 
Milein jis main sirf 2 badan socho woh rishta kya hai 

Main bhi phirta raha , talash-e-mohabbat main 
Sirf dhoka hi dhoka hai ab pyaar main rakha kiya hai

Mili zindagi hi aisi keh zindagi bhi ro pari


Mili zindagi hi aisi keh zindagi bhi ro pari

Teri talaash main zaalim saza bhi ro pari 

Tujhay toot kay chaha aur itna chaha

Keh teri wafa ki khatar wafa bhi ro pari 

Mera naseeb meri qismat mera muqadar banay tu 

Tujhay hi maangtay maangtay dua bhi ro pari

Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena


Tum ne to phir bhi seekh liya zamanay kay saath jeena 

Hum to kuch bhi na kar sakay tujhay chahnay kay siwa

Dhoka deti hai masoom chehron ki chamak aksar


Dhoka deti hai masoom chehron ki chamak aksar

Her kaanch kay tukray ko heera nahin kehtay

Na kar dil azaari na ruswa kar mujhay itna


Na kar dil azaari na ruswa kar mujhay itna 

Jurm bata , saza suna, aur khatam kar shikwa apna

Kabhi yaad kar liya karo is na'cheez ko yaaro


Kabhi yaad kar liya karo is na'cheez ko yaaro

Yeh shakhs bura hi sahi magar abhi zinda to hai 

Meri masoom mohabbat ki gawahi na maang


Meri masoom mohabbat ki gawahi na maang 

Meri palkon pe sitaron ne ibaadat ki hai

Teri masoom nigahon kay taqadus ki qasam 

Dil to kiya rooh ne bhi tujh se mohabbat ki hai

Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se


Kuch nahin milta jitni marzi wafa kar lo kisi se 

Jab waqat wafa na kare to wafadaar bhi be'wafa ho jaatay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...