Mar 30, 2015

Poocha tha us ne hal bari muddat kay baad


Poocha tha us ne hal bari muddat kay baad 

Kuch par gay hai aankh main , yeh keh kay ro paray

Kisay mohabbat karon , bhout ghreeb hoon


Kisay mohabbat karon , bhout ghreeb hoon 

Log biktay hain main khareed nahin pata

Tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar


Tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar 

Aur phir bhi main shareek teray qeh'qahon main hoon

Mout bar'haq sahi magar Mohsin


Mout bar'haq sahi magar Mohsin 

Saans lena bhi ek qayamat hai

Na shair hoon main , Na sha'oor-e-ishq mujh ko


Na shair hoon main , Na sha'oor-e-ishq mujh ko

Main to likhta hoon keh haal-e-dil bayaan kar sakon

Zara thehro keh baarish hai , yeh tham jaye to phir jana


Zara thehro keh baarish hai , yeh tham jaye to phir jana 

Kisi ka tujh ko choo jana mujhay acha nahin lagta

Teray aanay ka maloom nahin


Teray aanay ka maloom nahin 

Baarish kay ti hain imkaan bhout

Aur kuch nahin hota to bhari baarish main

 
Aur kuch nahin hota to bhari baarish main

Tujh se bichray huye raaston par safar karta hoon

Bikharta ja raha hoon main aaghosh-e-tanhai main


Bikharta ja raha hoon main aaghosh-e-tanhai main 

Kaash koi mera hota jomujhay khud main samait leta

Faaslay barhay to ghalat fehmiyan aur bhi barh gayein


Faaslay barhay to ghalat fehmiyan aur bhi barh gayein 

Us ne  woh bhi sunna jo main ne kaha bhi nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...