Mar 19, 2015

Mulaqaatein zaroori hain , agar rishtay bachanay hain


Mulaqaatein zaroori hain , agar rishtay bachanay hain 

Laga kar bhool janay se to poday sookh jatay hain

Zinda hoon magar zindagi se door hoon main


Zinda hoon magar zindagi se door hoon main 
Aaj kiyon is qadar majboor hoon main 

Bina jurm kay hi saza milti hai mujhay 
Kis se kahoon keh aakhir be'qasoor hoon main

Meri khamoshiyon ka sabab hain yeh gham meray 
Phir kiyon duniya samjhti hai keh maghroor hoon main 

Aaj phir shiddat-e-gham ne rula diya mujh ko 
Aaj lagta hai keh zakhmon se choor choor hoon main

Eid kay roz bhi majboor thay taqdeer se hum


Eid kay roz bhi majboor thay taqdeer se hum 
Ro paray mil kay galay aap ki tasveer se hum 

Mera jo kuch hai tera hai , teray liye hi to hai 
Tu agar jaan bhi maangay to tujhay detay hain 

Hum ne kya kya na kiya pyaar main O meray sanam 
Phir bhi mehroom rahay teri wafaon se hum 

Teri yaadon ne shamma ban kay jalaya hai mujhay 
Parwano ki tarah is aag main jaltay rahay hum 

Tum ne kaha tha loat Aaon ga Eid pe 
Eid ka din hai loat aayo warna mar jayein gay hum

Koi mila hamein chand ki chandani ban kar


Koi mila hamein chand ki chandani ban kar
Koi mili pariyon ki kahan ban kar 

Par jis kisi ko palkon main basaya hum ne 
Woh nikal gaya aankh se pani ban kar 


Main shab ki bhi mujrim hoon , sheher ki bhi hoon mujrim


Main shab ki bhi mujrim hoon , sheher ki bhi hoon mujrim 

Yaaro mujhay is sheher kay adaab sikha do

Kaha us ne mujhay tum se mohabbat ho nahin sakti


Kaha us ne mujhay tum se mohabbat ho nahin sakti 

Kaha main ne zara bach kay dekho maan jaaon gi 

Kaha us ne bhout maghroor ho tum apnay lafzon main 

Kaha main ne keh lafzon ko sach kar dikhaa'on gi 

Kaha us ne agar na paa sakay mujh ko to phir bolo 

Kaha main ne qasam teri zamana chor jaaon gi 

Tarap kar kaha us ne keh suno youn nahin kehtay 

 Kaha main ne mohabbat ho to aisay chup nahin rehtay

Suno mohabbat youn nahin hoti


Suno mohabbat youn nahin hoti 
Kisi ka naam lenay se
Kisi ko thaam lenay se 
Kisi ko paa lenay se
Kisi kay door janay se
Mohabbat ka janam nahin hota 
Jab talak dilon ka milan nahin hota 

Suno mohabbat youn nahin hoti 
Yeh raabta hai dil se dil ka 
Yeh naam hai be'tarteeb
Dharkano ka 
Mohabbat to aankhon se biyaan hoti hai 
Yeh to dil ki zubaan hoti hai 
Mohabbat youn nahin hoti 


Apnay apnay hoslay, apni apni talab ki baat hai


Apnay apnay hoslay, apni apni talab ki baat hai 

Chun liya hum ne tumhain , sara jahan rehnay diya

Na peechay murr kay dekho , na awaz do mujhya


Na peechay murr kay dekho , na awaz do mujhya 

Bari mushkil se seekha hai main ne alwida kehna

Khuda karay keh salamat rahay dua ki tarah


Khuda karay keh salamat rahay dua ki tarah 

Aik tu aur doosra muskurana tera
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...