Mar 29, 2015

Roz-o-shab youn na aziyat main guzaaray hotay


Roz-o-shab youn na aziyat main guzaaray hotay
Chain a jata agar khail kay haaray hotay 

Khud se fursat hi muyasar nahin aayi warna 
Hum kisi aur kay hotay to tumharay hotay 

Aik bhi moj agar meri himayat karti 
Main ne us paar kai log utaaray hotay 

Lag gayi aur kahin umar ki poonji warna 
Zindagi hum teri dehleez pe haaray hotay 

Kharch ho jatay hisi aik mohabbat main 
Dil agar aur bhi seenay main hamaray hotay 

Her dewaar ko raah-e-mohabbat se hata diya jaye


Her dewaar ko raah-e-mohabbat se hata diya jaye 

Phir meray mehboob se mujhay mila diya jaye 

Aaj kisi ki yaad mujhay bhout tarpaa rahi hai 

Ab to mujhay koi jaam pila diya jaye 

Umar bhar ki qaid mujhay qabool hai saqi 

Agar qaid khana meray yaar ka ghar bana diya jaye

Main aksar youn kehta hoon tum shor bhout machati ho


Main aksar youn kehta hoon tum shor bhout machati ho 

Phir woh mujh se kehti hai jab kalaai meri tum pakro  gay

Choorri to meri khankay gi choorri  ka shor to hota hai 

 Jab pyaar se mujhay bilaao gay tab dorr kay main to aaon gi 

Phir payal meri khankay gi payal ka shor to hota hai 

Jab bindiya meri chamkay gi ya aankh main tumhari damky gi

Jazbay phir shor machaein gay  jazbon ka shor to hota hai 

Zulf meri suljhatay huye jab kajray ko bikhraao gay 

Tab saansein meri mehkein gi saanson ka shor to hota hai



Kuch na kehnay ka bhi charcha hi hua


Kuch na kehnay ka bhi charcha hi hua 
Gham taaluq ka tamasha hi hua 

Her talab zilat-e-khuddari thi 
Tum na thay saath ! yeh acha hi hua 

Log mil mil kay bichar jatay hain 
Hamsafar toot'ta patta hi hua

Jab na aankhon se lahoo bhi tapkay 
Dard tehra hua dariya hi hai 

Husn-e-duniya hai khayalon ka sadaf 
Rang bhi aankh ka parda hi hua 

Her sitam hans kar saha hai 
Dil bhi pathar ka namoona hi hua

 

Mar 28, 2015

Jaan-e-Mohsin teri shohrat ki qasam


Jaan-e-Mohsin teri shohrat ki qasam 

Door tak ponchi hai ruswaai meri

Chalo ik baar baazi palat kar khailen


Chalo ik baar baazi palat kar khailen 

Meri be'wafai ho aur dil-e-nazuk tera

Yeh ehal-e-hijar yeh raaton ko jaagnay walay


Yeh ehal-e-hijar yeh raaton ko jaagnay walay 

Yeh khud se door kahin zindagi guzartay hain

Logon kay liye saahib-e-kirdaar bhi main tha


Logon kay liye saahib-e-kirdaar bhi main tha 
Khud apni nigahon main gunahgaar bhi main tha

Kiyon ab meray mansab ki salaami ko kharray ho ?
Yaaro kabhi ruswa sar-e-bazar bhi main tha

Main khud hi chupa tha qaf-e-qatil ki shikan main 
Maqtool ki tooti hui talwar bhi main tha

Cheenay hain jahan ab meray masoom lahoo kay
Us fark-e-falak naaz ki dastaar bhi main tha

Meri her sada loat kay aayi hai mujh hi tak
Shayed had-e-aflaak kay us paar bhi main tha

Manzil pe jo poncha hoon to maloom hua hai
Khud apnay liye raah ki dewaar bhi main tha

Ab meray taaruf se guraizan hai to lakin 
Kal tak teri pehchaan ka mayar bhi main tha

Dekha to main afsha tha her ik zehan 
Socha to pas-e-parda israar bhi main tha 

Kahan dhoondtay ho tum ishq ko ae be'khabar ?


Kahan dhoondtay ho tum ishq ko ae be'khabar ?

Yeh khud hi dhoond leta hai jissay bar'baad karna ho

Aaftein jaisay intizaar main thein


Aaftein jaisay intizaar main thein 

Teray jaatay hi sab ne ghair liya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...