Feb 18, 2015

Youn chaliye raah-e-shouq main jaisay hawa chalay


Youn chaliye raah-e-shouq main jaisay hawa chalay 
Hum baith baith kar jo chalay bhi to kiya chalay ?

BAithay udaas, uthay parishaan , khafa chalay 
Poochay to koi aap se , kya aaye kya chalay 

Aayein gi toot toot kar qasid par Aaftein 
Ghafil idher udhar bhi zara dekhta chalay 

Hum saath ho liye to kaha us ne ghair se 
Aata hai kon is se kaho yeh juda chalay

Baalain se meray aaj woh yeh keh kay uthay gi 
Is par dawa chalay na kisi ki dua chalay 

Moosa ki tarah raah main poochi na raah-e-raast 
Khamosh khizar saath hamaray chala chalay 

Afsaana-e-raqeeb bhi lo be'asar hua 
Bigrri jo sach kehnay se wahan jhoot kya chalay 

Rakha dil-o-dimaagh ko to rok thaam kar 
Is umar-e-be'wafa pe mera zor kya chalay 

BAitah hai Aitakaaf main kiya "Daagh" roza'daar 
Ae kaash meh'kaday ko yeh mard-e-khuda chalay 

Faraz ihsq ki duniya to khoob'surat thi


Faraz ihsq ki duniya to khoob'surat thi 

Yeh kis ne fitna-e-hijar-o-wisaal rakha hai

Mujhay ab tum se dar lagnay laga hai


Mujhay ab tum se dar lagnay laga hai 

Tumhain mujh se mohabbat ho gayi kiya ?

Shakist , Aitamaad , zaat kay waqat 

Qayamat aa rahi thi , Aa gayi kiya ?

Mujhay shikwa nahin bas poochna hai 

Yeh tum hansti ho , apni hi hansi kya?

Hamein shikwa nahin aik doosray se 

Mana'na chahiye is par khushi kya ?

Paray hain aik goshay main gumaan kay hum 

Bhala hum kya , hamari zindagi kya 

MAin ab her shakhs se uktaa chuka hoon 

Faqat kuch dost hain , aur dost bhi kya 

Yeh taa'luq bhi bhout khoob raha hai kuch din


Yeh taa'luq bhi bhout khoob raha hai kuch din 

Tu meray naam se mansoob raha hai kuch din 

Aankh ro ro kay teri raah taka karti thi 

Dil teri yaad se maghloob raha hai kuch din 

Teri tasbeeh bana kar tujhay socha karna 

Mashgala yeh mera marghoob raha hai kuch din 

Shayed is baat ka matlab main samjh na paaon 

Kiyon mera dil tujhay matloob raha hai kuch din

Feb 17, 2015

Ik ghazal us pe likhon dil ka takaza hai bhout


Ik ghazal us pe likhon dil ka takaza hai bhout 
In dino khud se bichar janay ka dharka hai bhout 

Raat ho din ho ghaflat ho keh baidaari ho 
US ko dekha to nahin hai ussay socha hai bhout 

Tishnagi kay bhi maqamaat hain kya kya yehni 
KAbhi dariya nahin kaafi , kabhi qatra hai bhout 

Meray haathon ki lakeeron kay izaafay hain gawah 
MAin ne pathar ki tarah khud ko tarasha hai bhout 

Koi aya hai zaroor aur yahan tehra bhi hai
Ghar ki dehleez pe ae noor ujaala hai bhout

Dil'kash parinda (Nazam)


