Mar 15, 2015

Zindagi yahin kahin tehar jaa


Zindagi yahin kahin tehar jaa

Main muqaddar badal kay aata hoon 

Main jhoot bolnay ka hunar seekh raha hoon


Main jhoot bolnay ka hunar seekh raha hoon 

Sach to kisi bhi shakhs ko acha nahin lagta

Sar-e-bazaar baitha ro raha hai apni qismat ko


Sar-e-bazaar baitha ro raha hai apni qismat ko 

Jis ko din kay ujaalon main bhi meri yaad nahin aati

Main raat bhar jaagta hoon aik aisay shakhs ki khatir


Main raat bhar jaagta hoon aik aisay shakhs ki khatir

Jis ko din kay ujaalon main bhi meri yaad nahin aati

Koi pathar sa dil laa do yaaro


Koi pathar sa dil laa do yaaro 

KEh main en insaano main jeena hai 

Neendein bhi nelaam ho jaati hain bazar-e-ishq main


Neendein bhi nelaam ho jaati hain bazar-e-ishq main 

Itna asaan nahin hota kisi ko bhool jana

Mujh se bichri to door hat kay roi


Mujh se bichri to door hat kay roi
Na janay kiyon woh apno main palat kay roi

Yaad aayi us ko jab meri baatein 
Pagli meray khat se lipat kay roi 

Suna hai mehndi laga kar apnay haseen haathon par 
Saheliyon kay bharay jhurmat main roi

Na'janay kitni shikayten thein


Na'janay kitni shikayten thein 
Na'janay kitnay gilay thay un se 

Jo un ki awaaz sunni to bhool baithay 
Sawaal saray jawaab saray

Yaad kartay hain us ko ti Eid mana letay hain


Yaad kartay hain us ko ti Eid mana letay hain 

Hum ne apnay liye Tehwaar alag rakha hai

Main bas itna jaanta hoon teray baghair


Main bas itna jaanta hoon teray baghair 

Zindagi hayaat nahin , mout nijaat nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...