Apr 3, 2015

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin



Woh baar baar mujhay Aazmata raha

Meray Aanso'on se shamma bujhata raha

Us ne dost bhi mujhay kaha magar

Dushmano ki tarah rulaata raha

Ungli pakar kar aksar Andheray raaston main

Woh baar baar mujh ko giraata raha

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin

Main doobta raha woh muskuraata raha

Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay


Thokrein maar kay mehfil se uthatay hain mujhay 

Aur aik paaon se daman bhi daba rakha hai

Khawab dekhye hain iss qadar main ne


Khawab dekhye hain iss qadar main ne 

Ab to aankhein bhi tanz karti hain

Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota


Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota 
Main ne auron ko na dukh main pukaara hota 

Jitni shiddat se wabasta tha main tujh se 
Kis tarah mera teray baghair guzara hota 

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalanay kay liye 
Main na hota  to koi aur tumhara hota 

Aur hum baith kay khamoshi se roye jaatay 
Shaam hoti aur kisi dariya ka kinara hota

Woh baar baar mujhay Aazmata raha


Woh baar baar mujhay Aazmata raha 
Meray Aanso'on se shamma bujhata raha 

Us ne dost bhi mujhay kaha magar 
Dushmano ki tarah rulaata raha

Ungli pakar kar aksar Andheray raaston main 
Woh baar baar mujh ko giraata raha 

Aisi bhi bhala kya dosti Mohsin 
Main doobta raha woh muskuraata raha

Kisi ka ishq kisi ka khayal thay hum


Kisi ka ishq kisi ka khayal thay hum 
Gaye dino main bhout ba'kamaal thay hum 

Hamari khoj main rehti thi titliyan aksar 
Keh apnay shaher ka husn-o-jamal thay hum 

Zameen ki goad main sar rakh kay so gaye aakhir 
Tumharay hijar main kitnay nidhaal thay hum 

Hum aks aks bikhartay rahay is dhun main 
Keh zindagi main kabhi la'zawaal thay hum

Kisi kay ishq ne hum ko nikama kar diya 
Warna aadmi to baray ba'kamaal thay hum 

Koi mera bhi to ho saath nibhanay kay liye


Koi mera bhi to ho saath nibhanay kay liye
Mujhay Khuda se maangay apna bananay kay liye 

Meray Aansoo meri palkon se churanay kay liye 
Bas wohi ho mujhay seenay se laganay kay liye

Youn to chahnay walay bhout se hain duniya main
Nahin hai koi magar saath nibhanay kay liye

Meri saanson ki rawani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf duniya ko dikhanay kay liye

Nazar-e-mohabbat ka kya tawaan chahtay ho


Nazar-e-mohabbat ka kya tawaan chahtay ho 
Dil chahtay ho ya jaan chahtay ho 

Parwah nahin anjaam-e-mohabbat jo bhi ho 
Bas ab faisala suna do jo tum chahtay ho 

Phoolon ki gali ho ya kaanton ki dagar 
Lay jaao jaan wahan jahan tum chahtay ho 

Be'hiss tum nahin to khamosh kiyon ho 
Main ne kar di haan ab aur kya chahtay ho

Titliyan baith gayein haathon pe banay phoolon par


Titliyan baith gayein haathon pe banay phoolon par 

Kitna maahir tha ussay mehndi laganay wala

Alwida keh kar ussay takta raha main dair tak


Alwida keh kar ussay takta raha main dair tak 
Aatish-e-khamosh main jalta raha main dair tak 

Shaher ki veeran galiyon main akela raat bhar 
Ik musafir ki tarah phirta raha main dair tak 

Aasmaan par aik adhoora chand aur bikhray sitaray 
Intizaar-e-subha main ginta raha main dair tak 

Jo zakham rafeeqon kay riwajon se lagay hain 
Woh zakham kisi ko dikhanay se raha main 

Dariya hoon to darya hi ussay paish karon ga 
Pyaasay ko samandar to pilanay se raha main

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...