Dil'kash parinda 

Hamra zehan ik azaad panchi ki tarah se hai 
Jo her ik pal 
Kisi parwaaz ko tiyaar rehta hai 
Magar kuch log is ko aik pinjray main 
Muqeed kar kay rakhtay hain 
Issay sonay ka dana to khilaatay hain 
MAgar 
Azaad hi honay nahin detay 
Issay apni khushi aur apni khwaish se 
KAbhi chughnay nahin detay 
KAbhi sonay nahin detay 
YEh hansana chahata hai to 
Issay hansanay nahin detay 
YEh rona chahta hai to 
Issay ronay nahin detay 
Bhout si khoobsurat manzalon ko
Kabhi panay nahin detay 
Kabhi bad'boo zada be'rang be'wuqat rawiyon ko 
Kabhi khonay nahin detay 
MAgar 
Meray zehan main jo prinda hai 
Bara sar'kash bara baaghi hai yeh 
YEh meray dil ki tehni par 
teharta hi nahin aa kar 
Hamesha khol kay par 
Soch ki parwaaz ko tiyaar rehta hai 
YEh her ik shakhs ka daala hua 
Daana  nahin chughta
Kisi bhi do'ghlay chehray ko gar dekhye
Shor karnay se nahin rukta 
Issay jab chot lagti hai 
Tarapta hai 
Phar'rakta hai 
Jhagarta hai 
Kabhi Aansoo giraata hai 
Kabhi fariyaad karta hai 
Mujhay yeh tang karta hai 
YEh mujh se jung karta hai 
Magar phir bhi 
Bara na'yaab panchi hai
Bara dil'kash prinda hai 
Mujhay is se mohabbat hai 
Khushi hai keh yeh zinda hai 
Kabhi yeh rooth jaata hai 
Kabhi yeh maan leta hai 
Magar mujh se mukhatab ho 
To meri jaan leta hai 
Meray saaray iraadon ko
Kasooti par parakhta hai 
Na jab tak faisala de dy 
Hamara dil dharakta hai 
Hamesha din nikalta hai 
Hamesha raat hoti hai 
Magar is kay liye andar koi
Be'mousami be'waqat ki barsaat hoti hai 
Yeh baarish is kay dil'kash par kay ooper 
Aag ki tarah barasti hai 
Jhulasti is main is ki saari ki saari 
hi hasti hai 
Paron ko khol kar 
Aankhon ko apni band kar kay 
Oper ko munh utha'ta hai 
Mujhay mehsoos hota hai
Madad kay wastay apni 
Khuda ko bulaata hai 
YEh us se kar kay astagh'faar 
Haal-e-dil sunaata hai 



Baat-be-baat pe hansanay walo


Baat-be-baat pe hansanay walo 
Tumhain kya maloom 
Andar ki ghutan kya hoti hai 
Satah-e-Aab ki lehrain gin'nanay walo 
Tum kya samjho gehraai kya hoti hai 
Apni aankhon ko tarawat ki tez chamak se chaka chond karnay walo 
Bhookay logo ! tumhain kiya maloom bhook kiya hoti hai 
Zindagi ko arzaan rakhnay walo 
Na'shukray logo 
Tumhain kya maloom , zindagi ki qeemat 
Mout ki talkhi kya hoti hai 
Saans ki dori kya hoti hai ?
Raaton ko gehri neend sonay walay 
Be'hiss logo 
Rat'jagon ki nafrat main 
Kitna karb hota hai 
Baat-be-baat hansnay walo 
Tumhain kya maloom dard ki tees kya hai
Tumhain kya maloom andar ki ghutan kya hai 
Tum kya samjho 
Tum kya jano 

Soch be'ghar , Aankh pathar , lab maqfal ho gaye


Soch be'ghar , Aankh pathar , lab maqfal ho gaye 

Raabton kay silsalay saaray 

Mo'atal ho gaye 

Dastaan ik khwaab ki 

Mutthi main hi simati rahi 

Aur kuch kirdaar youn phailay 

Mufasal ho gaye


Suno jo bhook hoti hai bhout safaak hoti hai


Suno jo bhook hoti hai 
Bhout safaak hoti hai 
Kisi firqay kisi mazhab se is ka wasta kaisa 
Tarapti Aant main jab bhook ka shola bharakta hai 
To woh tehzeeb kay be'rang kaaghaz ko 
Tamadan ki sabhi jhooti daleelon ko 
Jala kar raakh karta hai 
Nazar bhooki ho to phir chodween ka chaand bhi roti sa lagta hai 
Khudi ka fal'safa 
Jhooti daleelain sab sharafat ki 
Mehaz bakwas lagti hain 
HAqeeqat main yahi sab se bara sach hai 
Keh yeh jo bhook hoti hai 
Bari bad'zaat hoti hai

Chalo woh ishq nahin, chahnay ki aadat hai


Chalo woh ishq nahin, chahnay ki aadat hai 
Yeh kya karain hamian doobnay ki aadat hai 

Tu apni sheesha'gari ka hunar na kar zaa'ia
Main Aaina hoon mujhay tootnay ki aadat hai 

Main kya kahoon keh mujhay sabar kiyon nahin aata 
Main kiya karon keh tujhay dekhnay ki aadat hai 

Teray naseeb main Ae dil , sada ki mehroomi 
Na woh sakhi , na tujhay maangnay ki aadat hai 

Wisaal main bhi wohi hai firaaq ka Aalam 
Keh us ko neend mujhay Mujhay rat'jagay ki aadat hai 

Yeh muskalain to phir kaisay raastay teh hon gay 
Main na'saboor ussay sochnay ki aadat hai 

Yeh khud'Aziyati kab tak faraz tu bhi ussay 
Na yaad kar keh jissay bhoolnay ki aadat hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...